Categories
Quran

SURAH -E- YASEEN TAFSEER

AYAT NO.1:- AL-AMALI MEIN IMAM JAFFER SADIQ A.S. SE MANQOOL HAI KE ‘YASEEN’ JANAB E RASOOL E KHUDA SAWS KE NAMMOUN MEIN SE EK NAAM HAI KE ‘AY WAHEE KE SUN-NE WALE’. AUR AL KHISAAL MEIN JANAB IMAM E MOHAMMAD BAQIR A.S. SE MANQOOL HAI KE JANAAB E RASOOL E KHUDA SAWS KE DUS (10) NAAM HAIN, JIN MEIN SE PAANCH (5) QURAAN E MAJEED MEIN MAZKOOR HAIN AUR PAANCH (5) NAHIN. PAS WO 5 NAAM JO QURAAN MEIN MAZKOOR HAIN WO YE HAIN, MUHAMMAD SAWS, AHMED, ABDULLAH, YASEEN AUR NUUN.

AL UYOON MEIN JANAAB E IMAM RAZA A.S KI US HADEES MEIN JO DARBAAR E MAAMOON MEIN AAP NE BAYAAN FARMAI THI, MANQOOL HAI KE AAP NE ULEMA E AAMMA SE SAWAAL KIYA KE MUJHE BATLAO KE SURAH E YASEEN MEIN KHUDA E TAALA KI MURAAD “YASEEN” SE KAUN HAI? SAB ULAMA NE JAWAAB MEIN ARZ KI KE ISMEY KISI KO SHAK NAHI KE “YASEEN” SE MURAAD JANAAB E RASOOL E KHUDA HAIN. 

TAFSEER E QUMMI MEIN IMAM JAFFER E SADIQ AS SE MANQOOL HAI KE “YASEEN” JANAB E RASOOL E KHUDA KA NAAM HAI AUR ISKI SABSE BADI DALEEL KHUDA E TAALA KA YE QITAAB HAI “INNAKA LA MINAL MURSALEEN, ALA SIRATAL MUSTAQEEM” . 

AYAT NO 8: 

KAAFI MEIN JANAAB IMAM JAFFER E SADIQ AS SE MANQOOL HAI KE ISSEY MURAAD WO LOG HAIN JO JANAAB E AMEERUL MOMINEEN AS AUR INKEY BAAD KE AIMMA AS KI WILAAYAT KE MUQQIR NAHI HUE ISSI KO AAGEY KHUDA E TAALA NE FARMAAYA HAI “FAHUM LA YUMINOON” AUR ISKEY AAGEY KI AAYAT MEIN INKI UQOOBAT KA BHI ZIKR FARMAAYA HAI.

AYAT NO 9 :

“FAHUM MUQMAHOON” KAAFI MEIN JANAAB IMAM JAFFER E SADIQ AS SE MANQOOL HAI KE YEH HALAT TOH INKI DUNIYA MEIN HAI AUR AISI HI AAQIRAT MEIN AATISH E JAHANNUM SE HOGI. TAFSEER E UMMI MEIN HAI KE YE AAYAT ABU JAHAL IBNEY HASHAAM AUR ISKEY KUNBEY KE CHAND ASHKHAAS KE BAAREY MEIN NAAZIL HUI HAI KISSA ISKA YEH HAI JANAAB E RASOOL E KHUDA SAWS NAMAAZ PAD RAHEY THAY AUR ABU JAHAL TAOON YEH QASAM KHA CHUKA THA KE AGAR MAIN INKO KABHI NAMAAZ PADHTEY HUE DEKHOONGA TOH INKA SAR KUCHAL DOONGA CHUNANCHE WO APNI QASAM PURI KARNEY KE LIYE EK PATTHAR LEKAR AAYA, AAN-HAZRAT JITNI DER NAMAAZ PADHTEY RAHEY WO JIS WAQT BHI PATTHAR PHENKNA CHAHAATA KHUDA E TAALA ISKEY HAATH KO ISSI KI GARDAN MEIN BAANDH DETA AUR WO PATTHAR ISKEY HAATH SE NA CHOOT-TA. JAB APNEY YAARON KE PAAS LAUT KAR AAYA TAB PATTHAR HAATH SE GIRA IS WAQT EK AUR MARDAK JO ISSI KE KUNBEY SE THA UTH KAR CHALAA AUR KEHNEY LAGAA KI MAIN ISKO QATL KAR DOONGA MAGAR JAB AAN-HAZRAT KE QAREEB PHONCHA AUR QIRAAT E QURAN KI AAWAAZ SUNI TO RAAB CHA GAYA, YAARON KE PAAS PALAT KAR AAYA AUR KEHNE LAGA MERE AUR INKEY MAA-BAYN TOH EK SAAND NAZAR AATA THA JO APNI DUM HILAAKAR MUJHE MAARNA CHAHAATA THA, PAS MEIN AAGEY BADHNEY SE DARAA. KAAFI KI EK HADEES MEIN IN DONO AYATON KE MUTAALAQ JO KUCH FARMAAYA ISKA KHULAASA YE HAI KE JO LOG ALLAH PAR AUR RASOOL ALLAH PAR AUR VILAAYAT E AIMMA E HUDA PAR IMAAN NAHI LAAYE UNKI HALAT KO IN AYAATON MEIN BATAUR MISAAL BAYAAN KIYA GAYA HAI KE JAISEY WO SHAKS JISKEY GALEY MEIN IS SHAAN KE TAUQ PADHEY HUE HON KE AAGEY PEECHEY DAAYE –BAAYE NEECHEY-UPAR HAZBEY KHWAHISH DEKH HI NAHI SAKTA WAISEY HI KUFR WA HIMAAQAT WA JAHAALAT KE TAUQ INKEY GALEY MEIN PADHEY HUE HAIN, AUR KHUDA AUR RASOOL KE HUKM KE NA MAANEY KI SHAAMAT NE AAGEY PEECHEY DIWAAREIN BHI QAAYAM KARDI HAIN AUR TAUFEEQ E ILLAHI SALB HOJAANEY KI CHATH BHI PHAT GAYI HAI, PAS NATEEJA JO HONA CHAHIYE WO ZAAHIR HAI.

