Categories
Quran

SURAH -E- YASEEN TAFSEER

AYAT NO.1:- AL-AMALI MEIN IMAM JAFFER SADIQ A.S. SE MANQOOL HAI KE ‘YASEEN’ JANAB E RASOOL E KHUDA SAWS KE NAMMOUN MEIN SE EK NAAM HAI KE ‘AY WAHEE KE SUN-NE WALE’. AUR AL KHISAAL MEIN JANAB IMAM E MOHAMMAD BAQIR A.S. SE MANQOOL HAI KE JANAAB E RASOOL E KHUDA SAWS KE DUS (10) NAAM HAIN, JIN MEIN SE PAANCH (5) QURAAN E MAJEED MEIN MAZKOOR HAIN AUR PAANCH (5) NAHIN. PAS WO 5 NAAM JO QURAAN MEIN MAZKOOR HAIN WO YE HAIN, MUHAMMAD SAWS, AHMED, ABDULLAH, YASEEN AUR NUUN.

AL UYOON MEIN JANAAB E IMAM RAZA A.S KI US HADEES MEIN JO DARBAAR E MAAMOON MEIN AAP NE BAYAAN FARMAI THI, MANQOOL HAI KE AAP NE ULEMA E AAMMA SE SAWAAL KIYA KE MUJHE BATLAO KE SURAH E YASEEN MEIN KHUDA E TAALA KI MURAAD “YASEEN” SE KAUN HAI? SAB ULAMA NE JAWAAB MEIN ARZ KI KE ISMEY KISI KO SHAK NAHI KE “YASEEN” SE MURAAD JANAAB E RASOOL E KHUDA HAIN. 

TAFSEER E QUMMI MEIN IMAM JAFFER E SADIQ AS SE MANQOOL HAI KE “YASEEN” JANAB E RASOOL E KHUDA KA NAAM HAI AUR ISKI SABSE BADI DALEEL KHUDA E TAALA KA YE QITAAB HAI “INNAKA LA MINAL MURSALEEN, ALA SIRATAL MUSTAQEEM” . 

AYAT NO 8: 

KAAFI MEIN JANAAB IMAM JAFFER E SADIQ AS SE MANQOOL HAI KE ISSEY MURAAD WO LOG HAIN JO JANAAB E AMEERUL MOMINEEN AS AUR INKEY BAAD KE AIMMA AS KI WILAAYAT KE MUQQIR NAHI HUE ISSI KO AAGEY KHUDA E TAALA NE FARMAAYA HAI “FAHUM LA YUMINOON” AUR ISKEY AAGEY KI AAYAT MEIN INKI UQOOBAT KA BHI ZIKR FARMAAYA HAI.

AYAT NO 9 :

“FAHUM MUQMAHOON” KAAFI MEIN JANAAB IMAM JAFFER E SADIQ AS SE MANQOOL HAI KE YEH HALAT TOH INKI DUNIYA MEIN HAI AUR AISI HI AAQIRAT MEIN AATISH E JAHANNUM SE HOGI. TAFSEER E UMMI MEIN HAI KE YE AAYAT ABU JAHAL IBNEY HASHAAM AUR ISKEY KUNBEY KE CHAND ASHKHAAS KE BAAREY MEIN NAAZIL HUI HAI KISSA ISKA YEH HAI JANAAB E RASOOL E KHUDA SAWS NAMAAZ PAD RAHEY THAY AUR ABU JAHAL TAOON YEH QASAM KHA CHUKA THA KE AGAR MAIN INKO KABHI NAMAAZ PADHTEY HUE DEKHOONGA TOH INKA SAR KUCHAL DOONGA CHUNANCHE WO APNI QASAM PURI KARNEY KE LIYE EK PATTHAR LEKAR AAYA, AAN-HAZRAT JITNI DER NAMAAZ PADHTEY RAHEY WO JIS WAQT BHI PATTHAR PHENKNA CHAHAATA KHUDA E TAALA ISKEY HAATH KO ISSI KI GARDAN MEIN BAANDH DETA AUR WO PATTHAR ISKEY HAATH SE NA CHOOT-TA. JAB APNEY YAARON KE PAAS LAUT KAR AAYA TAB PATTHAR HAATH SE GIRA IS WAQT EK AUR MARDAK JO ISSI KE KUNBEY SE THA UTH KAR CHALAA AUR KEHNEY LAGAA KI MAIN ISKO QATL KAR DOONGA MAGAR JAB AAN-HAZRAT KE QAREEB PHONCHA AUR QIRAAT E QURAN KI AAWAAZ SUNI TO RAAB CHA GAYA, YAARON KE PAAS PALAT KAR AAYA AUR KEHNE LAGA MERE AUR INKEY MAA-BAYN TOH EK SAAND NAZAR AATA THA JO APNI DUM HILAAKAR MUJHE MAARNA CHAHAATA THA, PAS MEIN AAGEY BADHNEY SE DARAA. KAAFI KI EK HADEES MEIN IN DONO AYATON KE MUTAALAQ JO KUCH FARMAAYA ISKA KHULAASA YE HAI KE JO LOG ALLAH PAR AUR RASOOL ALLAH PAR AUR VILAAYAT E AIMMA E HUDA PAR IMAAN NAHI LAAYE UNKI HALAT KO IN AYAATON MEIN BATAUR MISAAL BAYAAN KIYA GAYA HAI KE JAISEY WO SHAKS JISKEY GALEY MEIN IS SHAAN KE TAUQ PADHEY HUE HON KE AAGEY PEECHEY DAAYE –BAAYE NEECHEY-UPAR HAZBEY KHWAHISH DEKH HI NAHI SAKTA WAISEY HI KUFR WA HIMAAQAT WA JAHAALAT KE TAUQ INKEY GALEY MEIN PADHEY HUE HAIN, AUR KHUDA AUR RASOOL KE HUKM KE NA MAANEY KI SHAAMAT NE AAGEY PEECHEY DIWAAREIN BHI QAAYAM KARDI HAIN AUR TAUFEEQ E ILLAHI SALB HOJAANEY KI CHATH BHI PHAT GAYI HAI, PAS NATEEJA JO HONA CHAHIYE WO ZAAHIR HAI.

AYAT NO 11:

TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE YE AAYAT MUQTASAROM KE BAAREY MEIN HAI KE JINMEY SE EK BHI IMAAN NA LAAYA THA AUR ABU JAHAL BHI ISSI QABILEY SE THA. QAUL E MUTARJIM (SYED MAQBOOL AHMED DEHLAVI) HAI – JO LOG APNI JAHALAT SE ABU JAHAL KO JANABEY RASOOL E KHUDA SAWS KA CHACHA BANATEY HAIN QAYAMAT KE DIN WO IN SABKO APNA BHATIJA NA BANAYE TO SAHI. 

AYAT NO 12: 

“MANIT TABA AZ ZIKRA” KAAFI KI IS HADEES MEIN JISKA ZIKR UPAR HO CHUKA HAI MANQOOL HAI KE IS AYAT MEIN “MANIT TABA AZ ZIKRA” SE MURAAD JANAB E AMEERUL MOMINEEN AS HAIN. 

AYAT NO 13:

“INNA NEHNOO NUHYIL MAUTAA” TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE MURDON KO TO HUM RAJAT YA BESATH KE WAQT ZINDA KARKE UTHAENGEY AUR JATHAAL KO AB HIDAAYATH SE ZINDA KARTEY HAIN 

TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE “MA QADDAMO” SE MURAAD WO NEKH WO BAD AAMAAL HAI JO PHELEY KAR CHUKEY AUR INKA ZAAHIRI KOI NISHAAN BAAKHI NA RAHA HO AUR “AASAARAHUM” SE AAMAAL MURAAD HAIN JINKI NISHAANIYAN BAAKHI RAHI, JAISEY KISI KO ILM SIKHA DIYA KOI KITAAB NASEEHAT KARDI KUWAN BANA DIYA DARAKHT LAGA DIYA QADAM NAMAAZ KE LIYE MASJID KI TARAF UTHAAYE, KISI AMR E BAATIL KI ISHAAT KARDI KISI ZULM WO JOOR KI BUNIYAAD DAAL DI. TAFSEER E MAJMUA AL BAYAAN MEIN HAI KE QABILEY BANI SALMA KE LOGON NE JO MADINA E MUNAWWARA KE EK GHOSHEY MEIN ABAAD THAY JANAAB E RASOOL KHUDA SAWS SE SHIKAAYAT KI KE HAMEREY GHAR MASJID SE BOHOT DOOR HAIN AUR IS TARAH HUMEY NAMAAZ E JAMAAT MEIN HAZIR HONEY MEIN TAKLEEF HOTI HAI ISPAR YE AYAT NAAZIL HUI. 

“FEE IMAMIM-MUBEEN” – TAFSEER E QUMMI MEIN JANAAB E AMEER UL MOMINEEN A.S.SE MANQOOL HAI KE AAN-HAZRAT SAWS NE QUD FARMAYA KE “WALLAH WO IMAM E MUBEEN MAIN (ALI A.S.) HOON HAQ WA BAATIL KO SAAF SAAF BAYAAN KARDETA HOON AUR MAINE YE OHDA RASOOL E KHUDA SAWS SE VIRASATAN PAAYA HAI. 

MAANI UL AKHBAAR MEIN JANAAB E IMAM MOHAMMAD BAQIR A.S. SE BA-RIWAAYAT APNE VAALID E MAAJID WA JAD E AMJAD KE MANQOOL HAI KE JANAAB E RASOOL E KHUDA SAWS PAR YE AYAT ‘KULLU SHAIN AHSANAHU FEE IMAM E MUBEEN’ NAAZIL HUI TOH HAZRAT ABU-BAKR WA UMAR APNI APNI JAGAH SE KHADE HUE AUR ARZ KARNE LAGE YA RASOOL ALLAH SAWS KE AYA IMAM E MUBEEN SE MURAAD TAURAIT HAI? FARMAYA NAHI INHOUNE ARZ KI KYA PHIR INJEEL HAI? PHIR DONO NE ARZ KI, AYA QURAAN HAI? FARMAYA NAHI, ITNE MEIN JANAAB E AMEER UL MOMINEEN A.S. TASHREEF LE AAYE, AAN-HAZRAT NE FARMAYA DEKHO WO IMAM JIS MEIN ALLAH TAALA NE HAR CCHEEZ KA ILM EHAASA FARMA DIYA HAI.