AYAT NO 11:

TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE YE AAYAT MUQTASAROM KE BAAREY MEIN HAI KE JINMEY SE EK BHI IMAAN NA LAAYA THA AUR ABU JAHAL BHI ISSI QABILEY SE THA. QAUL E MUTARJIM (SYED MAQBOOL AHMED DEHLAVI) HAI – JO LOG APNI JAHALAT SE ABU JAHAL KO JANABEY RASOOL E KHUDA SAWS KA CHACHA BANATEY HAIN QAYAMAT KE DIN WO IN SABKO APNA BHATIJA NA BANAYE TO SAHI. 

AYAT NO 12: 

“MANIT TABA AZ ZIKRA” KAAFI KI IS HADEES MEIN JISKA ZIKR UPAR HO CHUKA HAI MANQOOL HAI KE IS AYAT MEIN “MANIT TABA AZ ZIKRA” SE MURAAD JANAB E AMEERUL MOMINEEN AS HAIN. 

AYAT NO 13:

“INNA NEHNOO NUHYIL MAUTAA” TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE MURDON KO TO HUM RAJAT YA BESATH KE WAQT ZINDA KARKE UTHAENGEY AUR JATHAAL KO AB HIDAAYATH SE ZINDA KARTEY HAIN 

TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE “MA QADDAMO” SE MURAAD WO NEKH WO BAD AAMAAL HAI JO PHELEY KAR CHUKEY AUR INKA ZAAHIRI KOI NISHAAN BAAKHI NA RAHA HO AUR “AASAARAHUM” SE AAMAAL MURAAD HAIN JINKI NISHAANIYAN BAAKHI RAHI, JAISEY KISI KO ILM SIKHA DIYA KOI KITAAB NASEEHAT KARDI KUWAN BANA DIYA DARAKHT LAGA DIYA QADAM NAMAAZ KE LIYE MASJID KI TARAF UTHAAYE, KISI AMR E BAATIL KI ISHAAT KARDI KISI ZULM WO JOOR KI BUNIYAAD DAAL DI. TAFSEER E MAJMUA AL BAYAAN MEIN HAI KE QABILEY BANI SALMA KE LOGON NE JO MADINA E MUNAWWARA KE EK GHOSHEY MEIN ABAAD THAY JANAAB E RASOOL KHUDA SAWS SE SHIKAAYAT KI KE HAMEREY GHAR MASJID SE BOHOT DOOR HAIN AUR IS TARAH HUMEY NAMAAZ E JAMAAT MEIN HAZIR HONEY MEIN TAKLEEF HOTI HAI ISPAR YE AYAT NAAZIL HUI. 

“FEE IMAMIM-MUBEEN” – TAFSEER E QUMMI MEIN JANAAB E AMEER UL MOMINEEN A.S.SE MANQOOL HAI KE AAN-HAZRAT SAWS NE QUD FARMAYA KE “WALLAH WO IMAM E MUBEEN MAIN (ALI A.S.) HOON HAQ WA BAATIL KO SAAF SAAF BAYAAN KARDETA HOON AUR MAINE YE OHDA RASOOL E KHUDA SAWS SE VIRASATAN PAAYA HAI. 

MAANI UL AKHBAAR MEIN JANAAB E IMAM MOHAMMAD BAQIR A.S. SE BA-RIWAAYAT APNE VAALID E MAAJID WA JAD E AMJAD KE MANQOOL HAI KE JANAAB E RASOOL E KHUDA SAWS PAR YE AYAT ‘KULLU SHAIN AHSANAHU FEE IMAM E MUBEEN’ NAAZIL HUI TOH HAZRAT ABU-BAKR WA UMAR APNI APNI JAGAH SE KHADE HUE AUR ARZ KARNE LAGE YA RASOOL ALLAH SAWS KE AYA IMAM E MUBEEN SE MURAAD TAURAIT HAI? FARMAYA NAHI INHOUNE ARZ KI KYA PHIR INJEEL HAI? PHIR DONO NE ARZ KI, AYA QURAAN HAI? FARMAYA NAHI, ITNE MEIN JANAAB E AMEER UL MOMINEEN A.S. TASHREEF LE AAYE, AAN-HAZRAT NE FARMAYA DEKHO WO IMAM JIS MEIN ALLAH TAALA NE HAR CCHEEZ KA ILM EHAASA FARMA DIYA HAI.

EHTEJAAJ E TABRISI MEIN JANAAB E RASOOL E KHUDA SAWS SE EK HADEES MANQOOL HAI KE AAP NE FARMAYA AY LOGO KOI ILM AISA NAHI HAI KE MERE PARWARDIGAAR NE MUJHE TAALEEM NA FARMAYA HO AUR MAINE ALI A.S. KO NA SIKHAYA HO AUR JO ILM BHI ALLAH NE MUJHE SIKHAYA HAI IS KA ALLAH NE MUJH MEIN EHAASA FARMAYA DIYA AUR MAINE IMAM UL MUTTAQEEN MEIN USKA EHAASA KARDIYA.

AYAT NO 14: 

‘ASHAAB AL QARIYAH’ – TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE IS SE MURAAD AL-ZAAKIYA HAI

‘MURSALOON’ – TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE QAUL KE BAARE MEIN DO QAUL HAIN, EK KE IN KO KHUD ALLAH TAALA NE BHEJA THA AUR EK KE BA HUKM E ALLAH HAZRAT EESA A.S. NE BHEJA THA.

AYAT NO 15:

‘IZ ARSALNA ILAYHIM’ – TAFSEER E QUMMI, TAFSEER E AYASHI AUR TAFSEER E MAJMU AL BAYAAN MEIN JANAAB IMAM MOHAMMAD BAQIR A.S. AUR JANAAB IMAM JAFFER SADIQ A.S. SE JO RIWAYATEIN MANQOOL HAI IN SAB KA KHULASA YE HAI KE PEHLE DO RASOOLOUN KO BADSHAAH E AZAAKIA NE GHUSSA HO KAR QAID KAR DIYA THA, TEESRE JO POHONCHE INHOUNE AISA RAABTA WA ZABT BADHAAYA KE BADSHAAH KE DIL MEIN JAGAH KARLI. PHIR IN DONO QAIDIOUN KA QISSA KHUD HI POOCHA AUR JAB IN SE WAJAH BAYAAN KI TOH IS KO YE SALAAH DI KE IN KA IMTIHAAN LENA CHAHIYE CHUNAANCHE WO TALAB KIYE GAYE AUR UN KI DUA SE EK MADARZAAD ANDHE KI AANKHEIN KHUL GAYEE AUE EK PAIDAESHI LANGDE LUULE PAAON SAHI WO SAALIM HOGAYE AUR AAKHIR MEIN BADSHAAH KA EK-LAUTA BETA JISE MARE HUE KUCH ARSA HOGAYA THA ZINDA HO GAYA AUR JAB BADSHAAH NE IS SE DOBAARA ZINDA HOJAANE KA QISSA DARYAAFT KIYA KE DO NEIK BANDOUN NE KI DUA KI WAJAH SE ALLAH TAALA NE MUJHE QAADAT E HAYAAT ATA FARMAYA HAI AUR JAB IS SE DARYAAFT KIYA GAYA KE TUM INKO DOBAARA PEHCHAAN SAKTE HO IS NE HAZAAROUN AADMIOUN MEIN SE IN DONO KO PEHCHAAN KAR BATLA DIYA, IS TARHA BADSHAAH AUR US KI SULTANAT KE KUL AADMI IMAAN LE AAYE.

AYAT NO 21:

‘RAJUL’ – YE AYATEIN ‘JA ALANI MIN MUKRAMEEN’ TAK JAYB UL NAJAAR KE SHAAN MEIN NAZIL HUI HAIN, JO JANAABE RASOOL E KHUDA SAWS PAR BHI IMAAN E KAAMIL RAKHTE THE, HALAANKE AAN-HAZRAT SE 600 BARAS PEHLE THE, YE RIWAAYAT MEIN AAYA HAI KE YE EK GHAAR MEIN BAITHE ALLAH KI IBAADAT KARTE THE AUR JAB IN KO AL ZAAKIR MEIN RASOOLOUN KE AANE KI KHABAR MILI TAB INHOUNE APNE DEEN KA IZHAAR FARMAYA.

AL MAJALIS MEIN JANAAB E RASOOL E KHUDA SAWS SE MANQOOL HAI KE SIDDIQ KUL 3 HAIN (1) JAZQEEL – MOMIN E AAL E FIRAOUN, (2) JAYB UL NAJAAR – MOMIN E AAL E YASEEN AUR (3) ALI IBNE ABI TAALIB A.S. JO SAB SE AFZAL AUR AALA HAIN. 

AL JAAMEH MEIN BHI KHUD AAN HAZARAT SAWS SE MANQOOL HAI GHAIR E AMBIYA MEIN UMMATOUN KE BADE BADE SIRF 3 HAIN JINHOUNE SIRF EK PAL KE LIYE BHI KUFR NAHI KIYA AUR ALI IBNE ABI TAALIB A.S. DOOSRE SAAHIB E YASEEN AUR TEESRE MOMIN E AAL E FIRAOUN, SIDDIQ SIRF YEHI 3 HAIN AUR ALI A.S. IN MEIN SE AFZAL AUR AALA HAIN.

AYAT NO. 36  

‘SUBHAAN AL LAZEE KHALAQAL AZWAAJA’ – TAFSEER E QUMMI MEIN HAI IMAM MOHAMMAD BAQIR A.S. SE MANQOOL HAI KE NUTFA AASMAAN SE ZAMEEN PAR NAAZIL HOTA HAI NABAATAAAT PE YANI PHOOLOUN AUR DARAQTOUN MEIN QARAAR LETA HAI PAS AADMI BHI ISI NABAATAAT MEIN SE KHAATA HAI AUR JAANWAR BHI, LEHAAZA IN SAB KE SALB MEIN WO POHONCH JAATA HAI.

AYAT NO. : 37

‘NASLAQU MINHUN NAHAAR’ – KAAFI MEIN JANAAB IMAM MOHAMMMAD BAQIR A.S. SE MANQOOL HAI KE IS AYAT KA MATLAB YE HAI KE JANAAB E RASOOL E KHUDA SAWS KA INTEQAAL HOTE HI AISA ANDHERA CHAA GAYA KE LOGOUN KO IN KE AHLEBAIT A.S. KI FAZEELAT HI NAZAR NA AAYI.