EHTEJAAJ E TABRISI MEIN JANAAB E RASOOL E KHUDA SAWS SE EK HADEES MANQOOL HAI KE AAP NE FARMAYA AY LOGO KOI ILM AISA NAHI HAI KE MERE PARWARDIGAAR NE MUJHE TAALEEM NA FARMAYA HO AUR MAINE ALI A.S. KO NA SIKHAYA HO AUR JO ILM BHI ALLAH NE MUJHE SIKHAYA HAI IS KA ALLAH NE MUJH MEIN EHAASA FARMAYA DIYA AUR MAINE IMAM UL MUTTAQEEN MEIN USKA EHAASA KARDIYA.

AYAT NO 14: 

‘ASHAAB AL QARIYAH’ – TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE IS SE MURAAD AL-ZAAKIYA HAI

‘MURSALOON’ – TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE QAUL KE BAARE MEIN DO QAUL HAIN, EK KE IN KO KHUD ALLAH TAALA NE BHEJA THA AUR EK KE BA HUKM E ALLAH HAZRAT EESA A.S. NE BHEJA THA.

AYAT NO 15:

‘IZ ARSALNA ILAYHIM’ – TAFSEER E QUMMI, TAFSEER E AYASHI AUR TAFSEER E MAJMU AL BAYAAN MEIN JANAAB IMAM MOHAMMAD BAQIR A.S. AUR JANAAB IMAM JAFFER SADIQ A.S. SE JO RIWAYATEIN MANQOOL HAI IN SAB KA KHULASA YE HAI KE PEHLE DO RASOOLOUN KO BADSHAAH E AZAAKIA NE GHUSSA HO KAR QAID KAR DIYA THA, TEESRE JO POHONCHE INHOUNE AISA RAABTA WA ZABT BADHAAYA KE BADSHAAH KE DIL MEIN JAGAH KARLI. PHIR IN DONO QAIDIOUN KA QISSA KHUD HI POOCHA AUR JAB IN SE WAJAH BAYAAN KI TOH IS KO YE SALAAH DI KE IN KA IMTIHAAN LENA CHAHIYE CHUNAANCHE WO TALAB KIYE GAYE AUR UN KI DUA SE EK MADARZAAD ANDHE KI AANKHEIN KHUL GAYEE AUE EK PAIDAESHI LANGDE LUULE PAAON SAHI WO SAALIM HOGAYE AUR AAKHIR MEIN BADSHAAH KA EK-LAUTA BETA JISE MARE HUE KUCH ARSA HOGAYA THA ZINDA HO GAYA AUR JAB BADSHAAH NE IS SE DOBAARA ZINDA HOJAANE KA QISSA DARYAAFT KIYA KE DO NEIK BANDOUN NE KI DUA KI WAJAH SE ALLAH TAALA NE MUJHE QAADAT E HAYAAT ATA FARMAYA HAI AUR JAB IS SE DARYAAFT KIYA GAYA KE TUM INKO DOBAARA PEHCHAAN SAKTE HO IS NE HAZAAROUN AADMIOUN MEIN SE IN DONO KO PEHCHAAN KAR BATLA DIYA, IS TARHA BADSHAAH AUR US KI SULTANAT KE KUL AADMI IMAAN LE AAYE.

AYAT NO 21:

‘RAJUL’ – YE AYATEIN ‘JA ALANI MIN MUKRAMEEN’ TAK JAYB UL NAJAAR KE SHAAN MEIN NAZIL HUI HAIN, JO JANAABE RASOOL E KHUDA SAWS PAR BHI IMAAN E KAAMIL RAKHTE THE, HALAANKE AAN-HAZRAT SE 600 BARAS PEHLE THE, YE RIWAAYAT MEIN AAYA HAI KE YE EK GHAAR MEIN BAITHE ALLAH KI IBAADAT KARTE THE AUR JAB IN KO AL ZAAKIR MEIN RASOOLOUN KE AANE KI KHABAR MILI TAB INHOUNE APNE DEEN KA IZHAAR FARMAYA.

AL MAJALIS MEIN JANAAB E RASOOL E KHUDA SAWS SE MANQOOL HAI KE SIDDIQ KUL 3 HAIN (1) JAZQEEL – MOMIN E AAL E FIRAOUN, (2) JAYB UL NAJAAR – MOMIN E AAL E YASEEN AUR (3) ALI IBNE ABI TAALIB A.S. JO SAB SE AFZAL AUR AALA HAIN. 

AL JAAMEH MEIN BHI KHUD AAN HAZARAT SAWS SE MANQOOL HAI GHAIR E AMBIYA MEIN UMMATOUN KE BADE BADE SIRF 3 HAIN JINHOUNE SIRF EK PAL KE LIYE BHI KUFR NAHI KIYA AUR ALI IBNE ABI TAALIB A.S. DOOSRE SAAHIB E YASEEN AUR TEESRE MOMIN E AAL E FIRAOUN, SIDDIQ SIRF YEHI 3 HAIN AUR ALI A.S. IN MEIN SE AFZAL AUR AALA HAIN.

AYAT NO. 36  

‘SUBHAAN AL LAZEE KHALAQAL AZWAAJA’ – TAFSEER E QUMMI MEIN HAI IMAM MOHAMMAD BAQIR A.S. SE MANQOOL HAI KE NUTFA AASMAAN SE ZAMEEN PAR NAAZIL HOTA HAI NABAATAAAT PE YANI PHOOLOUN AUR DARAQTOUN MEIN QARAAR LETA HAI PAS AADMI BHI ISI NABAATAAT MEIN SE KHAATA HAI AUR JAANWAR BHI, LEHAAZA IN SAB KE SALB MEIN WO POHONCH JAATA HAI.

AYAT NO. : 37

‘NASLAQU MINHUN NAHAAR’ – KAAFI MEIN JANAAB IMAM MOHAMMMAD BAQIR A.S. SE MANQOOL HAI KE IS AYAT KA MATLAB YE HAI KE JANAAB E RASOOL E KHUDA SAWS KA INTEQAAL HOTE HI AISA ANDHERA CHAA GAYA KE LOGOUN KO IN KE AHLEBAIT A.S. KI FAZEELAT HI NAZAR NA AAYI.

AYAT NO. 38

‘TAJREE UL LI-MUSTAQQIN LAHAA’ – TAFSEER E MAJMU AL BAYAAN MEIN JANAAB IMAM MOHAMMAD BAQIR A.S. AUR JANAAB IMAM JAFFER SADIQ A.S. KE WO DONO BUZURGWAAR IS YUN TILAWAT FARMATE THEY ‘LI-MUSTAQQIN LAHAA’ JIS KE MAANA YE HAI IS KO SUKOON WA QARAAR NAHI BALKE BARABAR HARKAT MEIN HAI.

AYAT NO. 39

‘MANAZILA’ – TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE IS SE MURAAD WO 28 MANAZILEIN HAIN JIN MEIN SE EK EK MEIN CHAAND HAR RAAT KO POHONCHTA REHTA HAI, NA KISI SE AAGEY NA KISI SE AAGEY BADHJAATA HAI.

AYAT NO. 40 

‘WA LIL LAYLI SAABEQO MIN HUN NAHAAR’ – TAFSEER E QUMMI MEIN JANAAB IMAM MOHAMMAD BAQIR SE IS POORI AYAT KA MATLAB YE MANQOOL HAI KE SURAJ DIN KA BAADSHAH HAI AUR CHAAND RAAT KA. YAANI YE DONO RAAT YA DIN PAR DALALAT KARNE WAALE HAIN. SURAJ KI YE MAJAAL NAHI HAI KE RAAT KO CHAAND KI ROSHNI KE SAATH AA MAUJOOD HO AUR NA KOI RAAT DIN SE AAGEY BADH SAKTI HAI, YAANI JAB TAK RAAT KHATM NA HOLEY DIN KO AANE KA MAUQA HI NAHI DIYA JAATA AUR ‘KULLU FEE FALAKANI YASBAHOON’ KA YE MATLAB HAI KE AASMAAN KE GOOL HONE KE BAA-ES SHAB WA ROOZ EK DOOSRE KE PEECHE LAGATAAR CHALE AATE HAIN. 

TAFSEER E MAJMU AL BAYAAN BARIWAYAT TAFSEER E AYASHI MEIN JANAAB IMAM RAZA A.S. SE MANQOOL HAI KE DIN RAAT SE PEHLE PAIDA KIYA GAYA HAI AUR ALLAH KE IS QOUL ‘WAL LAYLO SABEQUN NAHAAR’ SE YEHI SAABIT HAI KE DIN RAAT KE MUQADDAM HAI.

EHTEJAAJ E TABRISI MEIN JANAAB IMAM JAFFER SAQIQ A.S. SE MANQOOL HAI KE DIN RAAT SE PEHLE PAIDA KIYA GAYA AUR SURAJ CHAAND SE PEHLE AUR KAAFI MEIN ITNA AUR ZYAADA HAI KE NOOR E ZULMAT SE PEHLE.

AYAT NO. 41

“ANNA HAMALNA” – TAFSEER E SAAFI MEIN HAI DUSRI JAGAH ALLAH TAALA NE IS MAZMOON KO YUN ADAA FARMAAYA HAI “ZURIYATAA MIN HAMLNA MEH NUH , ZURIYAT KE MAANA HAIN AULAAD . AB YEH FARMAAYA KE INKI ZURIYAT KO KASHTI MEIN SAWAAR KIYA THA ISKA YEH MATLAB HAI KE SAWAAR TOH INKEY BUZURGON KO KIYA THA AUR YEH KHUD INKI ZURIYAT INKEY SALB MEIN MAUJOOD THI PAS LAFZEY  ZURIYAT KO KHUSUSIYAT SE ISTAMAAL KARNA EHSAAN JATLAANEY MEIN TOH AALAA DARJEH KA BALEEQ HAI, AUR BAAWAJOOD APNEY IQTESAAR KE HAIRAT WA TAAJUB MEIN DAALNEY WAALA HAI. 