AYAT NO. 38

‘TAJREE UL LI-MUSTAQQIN LAHAA’ – TAFSEER E MAJMU AL BAYAAN MEIN JANAAB IMAM MOHAMMAD BAQIR A.S. AUR JANAAB IMAM JAFFER SADIQ A.S. KE WO DONO BUZURGWAAR IS YUN TILAWAT FARMATE THEY ‘LI-MUSTAQQIN LAHAA’ JIS KE MAANA YE HAI IS KO SUKOON WA QARAAR NAHI BALKE BARABAR HARKAT MEIN HAI.

AYAT NO. 39

‘MANAZILA’ – TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE IS SE MURAAD WO 28 MANAZILEIN HAIN JIN MEIN SE EK EK MEIN CHAAND HAR RAAT KO POHONCHTA REHTA HAI, NA KISI SE AAGEY NA KISI SE AAGEY BADHJAATA HAI.

AYAT NO. 40 

‘WA LIL LAYLI SAABEQO MIN HUN NAHAAR’ – TAFSEER E QUMMI MEIN JANAAB IMAM MOHAMMAD BAQIR SE IS POORI AYAT KA MATLAB YE MANQOOL HAI KE SURAJ DIN KA BAADSHAH HAI AUR CHAAND RAAT KA. YAANI YE DONO RAAT YA DIN PAR DALALAT KARNE WAALE HAIN. SURAJ KI YE MAJAAL NAHI HAI KE RAAT KO CHAAND KI ROSHNI KE SAATH AA MAUJOOD HO AUR NA KOI RAAT DIN SE AAGEY BADH SAKTI HAI, YAANI JAB TAK RAAT KHATM NA HOLEY DIN KO AANE KA MAUQA HI NAHI DIYA JAATA AUR ‘KULLU FEE FALAKANI YASBAHOON’ KA YE MATLAB HAI KE AASMAAN KE GOOL HONE KE BAA-ES SHAB WA ROOZ EK DOOSRE KE PEECHE LAGATAAR CHALE AATE HAIN. 

TAFSEER E MAJMU AL BAYAAN BARIWAYAT TAFSEER E AYASHI MEIN JANAAB IMAM RAZA A.S. SE MANQOOL HAI KE DIN RAAT SE PEHLE PAIDA KIYA GAYA HAI AUR ALLAH KE IS QOUL ‘WAL LAYLO SABEQUN NAHAAR’ SE YEHI SAABIT HAI KE DIN RAAT KE MUQADDAM HAI.

EHTEJAAJ E TABRISI MEIN JANAAB IMAM JAFFER SAQIQ A.S. SE MANQOOL HAI KE DIN RAAT SE PEHLE PAIDA KIYA GAYA AUR SURAJ CHAAND SE PEHLE AUR KAAFI MEIN ITNA AUR ZYAADA HAI KE NOOR E ZULMAT SE PEHLE.

AYAT NO. 41

“ANNA HAMALNA” – TAFSEER E SAAFI MEIN HAI DUSRI JAGAH ALLAH TAALA NE IS MAZMOON KO YUN ADAA FARMAAYA HAI “ZURIYATAA MIN HAMLNA MEH NUH , ZURIYAT KE MAANA HAIN AULAAD . AB YEH FARMAAYA KE INKI ZURIYAT KO KASHTI MEIN SAWAAR KIYA THA ISKA YEH MATLAB HAI KE SAWAAR TOH INKEY BUZURGON KO KIYA THA AUR YEH KHUD INKI ZURIYAT INKEY SALB MEIN MAUJOOD THI PAS LAFZEY  ZURIYAT KO KHUSUSIYAT SE ISTAMAAL KARNA EHSAAN JATLAANEY MEIN TOH AALAA DARJEH KA BALEEQ HAI, AUR BAAWAJOOD APNEY IQTESAAR KE HAIRAT WA TAAJUB MEIN DAALNEY WAALA HAI. 

“AL FALAKIL MASHOON” – AL KHISAAL MEIN JANAAB AMEERUL MOMINEEN SE EK HADEES MANQOOL HAI JISKA EK JUZ YEH BHI HAI KE UN HAZRAT SE DARIYAAFT KIYA GAYA THA KE “MA AL TASOON” YANI 90 KYA HAI ? FARMAAYA “AL FALAKIL MASHOON” YANI MURAAD HAI KASHTI E NUH KYONKI HAZRATH NUH NE ISME JANWARON KE LIYE 90 JAANEY BANAYE THAY. 

AYAT NO. 45 : 

“ATAQUWA MA BAYNA AYDIKUM”- TAFSEER E MAJMU AL BAYAAN MEIN IMAM JAFFAR E SADIA AS SE MANQOOL HAI KE ISSEY MURAAD TUMHAAREY WHO GUNAH JO GUZAR CHUKEY AUR “MA QALFAKUM” SE MURAAD WO AZAAB HAI JO IN GUNAHON KE BADLEY HONEY WALA HAI. 

AYAT NO 49 :

“YA QISSIMOON” – TAFSEER MEIN HAI KI AAQIR ZAMAANEY KA ZIKR HAI KE LOG BAAZAARON MEIN APNEY APNEY JHAGDEY AUR KHISSON MEIN HONGEY AUR EK CHEEK KI AWAAZ EKA – EK AAYEGI PAS JO JIS JAGAH HOGA WAHI MARJAYEGA, KISI KI YE MAJAAL NA HOGI KE MAKAAN KO LAUTEY YA KOI WASIYAT KARSAKEY.

TAFSEER E MAJMU AL BAYAAN MEIN EK HADEES MANQOOL HAI JISKA EK JUZ YE BHI HAI KE QAYAAMAT IS TARHA AAJAYEGI KE DO AADMIYON NE EK KAPADA PHAILA RAKHA HOGA. EK ISKO BECHTA HOGA AUR DOOSRA ISKO KHAREEDTA HOGA. ABHI USEY TAY NA KAR PAAENGEY KE QAYAAMAT AAJAAYEGI. 

AUR EK SHAKS LUQMA UTAAYEGA KE MUH MEIN RAKHEY ABHI ISKA LUQMA MUH TAK NA POHCHA HOGA KE QAYAAMAT AAJAAYEGI. AUR EK SHAKHS HOUZ PAR AAKAR KHADA HOGA KE APNE CHOWPAYE KO PAANI PILAAYE ABHI WO PANI NA PILA CHUKA HOGA KE QAYAAMAT AAJAAEGI. 

AYAT NO 52: 

“MIN BA-ASNA MIN MARQADENA”

AL JAAMEH MEIN HAI KE JANAAB AMEERUL MOMINEEN AS KI QIRAAT YUN THI “MIN BA-ASNA MIN MARQADENA” YAANI “MIN” HARF E JAAR “BA – ESI” MAZDAR MAZAAF NA ZAMEER TAKALUM MAZAAF AALIYA JUMLA MAJROOR. QAUL E MUTARJIM “MIN BA – ASNA” PADHNEY MEIN GUSTAAQANA SAWAAL PAYA JAATA HAI AUR HAQEEQAT E HAAL SE BEKHABARI, HAALANKEY HAQEEQAT US WAQT AISI MUNKASHIF HO CHUKI HOGI JAISI KE UPAR KI AYAT MEIN ZAHIR HAI. 

AYAT NO. 53

“JAMIUL LADAYNA MUHZARUUN” – TAFSEER E MAJMU AL BAYAAN MEIN IMAM JAFFER SADIQ A.S. SE MANQOOL HAI KE JAB ALLAH TAALA ZAMEEN KE REHNE WALON KO MAUT DEGA TOH JITNA ARSA IN SAB KI MAUT AUR PAIDAISH MEIN SARF HUA HOGA US SE KISI GINE ZAMANE TAK TAWAQQUF FARMAEGA, PHIR PEHLE AASMAAN KE REHNE WALON KO MAUT DEGA PHIR JITNA ARSA IS MAQLOOQ KO PAIDA KARNE MEIN AUR AHLE ZAMEEN AUR AHLE AASMAAN E AWWAL KI MAUT MEIN SARF HUA THA IS SE KAEE GUNA ZYAADA ARSE TAK TAWAQQUF FARMAEGA, IS KE BAAD DOOSRE AASMAAN KE REHNE WALON KO MAUT DEGA PHIR JITNA ARSA INKI PAIDAISH MEIN AUR ZAMEEN WALON KI AUR PEHLE AASAMAN WALON KI AUR DOOSRE AASMAN WALON KI MAUT MEIN SARF HUA THA US SE KAEE GUNA ZYAADA TAWAQQUF FARMAEGA, PHIR TEESRE AASMAAN WALON KO MAUT DEGA IS KE BAAD JITNA ARSA UN KI PAIDAISH MEIN LAGA THA AUR JITNA ARSA AHLE ZAMEEN AASMAAN E AWWAL DUWWAM AUR SUWWAM KI MAUT MEIN SARF HUA THA IS SE KAEE GUNA ZYAADA TAWAQQUF FARMAEGA,AUR ISI NISBAT SE HAR AASMAAN KE REHNE WALON KO MAUT DETA JAAEGA AUR TAWAQQUF FARMATA RAHEGA, PHIR MIKAAEEL KO MAUT DEGA PHIR ITNI DEIR TAWAQQUF KAREGA JITNI TAMAAM MAQLOOQ KO PAIDA KARNE MEIN AUR MAUT DENE MEIN SARF HUI THI AUR IS SE BHI KAEE GUNA ZYAADA, PHIR JIBRAEEL AMEEN KO MAUT DEGA AUR IS KE BAAD JITNA ARSA KUL MAQLOOQAAT KI PAIDAISH MEIN AUR IN SAB KO MAUT DENE MEIN GUZAR CHUKA HOGA UTNA AUR US SE KAEE GUNA ZYAADA TAWAQQUF FARMAEGA, PHIR ISRAFEEL KO MAUT DEGA AUR IS KE BAAD JITNA ZAMANA KUL MAQLOOQAAT KI PAIDAISH MEIN AUR IN SAB KO MAUT DENE MEIN US WAQT TAK GUZAR CHUKA HOGA UTNA AUR US SE KAEE GUNA ZYAADA ARSE TAK TAWAQQUF FARMAEGA, IS KE BAAD MALAK UL MAUT KO MAUT DEGA PHIR ITNA ARSA TAWAQQUF FARMAEGA JITNA SAARI MAQLOOQ KO PAIDA KARNE MEIN AUR IN KO MAUT DENE MEIN SARF HUA THA AUR US SE BHI KAEE ZYAADA, IS KE BAAD ALLAH TAALA FARMAEGA “ MAN IL MULK AL YOUM” (AAJ SULTANAT KISKI HAI) PHIR KHUD HI JAWAAB DEGA “LILLAHI WAAHIDAL QAHHAR” (KHUDA E EKTA AUR ZABARDAST KI), PHIR FARMAEGA KE SARKASH KIDHAR HAI ? WO LOG KYA HUE JO MERE SAATH AUR KHUDA BANAYA KARTE THE ? MUTAKABBIR KAHAAN HAI ? AUR UN KA TAKABBUR KYA HUA ? US KI MAQLOOQ KO AS SAR E NAU PAIDA KAREGA, RAAVI KEHTA HAI MAINE ARZ KIYA YE TAMAAM MUAMLA ITNA TOUL KHEENCHEGA? KYA TERA YE KHAYAAL HAI KE AGAR AISA NA HONE WALA HOTA TOH MAIN ITAN TOUL DE KAR BAYAAN KARTA ? IS NE ARZ KI NAHI MERA YE KHAYAAL NAHI HAI, FARMAYA BAS YE KHAYAAL RAKH KE AISA HI HOGA, YAANI ITAN HI TOUL KHEENCHEGA.