“AL FALAKIL MASHOON” – AL KHISAAL MEIN JANAAB AMEERUL MOMINEEN SE EK HADEES MANQOOL HAI JISKA EK JUZ YEH BHI HAI KE UN HAZRAT SE DARIYAAFT KIYA GAYA THA KE “MA AL TASOON” YANI 90 KYA HAI ? FARMAAYA “AL FALAKIL MASHOON” YANI MURAAD HAI KASHTI E NUH KYONKI HAZRATH NUH NE ISME JANWARON KE LIYE 90 JAANEY BANAYE THAY. 

AYAT NO. 45 : 

“ATAQUWA MA BAYNA AYDIKUM”- TAFSEER E MAJMU AL BAYAAN MEIN IMAM JAFFAR E SADIA AS SE MANQOOL HAI KE ISSEY MURAAD TUMHAAREY WHO GUNAH JO GUZAR CHUKEY AUR “MA QALFAKUM” SE MURAAD WO AZAAB HAI JO IN GUNAHON KE BADLEY HONEY WALA HAI. 

AYAT NO 49 :

“YA QISSIMOON” – TAFSEER MEIN HAI KI AAQIR ZAMAANEY KA ZIKR HAI KE LOG BAAZAARON MEIN APNEY APNEY JHAGDEY AUR KHISSON MEIN HONGEY AUR EK CHEEK KI AWAAZ EKA – EK AAYEGI PAS JO JIS JAGAH HOGA WAHI MARJAYEGA, KISI KI YE MAJAAL NA HOGI KE MAKAAN KO LAUTEY YA KOI WASIYAT KARSAKEY.

TAFSEER E MAJMU AL BAYAAN MEIN EK HADEES MANQOOL HAI JISKA EK JUZ YE BHI HAI KE QAYAAMAT IS TARHA AAJAYEGI KE DO AADMIYON NE EK KAPADA PHAILA RAKHA HOGA. EK ISKO BECHTA HOGA AUR DOOSRA ISKO KHAREEDTA HOGA. ABHI USEY TAY NA KAR PAAENGEY KE QAYAAMAT AAJAAYEGI. 

AUR EK SHAKS LUQMA UTAAYEGA KE MUH MEIN RAKHEY ABHI ISKA LUQMA MUH TAK NA POHCHA HOGA KE QAYAAMAT AAJAAYEGI. AUR EK SHAKHS HOUZ PAR AAKAR KHADA HOGA KE APNE CHOWPAYE KO PAANI PILAAYE ABHI WO PANI NA PILA CHUKA HOGA KE QAYAAMAT AAJAAEGI. 

AYAT NO 52: 

“MIN BA-ASNA MIN MARQADENA”

AL JAAMEH MEIN HAI KE JANAAB AMEERUL MOMINEEN AS KI QIRAAT YUN THI “MIN BA-ASNA MIN MARQADENA” YAANI “MIN” HARF E JAAR “BA – ESI” MAZDAR MAZAAF NA ZAMEER TAKALUM MAZAAF AALIYA JUMLA MAJROOR. QAUL E MUTARJIM “MIN BA – ASNA” PADHNEY MEIN GUSTAAQANA SAWAAL PAYA JAATA HAI AUR HAQEEQAT E HAAL SE BEKHABARI, HAALANKEY HAQEEQAT US WAQT AISI MUNKASHIF HO CHUKI HOGI JAISI KE UPAR KI AYAT MEIN ZAHIR HAI. 

AYAT NO. 53

“JAMIUL LADAYNA MUHZARUUN” – TAFSEER E MAJMU AL BAYAAN MEIN IMAM JAFFER SADIQ A.S. SE MANQOOL HAI KE JAB ALLAH TAALA ZAMEEN KE REHNE WALON KO MAUT DEGA TOH JITNA ARSA IN SAB KI MAUT AUR PAIDAISH MEIN SARF HUA HOGA US SE KISI GINE ZAMANE TAK TAWAQQUF FARMAEGA, PHIR PEHLE AASMAAN KE REHNE WALON KO MAUT DEGA PHIR JITNA ARSA IS MAQLOOQ KO PAIDA KARNE MEIN AUR AHLE ZAMEEN AUR AHLE AASMAAN E AWWAL KI MAUT MEIN SARF HUA THA IS SE KAEE GUNA ZYAADA ARSE TAK TAWAQQUF FARMAEGA, IS KE BAAD DOOSRE AASMAAN KE REHNE WALON KO MAUT DEGA PHIR JITNA ARSA INKI PAIDAISH MEIN AUR ZAMEEN WALON KI AUR PEHLE AASAMAN WALON KI AUR DOOSRE AASMAN WALON KI MAUT MEIN SARF HUA THA US SE KAEE GUNA ZYAADA TAWAQQUF FARMAEGA, PHIR TEESRE AASMAAN WALON KO MAUT DEGA IS KE BAAD JITNA ARSA UN KI PAIDAISH MEIN LAGA THA AUR JITNA ARSA AHLE ZAMEEN AASMAAN E AWWAL DUWWAM AUR SUWWAM KI MAUT MEIN SARF HUA THA IS SE KAEE GUNA ZYAADA TAWAQQUF FARMAEGA,AUR ISI NISBAT SE HAR AASMAAN KE REHNE WALON KO MAUT DETA JAAEGA AUR TAWAQQUF FARMATA RAHEGA, PHIR MIKAAEEL KO MAUT DEGA PHIR ITNI DEIR TAWAQQUF KAREGA JITNI TAMAAM MAQLOOQ KO PAIDA KARNE MEIN AUR MAUT DENE MEIN SARF HUI THI AUR IS SE BHI KAEE GUNA ZYAADA, PHIR JIBRAEEL AMEEN KO MAUT DEGA AUR IS KE BAAD JITNA ARSA KUL MAQLOOQAAT KI PAIDAISH MEIN AUR IN SAB KO MAUT DENE MEIN GUZAR CHUKA HOGA UTNA AUR US SE KAEE GUNA ZYAADA TAWAQQUF FARMAEGA, PHIR ISRAFEEL KO MAUT DEGA AUR IS KE BAAD JITNA ZAMANA KUL MAQLOOQAAT KI PAIDAISH MEIN AUR IN SAB KO MAUT DENE MEIN US WAQT TAK GUZAR CHUKA HOGA UTNA AUR US SE KAEE GUNA ZYAADA ARSE TAK TAWAQQUF FARMAEGA, IS KE BAAD MALAK UL MAUT KO MAUT DEGA PHIR ITNA ARSA TAWAQQUF FARMAEGA JITNA SAARI MAQLOOQ KO PAIDA KARNE MEIN AUR IN KO MAUT DENE MEIN SARF HUA THA AUR US SE BHI KAEE ZYAADA, IS KE BAAD ALLAH TAALA FARMAEGA “ MAN IL MULK AL YOUM” (AAJ SULTANAT KISKI HAI) PHIR KHUD HI JAWAAB DEGA “LILLAHI WAAHIDAL QAHHAR” (KHUDA E EKTA AUR ZABARDAST KI), PHIR FARMAEGA KE SARKASH KIDHAR HAI ? WO LOG KYA HUE JO MERE SAATH AUR KHUDA BANAYA KARTE THE ? MUTAKABBIR KAHAAN HAI ? AUR UN KA TAKABBUR KYA HUA ? US KI MAQLOOQ KO AS SAR E NAU PAIDA KAREGA, RAAVI KEHTA HAI MAINE ARZ KIYA YE TAMAAM MUAMLA ITNA TOUL KHEENCHEGA? KYA TERA YE KHAYAAL HAI KE AGAR AISA NA HONE WALA HOTA TOH MAIN ITAN TOUL DE KAR BAYAAN KARTA ? IS NE ARZ KI NAHI MERA YE KHAYAAL NAHI HAI, FARMAYA BAS YE KHAYAAL RAKH KE AISA HI HOGA, YAANI ITAN HI TOUL KHEENCHEGA.

AYAT NO. 58

“SALAAMUN QAULUM MIN RABBIR RAHEEM” – TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE IS KA MATLAB YE HAI KE EK BAAT ALLAH KI TARAF SE UN KE HAQ MEIN KAHI JAAYEGI, YAANI ALLAH TAAL KHUD IN PAR SALAAM KAHEGA.

TAFSEER E QUMMI MEIN HAI KE ALLAH TAALA KI TARAF SE YEHI AMAAN HAI.

AYAT NO. 59

“WAMTAZUL YOUMA AYYOHAL MUJRIMOON” – TAFSEER E QUMMI MEIN HAI KE ALLAH TAALA QAYAMAT KE DIN MAQLOOQ KO JAMA FARMAEGA WO APNE PAOON KE BAL KHADE RAHENGE TAA AAKAR PASEENA IN KI THUDDIOUN TAK POHONCHEGA PAS WO IS WAQT PUKARENGE KE KHUDAYA HUMARA HISAAB FARMA GOH HUME JAHANNUM MEIN HI JAANA HO. MASOOM FARMATE HAIN KE ALLAH TAAL IS WAQT KUCH HAWAOUN KO BHEJ DEGA JO SAFOUN KE AUR AADMIOUN KE MAA-BAYN CHALTI HONGI AUR EK MUNAADI YE NIDA DEGA “WAMTAZUL YOUMA AYYOHAL MUJRIMOON”, ISI WAQT LOGOUN MEIN JUDAI HO JAYEGI, MUJRIM TOH JAHANNUM MEIN CHALE JAAYENGE AUR JIS JIS KE DIL MEIN IMAAN HOGA WO JANNAT KI TARAF CHALE JAAYENGE.

AYAT NO. 60

“LA TAABUD-USH-SHAYTAAN” – KAAFI MEIN JANAAB IMAM JAFFER SADIQ A.S. SE MANQOOL HAI KE JIS SHAQS NE ALLAH KI NA FARMAANI KE KAAM MEIN KISI AADMI KI ITAAT KI GOYA US NE USI KI IBAADAT KI AUR IMAM MOHAMMAD BAQIR A.S. SE MANQOOL HAI KE JIS NE KISI KEHNE WALE KI BAAT KO KAAN LAGA KAR SUNA PAS WO US KA BANDA BAN GAYA, AB AGAR WO BOLNE WALA ALLAH KI TARAF SE KUCH KEHTA HAI TOH WO SUNNE WALA ALLAH KA BANDA BANA AUR AGAR WO BOLNE WALA SHAYTAAN KI TARAF SE BOLTA HAI TOH WO SUNNE WALA SHAYTAAN KA BANDA BAN GAYA.

AYAT NO. 66

“TUKALLIMUNA AYDIHIM” – TAFSEER E QUMMI MEIN HAI KE JAB ALLAH TAALA QAYAMAT KE DIN MAQLOOQ KO JAMA FARMAEGA TOH HAR HAR AADMI KO USKA NAAMA E AAMAAL BHI ATA FARMAEGA, WO IS MEIN NAZAR DAALENGE AUR INKAAR KARENGE KE HUM NE TOH IN MEIN SE EK BAAT BHI NAHI KI IS PAR ALLAH TAALA UN KE BARKHILAAF FARISHTOUN SE GAWAHI LE LEGA AUR WO YE KAHENGE KE YA ALLAH YE TOH TERE HI FARISHTE HAIN YE TERI HI SI KAHENGE, PHIR DOBARA QASAM KHA KAR KAHENGE KE HUM NE TOH IN MEIN SE EK BHI FAEL NAHI KIYA IS WAQAYE KO ALLAH TAALA LAFZOUN MEIN BHI FARM CHUKA HAI ( JIS DIN ALLAH TAALA IN SAB KO MAABOOS FARMAEGA TOH WO IS KE HUZOOR MEIN BHI ISI TARHA QASMEIN KHAYENGE JIS TARHA TUMHARE SAAMNE QASMEIN KHAA LETE HAIN) JAB WO ITNI JURRAT KARENGE TOH ALLAH TAALA UN KI ZABAAN PAR MOHAR LAGA DEGA, UNKE AAZA WA JAWAARE JO JO KUCH WO KIYA KARTE THEY WO SAB BAYAAN KARDENGE.

KAAFI MEIN IMAM MOHAMMAD BAQIR A.S. SE MANQOOL HAI KE MOMIN KE AAZA WA JAWAARE IS KE BARKHILAAF GAWAHI DENGE, AISI GAWAHI TOH UN LOGOUN KE BARKHILAAF GUZREGI JO AZAAB KE MUSTAEQ QARAAR DIYE JAYENGE, RAHA MARD E MOMIN IS KA NAAMA E AAMAAL IS KE DAHINE HAATH MEIN DIYA JAYEGA JIS KE BAARE MEIN ALLAH FARMATA HAI “FA-MAN AWTA….

AYAT NO. 72

“WAZZAL NAHA LAHUM” – TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KI, ISKA MATLAB YE HAI KI IN CHOWPAAYON KO HUMNEY INKA MUTEE BANA DIYA HAI ISKA SABOOTH YE HAI KI MASLAN OONTH KO DEKHNEY KE BAWAJOOD IS QUWATH WA AZMATH KE EK BACCHA ISKO HAANKTA PHIRTA HAI.

AYAT NO 75

“LAA YASTIOONA NASRAHUM” – TAFSEER E QUMMI MEIN HAI KI JANAAB IMAM MOHAMMED BAQIR AS SE IS KA MATLAB YE MANQOOL HAI KI INKEY DEVTA TOH UNKI KOI MADAD NAHI KAR SAKTEY AUR WO GIROH KE GIROH UNKEY PAAS HAAZIR REHTE HAIN. AUR EK QAUL KE BAAMAUJIB, “MUHZAROON” KE YEH MAANA BHI AAYE HAIN KI JIN BUTOUN KI YE POOJA KIYA KARTEY THAY INHI KE PEECHEY PEECHEY INKEY GHOUL KE GHOUL JAHANNUM MEIN BHEJ DIYE JAAYENGE 

AYAT NO 79

“QUL YUHYEE AL LAZZI ANSHA AHA AWWALA” – TAFSEER E AYASHI MEIN IMAM JAFFAR E SADIQ AS SE AUR EHTEJAAJ E TABRISI MEIN JANAAB AMEERUL MOMINEEN AS SE MANQOOL HAI KE UBA IBNE QALAF AYA AUR DEEWAR MEIN SE EK PURAANI HADDI LAAYA AUR ISKO CHOORA KARKEY KEHNEY LAGA “AYE MOHAMMED KYA JAB HUM HADDIYAN AUR RAAKH HO JAAENGEY TOH KYA HUM ASSAR E NAW PAIDA KARKEY UTHAEY JAAENGEY?” IS PAR YEH AYAT NAAZIL HUI , NEEZ IMAM JAFFAR E SADIQ AS SE MANQOOL HAI KE MARNEY KE BAAD ROOH TOH EK MAQAAM MEIN MUQEEM HO JAYEGI NEKOKAAR KI ROSHAN AUR WASI MEIN AUR BADKAAR KI TANG WA TAREEK MEIN AUR JISM MITTI HO KAR ISSI MITTI MEIN MIL JAYEGA JIS SE WO PAIDA KIYA GAYA THA AUR HASHRAAT WA DARINDEY JO KUCH KHAAYE JAATEY HAIN WO INKE PAIT SE NIKAL KAR ISSI MITTI MEIN ISKEY ILM MEIN MEHFOOZ RAHEYGA JIS SE ZAMEEN KI TAARIKION TAK MEIN KOI ZARRA BHI POSHIDA NAHI HAI AUR TAMAAM CHEEZON KI GINTI BHI JAANTA HAI AUR WAZAN BHI ROOHANI BANDON KI MITTI ISI SHAAN SE RAHEGI JAISA SONA MITTI MEIN REHTA HAI, AUR JAB BESAT KA WAQT AAYEGA TOH ZAMEEN PAR WO BAARISH BARSEYGI JIS SE MAQLOOQ KI AS SARE NAU PAIDAAESH KA SISILA PHIR SHURU HOJAAYEGA PAS ZAMEEN BAALIDA HOJAYEGI PHIR USKO ISTARAH HARKAT DI JAAYEGI JAISEY DOODH KO UBALNEY KE WAQT PAS AADMI KI MITTI AAM MITTI SE ISI TARHA ALAG HOJAYEGI JAISEY SONEY KE ZARREY PAANI SE DHONEY PAR MITTI SE ALAG HOJAATEY HAIN AUR MAKHAN YA MASKA HARKAT PAANEY PAR DOODH SE ALAG HOJAATA HAI PHIR HAR HAR KHISAM KI MITTI ISI JISM KE SAATH JAMA HOJAYEGI AUR KHUDA E QAWEE QADIR KE HUKM SE HAR JISM APNI APNI ROOH KE PAAS POHONCH JAAYEGA AUR MUSSAWWIR E HAQEEQI KE HUKM SE SURATEIN BHI APNI APNI ASLI HALAT PAR URAD KAR AAYENGI AUR ROOHEIN IN JISMON MEIN DAAKHIL HO JAAENGI AUR JAB YE HAALAT QAYAM HO JAAYEGI TOH KISI KO JAAE INKAAR BAAQI NA RAHEYGI. 

AYAT NO 80 – 

“ MINNASH SHAJARIL AKHZAARI NAAR AN”-  TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE AGAR SHAAKHEY MURQ KO SHAAKHEY AZAAR PAR JIS HAAL MEIN KE YE DONO SHAAKHEIN SABZ HON IN MEIN SE PAANI TAPAKTA HO RAGDHA JAAYE TOH AAG PAIDA HOJAAYEGI TAFSEER E QUMMI MEIN HAI KE MURQ AUR AAZAAR DONO DARAQT KI QISMEY HAIN AUR MULK E ARAB KE EK GOSHEY MEIN HOTEY HAIN LOGON KO JAB AAG SULGANEY KI ZAROORATH HOTI HAI TOH SOOKHI LAKDIYAN CHUN KAR IN DONO KI SHAAQON KO BEECH MEIN RAKH KAR EK DOOSREY SE RAGADH DETEY HAIN AUR IS TARHA INSEY AAG NIKAAL LETEY HAIN.

AYAT NO 81- 

“BE QAADIRIN ALA ANNA YAKHLOOQO MISLOHUM”- EHTEJAAJ E TABRISI MEIN IMAM JAFFAR E SADIQ AS SE MANQOOL HAI KE BEHES WA JADAAL JO UMDA TAREEQEY SE HO WO TOH AISI CHEEZEIN HAIN JIS KA KHUDA E TAALA NE APNE NABI KO HUKM DIYA HAI KE JOH MAUT KE BAAD PHIR UTHAYA JAANEY AUR ZINDA HONEY KA MUNKIR HAI ISSE JADAAL KARO CHUNACHEY FARMATA HAI “WAZRIB LANA MASALAN WA NASEEYA QALAQA” PAS KHUDA E TAALA NE APNE NABI SE YE CHAHA KE IS SHAQS SE BHI MUJAADILA FARMAAYE JIS NE YEH KEH DIYA THA “MAN YUHYEE AL AZAMA WA HIYA RAMEEM” HUKM AYA KE TUM KAHO “YUHYEE YA AL LAZEE ANSHA HA AWWALA MARRA” JISKA YE MATLAB HAI KE JISNE KISI CHEEZ KI IBTEDAH KI HO KYA WO ISSE AAJIZ HOJAYEGA KE IS CHEEZ KE PURAANEY HO JAANEY KE BAAD PHIR USEY NAYA KARDEY TUM LOGON KE NAZDEEKH BHI TOH AADAH KARNEY KI NIZBATH IBTEDAH HI MUSHKIL HOTI HAI PHIR FARMAYA “AL LAZEE JAA ALA LAKUM MINASH SHAJARIL AQZAARI NAARAL”

JISEY YE JATHLAANA MAQSOOD HAI KE JIS ZAAT MEIN IS BAATH KI QADR MAUJOOD HAI KI GEELEY AUR HAREY DARAQT MEIN AAG CHUPA KAR RAKHDEY AUR PHIR WAQT PAR NIKAAL DE TOH ISSEY TUM SAMAJH SAKTEY HO KE CHEEZON KO NAYA KARNEY KI TOH KUCH AUR ZIYADA HI QUDRAT RAKHTA HOGA PHIR FARMAYA “AWALAYSAL LAZEE QALAQAZ SAMAAWATI WAL ARZ BE QAADIRIN ALAA ANNAA YAQLOOQU MISLAHUM” – ISKA YE MATLAB HAI KE JAB AASMAANON AUR ZAMEEN KO PAIDA KARDIYA JOH TUMHAREY GUMAAN AUR ANDAAZEY MEIN BADI AZEEM O SHAAN AUR AJEEB AUR GHAREEB CHEEZEIN HAIN IS KHUDA MEIN TUM ITNI QUDRATH BHI NAHI JAANTEY KE EK PURAANI CHEEZ KO NAYA KARDEY PHIR YE TUMNEY KAISEY SAMJH LIYA KE IN AJEEB O GHAREEB CHEEZON KO KHUDA HI NE PAIDA KIYA HAI AUR AGAR TUM TAJWEEZ KAR CHUKEY HO TOH ISSEY KAHIN AASAAN AMR YAHI PURAANI CHEEZON KO NAYA KARDENA YE KYON NAHI MAANTEY. 