AYAT NO. 58

“SALAAMUN QAULUM MIN RABBIR RAHEEM” – TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE IS KA MATLAB YE HAI KE EK BAAT ALLAH KI TARAF SE UN KE HAQ MEIN KAHI JAAYEGI, YAANI ALLAH TAAL KHUD IN PAR SALAAM KAHEGA.

TAFSEER E QUMMI MEIN HAI KE ALLAH TAALA KI TARAF SE YEHI AMAAN HAI.

AYAT NO. 59

“WAMTAZUL YOUMA AYYOHAL MUJRIMOON” – TAFSEER E QUMMI MEIN HAI KE ALLAH TAALA QAYAMAT KE DIN MAQLOOQ KO JAMA FARMAEGA WO APNE PAOON KE BAL KHADE RAHENGE TAA AAKAR PASEENA IN KI THUDDIOUN TAK POHONCHEGA PAS WO IS WAQT PUKARENGE KE KHUDAYA HUMARA HISAAB FARMA GOH HUME JAHANNUM MEIN HI JAANA HO. MASOOM FARMATE HAIN KE ALLAH TAAL IS WAQT KUCH HAWAOUN KO BHEJ DEGA JO SAFOUN KE AUR AADMIOUN KE MAA-BAYN CHALTI HONGI AUR EK MUNAADI YE NIDA DEGA “WAMTAZUL YOUMA AYYOHAL MUJRIMOON”, ISI WAQT LOGOUN MEIN JUDAI HO JAYEGI, MUJRIM TOH JAHANNUM MEIN CHALE JAAYENGE AUR JIS JIS KE DIL MEIN IMAAN HOGA WO JANNAT KI TARAF CHALE JAAYENGE.

AYAT NO. 60

“LA TAABUD-USH-SHAYTAAN” – KAAFI MEIN JANAAB IMAM JAFFER SADIQ A.S. SE MANQOOL HAI KE JIS SHAQS NE ALLAH KI NA FARMAANI KE KAAM MEIN KISI AADMI KI ITAAT KI GOYA US NE USI KI IBAADAT KI AUR IMAM MOHAMMAD BAQIR A.S. SE MANQOOL HAI KE JIS NE KISI KEHNE WALE KI BAAT KO KAAN LAGA KAR SUNA PAS WO US KA BANDA BAN GAYA, AB AGAR WO BOLNE WALA ALLAH KI TARAF SE KUCH KEHTA HAI TOH WO SUNNE WALA ALLAH KA BANDA BANA AUR AGAR WO BOLNE WALA SHAYTAAN KI TARAF SE BOLTA HAI TOH WO SUNNE WALA SHAYTAAN KA BANDA BAN GAYA.

AYAT NO. 66

“TUKALLIMUNA AYDIHIM” – TAFSEER E QUMMI MEIN HAI KE JAB ALLAH TAALA QAYAMAT KE DIN MAQLOOQ KO JAMA FARMAEGA TOH HAR HAR AADMI KO USKA NAAMA E AAMAAL BHI ATA FARMAEGA, WO IS MEIN NAZAR DAALENGE AUR INKAAR KARENGE KE HUM NE TOH IN MEIN SE EK BAAT BHI NAHI KI IS PAR ALLAH TAALA UN KE BARKHILAAF FARISHTOUN SE GAWAHI LE LEGA AUR WO YE KAHENGE KE YA ALLAH YE TOH TERE HI FARISHTE HAIN YE TERI HI SI KAHENGE, PHIR DOBARA QASAM KHA KAR KAHENGE KE HUM NE TOH IN MEIN SE EK BHI FAEL NAHI KIYA IS WAQAYE KO ALLAH TAALA LAFZOUN MEIN BHI FARM CHUKA HAI ( JIS DIN ALLAH TAALA IN SAB KO MAABOOS FARMAEGA TOH WO IS KE HUZOOR MEIN BHI ISI TARHA QASMEIN KHAYENGE JIS TARHA TUMHARE SAAMNE QASMEIN KHAA LETE HAIN) JAB WO ITNI JURRAT KARENGE TOH ALLAH TAALA UN KI ZABAAN PAR MOHAR LAGA DEGA, UNKE AAZA WA JAWAARE JO JO KUCH WO KIYA KARTE THEY WO SAB BAYAAN KARDENGE.