AYAT NO 82- 

“KUN FA YA KUN” TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE TAASEER E QUDRAT E PARWARDIGAAR E AALAM SAABIT KARNE KE LIYE AMR BA TAUR E TAMSEEL BAYAAN KIYA GAYA HAI, YANE JIS WAQT WO KISI KAAM KO CHAAHE WO FAURAN HO JAATA HAI, KISI QISAM KA TAWAQQUF NAHI HONE PATA NA IS BAAT KI EHTEJAAJ HOTI HAI KE KOI SUNNAT KI JAAYE YA KISI AALEY KA ISTAMAAL HO. 

AL UYOON MEIN JANAAB IMAM RAZA AS SE MANQOOL HAI KE UNSE MURAAD SANAT E KHUDA AUR “MAA YAKOONO” SE MURAAD HAI MASNUAAT E KHUDA AUR NAHJUL BALAGHA MEIN HAI KE KHUDA E TAALA KE KALAAM SE MURAAD USKA FAYL HAI AGAR WO CHAHE TO KUCH FARMAAYE MAGAR WO FARMAATA HAI TOH YEH ZAROORI NAHI KE WO ALFAAZ HO. AUR IRAADA KARTA HAI TO YEH ZAROORI NAHI HAI KE USSE PHELEY SE SOCHA RAKHA HO BALKEY ISKE IRAADE KE LIYE KISI SONCH WA FIKR KI ZAROORAT HI NAHI 

TAFSEER E QUMMI MEIN HAI KE USKE QAZAANE “KAAF WA NOON” KI POONJI MEIN HAIN. 

AYAT NO 83- 

“MALAKOOTO” TAFSEER E SAAFI MEIN HAI KE ISSE MURAAD KISI SHEH KA WO ROOHAANI HISSA HAI JISPAR US SHAY KI HASTI KA MADAAR HO.

*****

Categories
Quran

SURAH E WAQIAH

Rehman Wa Raheem Khuda Ke Naam Se

Jabke Qayamat Waqe Hojaye.

Jiske Waqe Hone Me Koi Jhoot Nahi.

Wo Pusht Aane Wali (Bhi) Hai Aur Buland Karnewali (Bhi)

Jiswaqt Zameen Aisi Hilayi Jayegi Jaise Ke Hilaye Jane Ka Haq Hai

Aur Pahad Aisay Ukhad Diye Jayenge Jaisa Ke Ukhad Diye Jane Ka Haq Hai

Phir Wo Phaila Huwa Ghubar Hojaenge 

Aur Tum Teen Giroh Hojaoge

Pas Daen Taraf Walay, Kya Kehne Daen Taraf Walon Ke

Aur Baeen Taraf Walay Phoot Gaye Naseeb Unke, Baeen Taraf Walon Ke.

Aur Aage Badhne Walay To Aage Hi Badhne Walay Hain.

Nemat Wali Jannato Me

Muqarrabe Bargah to Wahi Hain

Pehlon Se Bahot Se Hain Aur Pichle Me Se Thode Se

Sone Se Banay Huway Jadao Taqton Par Aamne Samne Takiya Lagaye Baithe Honge 

Hamesha Rehne Walay Ladke glass Aur Lutiyan aur Aisi Sharab Ke Jaam Liye huway Unke Paas Aate Jate Rahenge Jisse Na unko kabhi darde Sar Hoga Aur Na Unke Hosh Wa Hawas Goum Honge

Aur Phal Wo Laenge Jinko Ye Pasand Karlen

Aur Parindon Ka Gosht (Aisa) Jiska Unko Ji Chahay

Aur Badi Badi Aankhon Wali Huren Aisi Jaisay Chipay Huway Moti

Jo Nek Amal Ye Kiya Karte Thay Ye Uska Ewaz Hoga 

Siwaye Salaam Aur Salaam Kehne Ke Wo Jannat Me Na Koi Lagho Baat Sunge Aur Na Koi Gunah Ki Baat

Aur Dahne Haath Walay Kya Kehne Dahne Haath Walon Ke

Wo Baghair kanton Wali Jhuki Huwi Berion Me Honge Aur Teh Ba Teh kelon Me 

Aur Phalay Huway Saye Me

Aur Behte Huway Pani Me 

Aur Bahot Se Mewe Me Jo Na Khatam Hoga Aur Na Roka Jaega

Aur Ounche Ounche Farshon Par Honge (Aur Huren Bhi Unko Milengi) 

Humne Yaqinan Unko Bilkul Naya Paida Kiya Hai 

Phir Hum Unko kunwariyan Pyar Dilane Waliyan Aur Hum Sin Khaskar Dahne Haath Walon Keliye Qarar Diya Hai 

Ye Bahot se Pehlon Me Se Honge aur Bahot Se Pichlon Me Se Honge 

Aur Baen Haath Walay Kya Buri Gat Hogi Baen Haath Walon Ki 

Aag Ki Tapish Me Aur Khaolte Pani Me Aur Siyah Dhuwen Ke Saaye Me Honge 

Jo Na Thanda Hoga Aur Na Nafa baksh

Beshak Wo Isse Pehle Badi Aasaesh Me Thay

Aur Baday Baday Gunahon Par Israr Kiya Karte Thay Aur Ye Kaha Karte Thay Ke Kya Jab hum Marjaenge Aur Mitti Aur Haddiyan Hojaenge To Aaya Hum Phir Bhi Uthaye Jaenge?

Aaya Hamaray pehle Baap Dada Uthaye Gaye?

Tum Ye Kehdo Ke Pehle Aur Pichle Ek Muqarrera Din Ke Moayyin Waqt Par Zaroor Jama Karliye Jaenge 

Phir Tum Aye Giroho Aye Jhutlane Walo Tohar Ke Daraqt Me Se Khane Walay Aur Isise Paet Bharne Walay Hoge

Phir iske Upar Se Khaolta Huwa Pani Pine Walay

Aur Pyase ounton Ki Si Pilayi Pine Walay Honge

Jaza Wa Saza Ke Din Ye Unki Mehmani Hogi

Humne Tumko Paida Kiya Hai Phir Tum Kyun Nahi Tasdeeq Karte?

Aaya Tumne Ghaor Kiya Ke jo Mani Tum (Rehem Me) pohanchate Ho Kya Tum Isse Aadmi Ko Paida Kardete Ho Ya Hum Paida Karne Walay Hain?

Humne Hi Tumharay Mabaen Maot Ko Muqarrar Kardiya Hai Aur Hum (Isme) Aajiz Nahi Hain Ke tumharay Badle Me Tum Jaisay Aur Banaden 

Aur Tumko Is Halat Me Paida Karden Jisay Tum Nahi Jantay 

Aur Pehli Paidaesh ko To Tum Yaqinan samaj Gaye Ho Phir (Usko) Kyun Nahi Yaad Rakhte?

Aaya Tumne Isme bhi Ghaor Kiya Ke Jo Beej Tum Botay Ho Kya Tum Usko ugate Ho Ya Hum Ugane Walay Hain?

Agar Hum Chahte To Usko Machura (Chura) Kardete 

Phir Tum Baten Hi Banatay Rehjatay Ke Hum Par To Dand Pad Gaya

Balke Hum (To) Badnaseeb Log Hain 

Aaya Tumne Us Pani Ke Baray Me Bhi Ghaor Kiya Jisay Tum Pitay Ho?

Kya Tumne Usko Badalon Se Utara Hai Ya Hum Utarne Walay Hain?

Agar Hum Chahte To Usko Kadwa Khari kardete Phir Tum Shukar Kyun Nahi Ada Karte?

Aaya Tumne Is Aag Ke Baray Me Bhi Ghaor Kiya Hai Jisay Tum Sulgate Ho?

Kya Iske (Indhan Ke) Daraqt Ko Tumne Paida Kiya Hai Ya Hum Paida Karne Walay Hain?

Humne Usko (Aatishe Jahannum Ka) Yaad Dilane Wala Aur Jungle Ke Rehne Walon Keliye Nafa Ki Cheez Qarar Diya Hai

Pas Aye Rasool (Saws) Tum Apne Azmat Walay Khuda Ke Naam Ki Tasbeeh parho

Pas Qasam Hai Sitaron Ke Girne Ki Jagah Ki Aur Agar Tum Samjho To Ye Qasam Bahot Hi Badi Hai

Beshak Nafa Dene Wala Quran (majeed) Zaroor Poshida Nawishtay Me Hai

Jisko Siwaye Unlogon Ke Jo Paak Kardiye Gaye Hain Koi Chuta Hi Nahi

Tamaam Aalamon Ke Parwardigar Ki Taraf Se Utara Huwa Hai

Kya Tum Isi Baat Ke Mutaliq Kabeli Karte Ho?

Aur Apni Rozi Ka Shukriya Isi Baat Ko Qarar Dete Ho Ke Jhutlaya Karo 

Phir Us Waqt Tumhara Qabu Kyun Nahi Chalta Jabke jaan Halq Tak Aapohanchti Hai Aur Tum Uswaqt (Paday Paday) Dekha Karte Ho

Aur Hum Is (Maot) Ki Nisbat Tumse Zyada Qareeb Hain

Laikin Tumko Sujta Hi Nahi phir Agar Tum Kisi Ke Matehet Nahi Ho To Agar Tum Sache Ho To Is (Jaan) Ko Laota Kyun Nahi Latay?

Pas Agar Wo Muqarribane Bargah Se Hai To (Uskeliye) Rahat Aur Khushbu Hai aur Nemat Wali Jannat Hai

Aur Agar Wo Dahni Taraf Walon Me Se Hai To Dahni Taraf Walon Se Tumhare Liye Salamati Hi Salamati Hai 

Aur Agar Wo Jhutlane Walay (Aur) Gumrahon Me Se Hain to Khaolte Huway Pani Ki Mehmani Hai Aur Jahannum Me Jana Hai (Jo Kuch Bayan Kiya Gaya) Ye Zaroor Jhupi Tuli yaqini Khabar Hai

Pas (Aye Rasool Saws) Tum Apne Azmat Walay Parwardigar Ke Naam Ki Tasbeeh Parho.

Categories
Quran

SURAH E KAHF 

RAHMAAN WA RAHEEM ALLAH KE NAAM SE 

  1. SAB TAREEF IS ALLAH KE LIYE ZEBA HAI JISNE APNE BANDE PAR KITAAB NAAZIL FARMAYI AUR USME KOI KAJI NA CHODI. 
  2. AISI THEEK KITAAB KE ISKE ZARIYE SE KHUDA KE SAQT AZAAB KA KHAUF DILAAYE AUR IN MOMINO KO JO NEKIYAAN KARTE HAIN YE KHUSHQABARI SUNAYE KE UNKE LIYE NEK MUAEWAZA HAI
  3. JISME WO HAMESHA RAHENGE 
  4. AUR UN LOGO KO BHI DARAAYE JINHON NE YE KEH DIYA THA KE ALLAH NE BETA BANA LIYA HAI 
  5. NA TOH KHUD UNKO ISKA KUCH ILM HAI AUR NA UNKE BAAP DADA HI KO THA BADI SAQT BAAT HAI JO UNKE MUH SE NIKALTI HAI WO BADA JHOOT BOLTE HAIN.
  6. PAS AGAR WO IS BAAT PAR IMAAN NA LAAYE TO SHAAYAD TUM AFSOOS KE MAARE INKE PEECHEY APNI JAAN HALAAK KAR DAALOGE?
  7. BIL TEHQEEQ HUMNE USKO JO ZAMEEN PAR HAI USKI ZEENAT QARAAR DIYA HAI KE HUM UNKO AAZMAYE KE UN MEIN SE SABSE ACCHA AMAL KARNE WALA KAUN HAI 
  8. AUR HUM JO KUCH BHI ISPAR HAI (ISE FANA KARKE) CHATYAL MAIDAAN BANAANE WALE HAIN.
  9. KYA TUM NE YE GUMAAN KAR LIYA HAI KE GHAAR WALE AUR KATBEY WALE HAMAARI NISHAANIYON MEIN SE KUCH ZIYAADA AJEEB THAY? 
  10. IS WAQT KO YAAD KARO JAB KE YE NAU JAWAAN GHAAR MEIN JAA RAHE THAY AUR INHONEY ARZ KI THI KE AYE HAMAARE PARWARDIGAAR HUMKO APNE PAAS SE REHMAT INAAYAT KAR AUR HAMAARE LIYE MAAMLEY KI DURUSTI KA SAMAAN KARDE.
  11. PAS ISSI GHAAR MEIN HUMEY UNKO BARSON SULAA RAKHAA 
  1. PHIR HUME UNKO UTHA BITHAYA TAAKE HUM YE JAAN LE KE UNKE DO GHIROHON MEIN SE IS MUDDAT KO JISME WO WAHAN RAHE HAIN ZIYADA KISNE YAAD RAKHA HAI.
  1. HUM TUM SE INKI KHABAR THEEK THEEK BAYAAN KARTE HAIN BEHSAK WO AISE JAWAAN THAY JO APNE PARWARDIGAAR PAR IMAAN LAYE THAY 
  2. AUR HUMNE UNKE DILON KO MAZBOOT KARDIYA THA JABKE WO KHADE HOGAYE AUR UNHON NE YE KEH DIYA KE HAMAARA PARWARDIGAAR TO AASMAANO KA AUR ZAMEEN KA PARWARDIGAAR HAI HUM HARGIZ ISKE SIWA KISI DOOSRE KO MAABOOD KEH KAR NA PUKAAREIN GE ( AGAR AISA KIYA TO) IS SOORAT MEIN GOYA HUMNE BOHOT HI NAASAZA BAAT KAHI.
  3. IS HAMARI QAUM NE TO ISKE SIWA BOHOT SE KHUDA BANA LIYE HAI PHIR IN KHUDAAOUN KE MUTAALIQ KOI DALEEL KYON NAHI PESH KARTE ? PAS ISSE ZIYADA ZALIM KAUN HOGA JO ALLAH PAR BHOTAAN BANDHEY.
  4. AUR AB JABKE TUM UNSE ALAG HO CHUKE HO AUR JIN CHEEZON KO WO ALLAH KE SIWA POOJTEY HAIN UNKO CHODH CHUKE HO TOH KISI GHAAR MEIN CHALKAR RAHO TUMHARA PARWARDIGAAR TUMHARE LIYE APNI REHMAT WASEE FARMAADEGA AUR TUMHAARE MAAMLEY MEIN SAHOOLAT KE SAAMAAN MOHAIYYA KARDEGA. 
  5. AUR TUM AAFTAAB KO DEKHOGE JIS WAQT NIKALTA HAI UNKE GHAAR SE BACHA BACHA DAAYEIN HAATH KI TARAF REHTA HAI AUR JAB DOOBTA HAI TOH BAAYEIN HAATH KO KATRATA HUA CHALA JAATA HAI AUR WO IS GHAAR KE KHULE HISSE MEIN HAI. YEH BHI KHUDA KI NISHAANIOUN MEIN SE EK NISHAANI HAI , JISSE KHUDA HIDAYAT DETA HAI WO HIDAYAT YAAFTA HAI AUR JISSE TAUFEEQ E HIDAYAT SALB KAR LETA HAI PAS ISKE LIYE TUM KOI HAAMI YA HIDAYAT KARNE WALA NA PAAOGE 
  6. AUR TUM UNKO JAAGTA HUA KHAYAAL KAROGE HALANKE WO SOTEY HAIN AUR HUM DAAYEIN AUR BAAYEIN UNKI KARWAT BADALTE HAIN. AUR UNKA KUTTA CHOWKHAT PAR DONO HAATH PHAILAYE HAI AGAR TUM INHEY DEKH PAAO TOH UNSE MUH PHER KAR BHAAGO AUR TUM PAR UNKA RUAAB CHA JAYE. 
  7. AUR ISSI TARHA HUMNE UNKO UTHA BITHAAYA THA KE AAPAS MEIN EK DUSRE SE SAWAAL KARLE UNMEIN SE EK KEHNE WALE NE YE KAHA KE TUMHE YAHAN KITNI DEIR HUI INHONE KAHA KE HUM KO EK DIN HUA YA KUCH KAM INHON NE KAHA JITNA ARSA BHI HUA ISSE TUMHARA PARWARDIGAAR KHOOB WAAQIF HAI PAS TUM APNE MEIN SE EK KO YE RUPYE DE KAR SHEHER KI TARAF BHEJO WO JAAKAR DEKHE KAUNSA KHANA PAAKEEZA HAI PAS WO ISMEIN SE TUMHARE LIYE KUCH KHANA LAAEIN AUR CHUP CHAAP JAAYE AUR KISIKO TUMHARE MUTAALIQ KHABAR NA KARE 
  8. BESHAK AGAR WO LOG TUM PAR GHAALIB AAGAYE TO TUMKO SANGHSAAR KARDENGE YA TUM KO APNE MAZHAB MEIN DUBAARA BULAAYEINGE AUR TUM IS SURAT MEIN KABHI FALAAH NA PAAOGE. 
  9. AUR IS TARHA HUMNE LOGON KO UNKE HAAL CHAAL PAR MUTALLEH KARDIYA TAAKI WO YE JAAN LE KE ALLAH KA WADA ZAROOR SACCHA HAI AUR QAYAAMAT ZAROOR AANE WAALI HAI JISME KOI SHAK NAHI JIS WAQT WO UNKE MAAMLE MEIN JHAGADNE LAGE INHON NE YE KAHA KE INPAR EK IMAARAT BANA DO UNKA PARWARDIGAAR INKE HAAL SE KHOOB WAQIF HAI AUR UN LOGON NE JO INKE MAAMLE MEIN GHAALIB AAGAYE THAY YE KAHA KE HUM TO ZAROOR BA ZAROOR UNPAR EK MASJID BANAYEINGE . 
  10. ANKHAREEB WO YE KAHENGE KE WO TEEN HAIN AUR CHOWTHA UNKA KUTTA HAI AUR BAAZ ATKAL KI BAATEIN KAHENGE KE WO PAANCH HAI AUR CHATHA UNKA KUTTA AUR BAAZ UNMEIN SE YEH KAHENGE KE WO SAATH HAIN AUR AATHWA UNKA KUTTA HAI. AUR BAAZ UNMEIN SE YE KAHENGE KE WO SAATH HAIN AATHWA UNKA KUTTA HAI, TUM KEHDO KE MERA PARWARDIGAAR UNKI GINTI SE KHOOB WAQIF HAI. UNKO NAHI JAANTE HAI MAGAR BOHOT HI KAM . PAS TUM UNKEY BAAB MEIN SIWAYE ZAAHIRI BEHES KE KISI SE KUCH JHAGADA NA KARO AUR UNKE BAAB MEIN UNMEIN SE KISI SE KOI BAATH NA POOCHO 
  11. AUR KISI CHEEZ KI NISBATH YE HARGIZ NA KAHO KE KAL MEIN ISEY ZAROOR KAROONGA.
  12. SIWAAYE ISKE AGAR ALLAH BHI CHAAHE AUR JAB BHOOL GAYE HO ALLAH KO YAAD KARLO AUR YE KEHDO KI SHAYAD MERA PARWARDIGAAR ISSE BHI BADH KAR MUJHE KOI HIDAAYAT KI BAATH SAMJHAA DE .
  13. AUR WO APNE GHAAR MEIN NAU UPAR TEEN SAU BARAS RAHE