KAAFI MEIN IMAM MOHAMMAD BAQIR A.S. SE MANQOOL HAI KE MOMIN KE AAZA WA JAWAARE IS KE BARKHILAAF GAWAHI DENGE, AISI GAWAHI TOH UN LOGOUN KE BARKHILAAF GUZREGI JO AZAAB KE MUSTAEQ QARAAR DIYE JAYENGE, RAHA MARD E MOMIN IS KA NAAMA E AAMAAL IS KE DAHINE HAATH MEIN DIYA JAYEGA JIS KE BAARE MEIN ALLAH FARMATA HAI “FA-MAN AWTA….

AYAT NO. 72

“WAZZAL NAHA LAHUM” – TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KI, ISKA MATLAB YE HAI KI IN CHOWPAAYON KO HUMNEY INKA MUTEE BANA DIYA HAI ISKA SABOOTH YE HAI KI MASLAN OONTH KO DEKHNEY KE BAWAJOOD IS QUWATH WA AZMATH KE EK BACCHA ISKO HAANKTA PHIRTA HAI.

AYAT NO 75

“LAA YASTIOONA NASRAHUM” – TAFSEER E QUMMI MEIN HAI KI JANAAB IMAM MOHAMMED BAQIR AS SE IS KA MATLAB YE MANQOOL HAI KI INKEY DEVTA TOH UNKI KOI MADAD NAHI KAR SAKTEY AUR WO GIROH KE GIROH UNKEY PAAS HAAZIR REHTE HAIN. AUR EK QAUL KE BAAMAUJIB, “MUHZAROON” KE YEH MAANA BHI AAYE HAIN KI JIN BUTOUN KI YE POOJA KIYA KARTEY THAY INHI KE PEECHEY PEECHEY INKEY GHOUL KE GHOUL JAHANNUM MEIN BHEJ DIYE JAAYENGE 

AYAT NO 79

“QUL YUHYEE AL LAZZI ANSHA AHA AWWALA” – TAFSEER E AYASHI MEIN IMAM JAFFAR E SADIQ AS SE AUR EHTEJAAJ E TABRISI MEIN JANAAB AMEERUL MOMINEEN AS SE MANQOOL HAI KE UBA IBNE QALAF AYA AUR DEEWAR MEIN SE EK PURAANI HADDI LAAYA AUR ISKO CHOORA KARKEY KEHNEY LAGA “AYE MOHAMMED KYA JAB HUM HADDIYAN AUR RAAKH HO JAAENGEY TOH KYA HUM ASSAR E NAW PAIDA KARKEY UTHAEY JAAENGEY?” IS PAR YEH AYAT NAAZIL HUI , NEEZ IMAM JAFFAR E SADIQ AS SE MANQOOL HAI KE MARNEY KE BAAD ROOH TOH EK MAQAAM MEIN MUQEEM HO JAYEGI NEKOKAAR KI ROSHAN AUR WASI MEIN AUR BADKAAR KI TANG WA TAREEK MEIN AUR JISM MITTI HO KAR ISSI MITTI MEIN MIL JAYEGA JIS SE WO PAIDA KIYA GAYA THA AUR HASHRAAT WA DARINDEY JO KUCH KHAAYE JAATEY HAIN WO INKE PAIT SE NIKAL KAR ISSI MITTI MEIN ISKEY ILM MEIN MEHFOOZ RAHEYGA JIS SE ZAMEEN KI TAARIKION TAK MEIN KOI ZARRA BHI POSHIDA NAHI HAI AUR TAMAAM CHEEZON KI GINTI BHI JAANTA HAI AUR WAZAN BHI ROOHANI BANDON KI MITTI ISI SHAAN SE RAHEGI JAISA SONA MITTI MEIN REHTA HAI, AUR JAB BESAT KA WAQT AAYEGA TOH ZAMEEN PAR WO BAARISH BARSEYGI JIS SE MAQLOOQ KI AS SARE NAU PAIDAAESH KA SISILA PHIR SHURU HOJAAYEGA PAS ZAMEEN BAALIDA HOJAYEGI PHIR USKO ISTARAH HARKAT DI JAAYEGI JAISEY DOODH KO UBALNEY KE WAQT PAS AADMI KI MITTI AAM MITTI SE ISI TARHA ALAG HOJAYEGI JAISEY SONEY KE ZARREY PAANI SE DHONEY PAR MITTI SE ALAG HOJAATEY HAIN AUR MAKHAN YA MASKA HARKAT PAANEY PAR DOODH SE ALAG HOJAATA HAI PHIR HAR HAR KHISAM KI MITTI ISI JISM KE SAATH JAMA HOJAYEGI AUR KHUDA E QAWEE QADIR KE HUKM SE HAR JISM APNI APNI ROOH KE PAAS POHONCH JAAYEGA AUR MUSSAWWIR E HAQEEQI KE HUKM SE SURATEIN BHI APNI APNI ASLI HALAT PAR URAD KAR AAYENGI AUR ROOHEIN IN JISMON MEIN DAAKHIL HO JAAENGI AUR JAB YE HAALAT QAYAM HO JAAYEGI TOH KISI KO JAAE INKAAR BAAQI NA RAHEYGI. 

AYAT NO 80 – 

“ MINNASH SHAJARIL AKHZAARI NAAR AN”-  TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE AGAR SHAAKHEY MURQ KO SHAAKHEY AZAAR PAR JIS HAAL MEIN KE YE DONO SHAAKHEIN SABZ HON IN MEIN SE PAANI TAPAKTA HO RAGDHA JAAYE TOH AAG PAIDA HOJAAYEGI TAFSEER E QUMMI MEIN HAI KE MURQ AUR AAZAAR DONO DARAQT KI QISMEY HAIN AUR MULK E ARAB KE EK GOSHEY MEIN HOTEY HAIN LOGON KO JAB AAG SULGANEY KI ZAROORATH HOTI HAI TOH SOOKHI LAKDIYAN CHUN KAR IN DONO KI SHAAQON KO BEECH MEIN RAKH KAR EK DOOSREY SE RAGADH DETEY HAIN AUR IS TARHA INSEY AAG NIKAAL LETEY HAIN.