  14. TUM KEHDO KE ISEY ALLAH HI  KHOOB JAANTA HAI KE WO KITNA RAHE AASMAANO KI AUR ZAMEEN KI POSHEEDA BAATEIN ISSI KE LIYE HAI WO KAISA DEKHNE WAALA AUR SUNNEY WALA HAI, UNKA ISKE SIWA KOI KARSAAZ NAHI HAI AUR WO APNE FAISLEY MEIN KISI AUR KO SHAREEK NAHI KARTA .
  15. AUR TUMHARI TARAF TUMHARE PARWARDIGAAR KI KITAAB KI TARAF SE JO KUCH WAHI KI GAYI HAI WO BADHKAR SUNA DO ISKE KALMAAT BADALNE WAALA KOI NAHI HAI AUR TUM ISKEY SIWA KISI AUR KO HARGIZ JAA E PANAAH NA PAAOGE 
  16. AUR UNLOGON KE SAATH BASAR KARNE KI BARDAASHT KARO JO SUBAH AUR SHAAM APNE PARWARDIGAAR SE DUWAYEIN MAANGTE HAIN AUR USIKI RAZA KI KHWAISTAGIRI KARTE HAIN AUR APNI NAZAR UNSE NA HATAAO KE TUM ZINDAGANI E DUNIYA KE KHWAISTAGAR HO AUR US SHAQS KI PAIRAWI NA KARNA JISKE DIL KO HUMNE APNI YAAD SE GHAAFIL KARDIYA HAI AUR WO APNI KHWAHISH KA TAABE HOGAYA HAI AUR ISKA MAAMLA HADH SE GUZAR GAYA HAI.
  17. AUR TUM YE KEHDO KE HAQ TUMHARE PARWARDIGAAR KI TARAF SE HAI PAS JISKA JEE CHAHE IMAAN LE AAYE AUR JISKA JEE CHAHE KAAFIR HOJAYE BESHAK HUMNE NAAFARMAAN LOGON KE LIYE AISI AAG TAYYAR KI HAI JISKI PARDEIN UNKO GHEIR LENGI AUR AGAR SO FARYAAD KAREINGE TO UNKO AISA PAANI PILAAYA JAAYEGA JAISE PIGHLA HUA TAAMBA JO CHERON KO JHULAS DEGA WO KITNI BURI PEENE KI CHEEZ HOGI AUR KITNI BURI JAGAH HOGI? 
  18. BIL TEHQEEQ WO LOG JO IMAAN LAYE AUR JINHOUN NE NEK AMAL KIYE YAQEENAN HUM NEK AMAL KARNE WAALON KA SAWAAB ZAYA NA KAREINGE. 
  19. WO WOHI TOH HAI JINKE LIYE DAAYEEMI BAGHAAT HAIN JIN KE NEECHE NADIYAAN BEHTI HAIN JIN MEIN INKO SONEY KE KANGANON SE AARASTA KIYA JAAYEGA AUR SANDOOS AUR ASTAMRAQ KE SABZ KAPDE PEHNAAYEINGE AUR UNHI MEIN TAQTAUN PAR TAKIYE LAGAYE BAITHE HONGEY YE KAISA ACCHA SILA HAI AUR KITNI UMDA JAGAH HOGI ? 
  20. AUR UNKEY LIYE UN DO AADMIYON KI MISAAL BAYAAN KARO KE HUMNE UN DONO MEIN SE EK KE LIYE ANGOOR KE DO BAAGH LAGA DIYE THAY AUR UN DONO KO QURMOUN KE DARQTOUN SE GHEIR DIYA THA AUR UN DONO BAAGHOUN KE DARMIYAANI HISSE MEIN KHETI QAYAM KARDI THI 
  21. YE DONO BAAGH KHOOB PHAL LAYA KARTE THAY AUR UN PHALOUN MEIN ZARA SA BHI NUKSAAN NA HOTA THA AUR HUM NE UN DONO KE BEECH MEIN EK NADI JAARI KARDI THI
  22. AUR IS SHAQS KE PAAS BOHOT KUCH MAAL THA PAS WO APNE SAATHI SE BAATEIN KARNE MEIN KEHNE LAGA KE MAIN MAAL KI HAISIYAT SE TUJHSE BOHOT BADHA HUA HOON 
  23. AUR JATHE KI HAISIYAT SE BHI BADHA HUA HOON AUR  WO APNE BAAGH MEIN AISI HAALAT SE POHONCHA KE APNE AAP PAR KHUD ZULM KARNE WALA THA KEHNE LAGA KE MAIN GUMAAN NAHI KARTA KE YEH BAAGH KABHI BHI FANAA HOGA .
  24. AUR NA MAIN YE GUMAAN KARTA HOON KE QAYAAMAT AAYEGI AUR AGAR MAIN APNE PARWARDIGAAR KI TARAF LAUTAYA BHI GAYA TOH ZAROOR BA ZAROOR ISSEY BHETAR HAALAAT PAAUNGA.
  25. ISKE SAATHI NE ISSEY GUFTAGU KARTE HUE YE KAHA KE KYA TU ISKA INKAAR KARTA HAI JISNE TUJHKO MITTI SE PAIDA KIYA PHIR NUTFEY SE PHIR TUJHE ACCHA QAASA AADMI BANA DIYA. 
  26. RAHA MAIN SO MERA PARWARDIGAAR TOH WOHI ALLAH HAI AUR MEIN APNE PARWARDIGAAR KA SHAREEK KISI KO NAHI KARTA 
  27. AUR TUNE APNE BAAGH MEIN DAAQIL HOTEY HUWE YE KYON NA KAHA KE JO KUCH ALLAH NE CHAAHA SO HUA , KHUDA KI QUWAT KE BAGHAIR KOI QUWAT NAHI GOH TU YE SAMAJHTA HO KE MAIN MAAL AUR AULAAD MEIN TUJHSE KAM HOON 
  28. MAGAR QAREEB HAI KE MERA PARWARDIGAAR MUJHE TUJHSEY BEHETAR BAAGH DE AUR TERE IS BAAGH PAR  AASMAAN SE AZAAB BHEJDE KE YE CHATYAL MAIDAAN HOKAR REHJAAYE 
  29. YA ISKA PAANI ITNA GEHRA CHALAA JAAYE KE TUJHMEIN ISKE NIKALNEY KI QUWAT HI NA RAHE.
  30. CHUNAANCHEY ISKE PHALON PAR AAFAT AA HI GAYI PAS JO MAAL WO ISMEIN LAGAA CHUKA THA ISPAR SUBAH HAAL MALTA REH GAYA BAAGH TOH TIDDIYON PAR ULTAA PADHAA THA AUR MAALIK YEH KEH RAHA THA KE KAASH MAIN APNE PARWARDIGAAR KA KISI KO SHAREEK NA KARTA 
  31. US WAQT KOI JATHAA KHUDA KE SIWA USKI MADAD KARNE KO NA THA AUR NA WO SHAQS KHUDA KE INTEQAAM KO ROK SAKA 
  32. US MAUQEY PAR HUKUMAT KHUDA E BARHAQ KI HI HOGI WO SAWAAB DENE KE LIYE BHI SABSE ACCHA HAI AUR ANJAAM KI RU SE BHI, SAB SE BEHTAR HAI.
  33. AUR UNSE ZINDAGANIYE DUNIYA KI MISAAL BAYAAN KARDO KE WO IS PANI KE MAANIND HAI JISKO HUMNE AASMAAN SE UTARA PHIR USKE SAATH ZAMEEN KI ROOEDGI MIL GAYEE PHIR WO REZA-REZA HO GAYA KE HAWAAYEIN IS KO UDHA DETI HAIN AUR ALLAH HAR CHEEZ PAR QUDRAT RAKHNE WALA HAI. 
  34. MAAL AUR DAWLAT AUR BETE ZINDAGANI E DUNIYA KI AARAAISH HAI AUR BAAQI REHNE WAALI NEKIYAAN TUMHARE RAB KE NAZDEEK ANJAAM KI HAISIYAT SE BHI BEHETAR HAI AUR UMEED WA AARZOO KARNE KI HAISIYAT SE BHI 
  35. AUR JIS DIN HUM PAHAADO KO CHALAAENGE AUR TUM ZAMEEN KO KHULA HUA DEKHOGE AUR HUM UNKO IS TARHA JAMA KARLENGE UNMEIN SE KISI EK KO BHI NA CHODEINGE 
  36. AUR WO TUMHARE RAB KE HUZOOR MEIN SAF BA SAF PESH KIYE JAAEINGE AUR UNSE YE KAHA JAAYEGA KE TUM HUMAARE PAAS ISI TARHA AAGAYE JAISA KI HUMNE TUMKO PHELI DAFA PAIDA KIYA THA BALKI TUMHARA TOH YE GUMAAN THA KE HUMNE TUMHARE LIYE KOI WAQT MUKHARAR HI NAHI KIYA HAI . 
  37. AUR AMAAL NAAME PESH KIYE JAAENGE IS WAQT TUM GUNEGAARON KO DEKHOGEY KE JO- JO KUCH EK EK KE AMAAL NAAMEY MEIN HOGA ISSEY WO DARTEY HONGE AUR KEHTEY HONGE HAAY KHARAABI HUMAARI YE KAISA NAWISHTA KE ISNEY KISI CHOTI YA BADI BAAT KO CHODA HI NAHI JISSEY ZAPT NA KARLIYA HO, AL HAASIL JO KUCH INHON NE KIYA HOGA ISKO MAUJOOD PAAENGEY AUR TUMHARA PARWARDIGAAR KISI KE HAQ MEIN ZULM NAHI KAREGA. 
  38. AUR IS WAQT KO YAAD KARO JAB KE HUM NE KUL FARISHTON SE KAHA THA KE AADAM KO SAJDA KARO PAS IBLEES KE SIWA SAB NE HI SAJDA KIYA THA, WO TO JIN SE THA PAS USNE APNE PARWARDIGAAR KE HUKM SE SARTAABI KI KYA TUM MUJHE CHOD KAR AUR ISKI AULAAD KO DOST DAAR BANATEY HO HAALANKE WO TUMHARA KHULA DUSHMAN HAI NAFARMAANI KARNE WAALON KE LIYE BADLA KAISA BURAA HAI 
  39. MAINE AASMAANOUN KI AUR ZAMEEN KI PAIDAAISH KA UNKO GAWAH NAHI BANAYA HAI AUR NA UNKI PAIDAAISH KA AUR MEIN GUMRAH KARNE WAALOUN KO QUWAT E BAAZU NAHI BANATA 