AYAT NO 81- 

“BE QAADIRIN ALA ANNA YAKHLOOQO MISLOHUM”- EHTEJAAJ E TABRISI MEIN IMAM JAFFAR E SADIQ AS SE MANQOOL HAI KE BEHES WA JADAAL JO UMDA TAREEQEY SE HO WO TOH AISI CHEEZEIN HAIN JIS KA KHUDA E TAALA NE APNE NABI KO HUKM DIYA HAI KE JOH MAUT KE BAAD PHIR UTHAYA JAANEY AUR ZINDA HONEY KA MUNKIR HAI ISSE JADAAL KARO CHUNACHEY FARMATA HAI “WAZRIB LANA MASALAN WA NASEEYA QALAQA” PAS KHUDA E TAALA NE APNE NABI SE YE CHAHA KE IS SHAQS SE BHI MUJAADILA FARMAAYE JIS NE YEH KEH DIYA THA “MAN YUHYEE AL AZAMA WA HIYA RAMEEM” HUKM AYA KE TUM KAHO “YUHYEE YA AL LAZEE ANSHA HA AWWALA MARRA” JISKA YE MATLAB HAI KE JISNE KISI CHEEZ KI IBTEDAH KI HO KYA WO ISSE AAJIZ HOJAYEGA KE IS CHEEZ KE PURAANEY HO JAANEY KE BAAD PHIR USEY NAYA KARDEY TUM LOGON KE NAZDEEKH BHI TOH AADAH KARNEY KI NIZBATH IBTEDAH HI MUSHKIL HOTI HAI PHIR FARMAYA “AL LAZEE JAA ALA LAKUM MINASH SHAJARIL AQZAARI NAARAL”

JISEY YE JATHLAANA MAQSOOD HAI KE JIS ZAAT MEIN IS BAATH KI QADR MAUJOOD HAI KI GEELEY AUR HAREY DARAQT MEIN AAG CHUPA KAR RAKHDEY AUR PHIR WAQT PAR NIKAAL DE TOH ISSEY TUM SAMAJH SAKTEY HO KE CHEEZON KO NAYA KARNEY KI TOH KUCH AUR ZIYADA HI QUDRAT RAKHTA HOGA PHIR FARMAYA “AWALAYSAL LAZEE QALAQAZ SAMAAWATI WAL ARZ BE QAADIRIN ALAA ANNAA YAQLOOQU MISLAHUM” – ISKA YE MATLAB HAI KE JAB AASMAANON AUR ZAMEEN KO PAIDA KARDIYA JOH TUMHAREY GUMAAN AUR ANDAAZEY MEIN BADI AZEEM O SHAAN AUR AJEEB AUR GHAREEB CHEEZEIN HAIN IS KHUDA MEIN TUM ITNI QUDRATH BHI NAHI JAANTEY KE EK PURAANI CHEEZ KO NAYA KARDEY PHIR YE TUMNEY KAISEY SAMJH LIYA KE IN AJEEB O GHAREEB CHEEZON KO KHUDA HI NE PAIDA KIYA HAI AUR AGAR TUM TAJWEEZ KAR CHUKEY HO TOH ISSEY KAHIN AASAAN AMR YAHI PURAANI CHEEZON KO NAYA KARDENA YE KYON NAHI MAANTEY. 

AYAT NO 82- 

“KUN FA YA KUN” TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE TAASEER E QUDRAT E PARWARDIGAAR E AALAM SAABIT KARNE KE LIYE AMR BA TAUR E TAMSEEL BAYAAN KIYA GAYA HAI, YANE JIS WAQT WO KISI KAAM KO CHAAHE WO FAURAN HO JAATA HAI, KISI QISAM KA TAWAQQUF NAHI HONE PATA NA IS BAAT KI EHTEJAAJ HOTI HAI KE KOI SUNNAT KI JAAYE YA KISI AALEY KA ISTAMAAL HO. 

AL UYOON MEIN JANAAB IMAM RAZA AS SE MANQOOL HAI KE UNSE MURAAD SANAT E KHUDA AUR “MAA YAKOONO” SE MURAAD HAI MASNUAAT E KHUDA AUR NAHJUL BALAGHA MEIN HAI KE KHUDA E TAALA KE KALAAM SE MURAAD USKA FAYL HAI AGAR WO CHAHE TO KUCH FARMAAYE MAGAR WO FARMAATA HAI TOH YEH ZAROORI NAHI KE WO ALFAAZ HO. AUR IRAADA KARTA HAI TO YEH ZAROORI NAHI HAI KE USSE PHELEY SE SOCHA RAKHA HO BALKEY ISKE IRAADE KE LIYE KISI SONCH WA FIKR KI ZAROORAT HI NAHI 

TAFSEER E QUMMI MEIN HAI KE USKE QAZAANE “KAAF WA NOON” KI POONJI MEIN HAIN. 

AYAT NO 83- 

“MALAKOOTO” TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE ISSE MURAAD KISI SHEH KA WO ROOHAANI HISSA HAI JISPAR US SHAY KI HASTI KA MADAAR HO.

*****