  40. AUR US DIN KHUDA E TAALA FARMAAYEGA KE TUM MERE IN SHAREEKON KO PUKAAR LO JO TUMHARE KHAYAAL MEIN THAY PAS WO UNKO PUKAAREINGE AUR WO UNKO KUCH JAWAAB NA DEINGE AUR HUM UNKE MAABAIN EK MOHLAKA MUKHARAR KARDEINGE.
  41. AUR GUNAHGAAR AATISH E JAHANNUM KO DEKHEGEY AUR YE GUMAAN KAREINGEY KE ISME AB GIREY AUR ISSE GUREZ KI KOI JAGAH NA PAAIENGEY. 
  42. AUR YAKEENAN HUMNE KUL AADMIOUN KE NAFEY KE LIYE IS QURAN MEIN TARHA – TARHA KI MISAAL BAR – BAR BAYAAN KI HAI. AUR INSAAN JHAGADNEY KE LIYE HAR CHEEZ SE BADA HUA HAI 
  43. AUR JABKE LOGON KE PAAS HIDAYAT AA CHUKI TO UNKO IMAAN LAANEY SE AUR APNE PARWARDIGAAR SE APNE GUNAHOUN KI MAAFI MAANGNEY SE KISI AUR BAATH NE NAHI ROKA SIWAYE ISKEY KE UNPAR PHELOUN KA QAAEDA JAARI HOJAAYE YA AZAAB UNKEY SAAMNEY AA KHADAA HO 
  44. AUR HUM RASOOLON KO NAHI BHEJTEY HAIN MAGAR KHUSH KHABARI DENE WAALE AUR DARANE WALE BANA KAR AUR JO LOG KAAFIR HOGAYE HAIN WO BAATIL KE LIYE JHAGDA KARTEY HAIN KE ISKE ZARIYE SE HAQ KO ZAAEL KARDEIN AUR INHON NE MERI AAYATOUN KO AUR JIS CHEEZ SE DARAAYE GAYE THAY ISKO DILAGI BANAYA 
  45. AUR ISSEY ZIYADA ZAALIM KAUN HOGA JISKO ISKE PARWARDIGAAR KI AYATOUN KE ZARIYE SE NASEEHAT KI JAAYE PHIR WO INSEY ROOGARDAANI KAREY AUR JO-JO KARTOOT ISKE HAATHON SE HO CHUKI HAI ISSEY BHOOL JAAYE YAQEENAN HUM NE UNKE DILOUN PAR PARDEY DAAL DIYE HAIN TAAKI ISKO NA SAMJHEIN AUR NA UNKEY KAANO MEIN GARAANI QARAAR DI HAI AUR AGAR TUM UNKO HIDAAYAT KI TARAF BULAAOGEY TOH IS SURAT MEIN BHI WO KABHI HIDAAYAT YAAFTA NA HONGEY. 
  46. AUR TUMHAARA PARWARDIGAAR BADA BAQSHNEY WALA AUR REHMAT WALA HAI, AGAR WO UNSEY UNKEY KIYE KE BADLEY MEIN MAWAQIZA KARTA TOH INKO BOHOT JALD AZAAB DETA LEKIN UNKEY WAADEY KA EK WAQT HAI JISEY BACHNEY KI WO HARGIZ JAGA NA PAAENGEY 
  47. AUR YE BASTIYAAN JIS WAQT UNKEY BAASHINDOUN NE NAAFARMAANI KI HUMNEY UNKO HALAAQ KARDIYA AUR UNKEY HALAAQ KARNEY KA BHI HUMNEY EK WAQT MUQARAR KAR DIYA THA
  48. AUR IS WAQT KO YAAD KARO JABKE MOOSA NE APNE JAWAAN SAATHI SE YEH KAHA KE MAIN TOH PALAT KAR JAAOUNGA NAHI JAB TAK KE MAIN DONO SAMANDAROUN KE MAQAAM E ITTESAAL PAR NA POHONCHOON YA SALEHA SAAL CHALAA NA JAAOUN 
  49. PAS JAB WO DONO IN SAMANDAROUN KE MAQAAM E ITTESAAL PAR POHONCHEY TOH WO DONO APNI MACHLI BHOOL GAYE PAS IS MACHLI NE DARYA MEIN APNI RAH BANAAYI 
  50. PHIR JAB WO DONO USSEY AAGEY BADH GAYE TOH MOOSA NE APNE JAWAAN SAATHI SE KAHA KE HAMAARA NASHTA LAAO HUMEY APNE IS SAFAR SE YAQEENAN RANJ POHONCHA HAI 
  51. JAWAAN SAATHI NE KAHA KE AAPNEY YEH KHAYAAL KIYA KE JIS WAQT IS PATTHAR KE PAAS TEHREY THAY TOH MAIN MACHLI KO BHOOL GAYA THA AUR SHAITAAN HI NE MUJHEY YEH BAATH BHULAA DI THI KE MAIN ISSEY YAAD RAKHTA AUR AJEEB TARAH SE USNE DARYA MEIN APNI RAH BANA LI THI. 
  52. MOOSA NE FARMAYA KE YAHI JAGAH TOH HUM DHOONDTEY PHIRTEY HAIN PAS DONO APNE PAAOUN KE NISHAANOUN PAR KHOJ LAGATEY HUE PHIR PALTEY
  53. AUR UN DONO NE HAMAREY BANDOUN MEIN SE EK BANDEY KO PAAYA JISKO HUMNEY APNEY PAAS SE REHMAT DI THI AUR ISKO HUMNEY APNEY PAAS SE ILM SIKHAAYA THA . 
  54. MOOSA NE INSEY ARZ KI KE KYA MAIN IS SHARTH SE AAPKE PEECHEY PEECHEY RAHOON KE JO ILM AAPKO SIKHAAYA GAYA HAI ISMEY SE AAP KUCH MUJHE BHI SIKHA DEIN 
  55. FARMAAYA KE TUMSEY MERE SAATH YAKHEENAN SABR NA HOSAKEYGA 
  56. AUR JISKI TUMKO AAGAAHI NA HO ISPAR TUM SABR KAROGEY BHI KYON KAR 
  57. MOOSA NE ARZ KI AGAR ALLAH NE CHAHA TO AAP MUJHE SABR KARNE WALA HI PAAYEINGEY AUR MEIN KISI MAAMLEY MEIN AAPKI NAAFARMAANI NA KAROONGA 
  58. FARMAYA BAS TOH AGAR TUM MERE SAATH REHNA CHAHATEY HO TO MUJSEY KOI BAATH NA POOCHNA JAB TAK KE MAIN KHUD BA KHUD ISKA ZIKR TUMSE NA KAROON. 
  59. AB DONO CHALE YAHAN TAK KE DONO KASHTI MEIN SAAWAR HOGAYE JISSE IS NE (YANI QIZR AS NE) TODH DIYA MOOSA NE KAHA KYA TUM NE ISSE ISLIYE TODH DIYA KE ISSKI SAWAARIOUN KO DOOBODEY YAKHEENAN YE THO AAP SE BADI BEJA BAAT HUI 
  60. FARMAYA MEI NAI KAHA NA THA KE TUM SE MERE SAATH HARGIZ SABR NA HO SAKEGA 
  61. MOOSA NE ARZ KI KE MUJH SE JO BHOOL HOGAYI ISKE EWAZ MEIN MUJHSE MUWAQEZA NA KIJIYE AUR MERE MAAMLAY MEI ITNI SAQTGIRI NA BARTIYE
  1. PHIR WO DONO CHALE YAHAN TAK KE EK LADKE SE MILAY PAS ISKO ISNE (YANE QIZR NE) QATAL KAR DIYA (MOOSA NE) KAHA KE AAP NE EK BE GUNAH SHAQS KO BAGHAIR QISAS KE MAAR DALA? YE TOH ZAROOR AAP NE ANOKHI BAAT KI
  1. FARMAYA MAIN NE TUM SE KEH NAHI DIYA THA KE TUM MERE SAATH SABR NA KAR SAKOGAY
  1. AARZ KI AGAR ISKE BAAD MAIN AAP SE KISSI CHEEZ KI NIZBATH SAWAAL KARU THO MUJHE SAATH NA RAKHIYEGA AB THO MERI TARAF SE KAAFI MAAZERAT HOGAYI
  1. PHIR DONO CHALE YAHAN TAK KE EK GAOON WALE KE PASS POHONCHE JIN SE INHOUNE  KHAANA MAANGA AUR INHOUNE IN DONO KO MEHMAAN KARNE SE INKAR KAR DIYA PAS IN DONO KO IS BASTI MEI EK DEWAAR MILI JO GIRNE WALI THI PAS USSE USNE (QIZR ) NE THEEK KARDIYA (MOOSA NE) AARZ KI KE AAGAR AAP CHAAHTE TOH IS KAAM KI UJRAT LELE TE
  1. (QIZR NE) FARMAYA YAHI MERE AUR AAP KE MAABAYN JUDAAI KA BAAES HAI HAAN JIN BAATOUN PAR AAP SE SABR NA HO SAKA UNKA ASLI MATLAB MAIN AAP KO JATLADETA HOON.
  1. SUNIYE WO KASHTI TOH GHAREEB LOGON KI THI JO USKEY ZAREEYE SE SAMANDAR MEIN APNI ROZI KAMAANEY KE LIYE KAAM KIYA KARTEY HAIN PAS MAINEY CHAHA KE USKO AIBDAAR BANA DOON KE AAGEY EK AISA BADASHAA THA JO HAR KASHTI KO JABRAN GIRAFTAAR KARLIYA KARTA THA 
  1. AB RAHA LADKA SO USKEY MAA BAAP DONO MOMIN THAY PAS HUMKO LIYE ANDESHA HUA KE WO LADKA SARKASHI AUR KUFR KARKEY UN DONO PAR GHALIB NA AAJAAYE. 
  1. PAS HUMNEY YEH CHAHA KE UNKA PARWARDIGAAR UN DONO KO USKEY BADLEY MEIN EK AISA BACCHA DEDEY JO USSEY PAAK NAFSI MEIN BHI BEHETAR HO AUR REHMAT WA MEHERBAANI MEIN BHI ZIYADA.
  1. AB RAHI DEEWAAR WO IS BASTI KE DO YATEEM BACCHON KI THI AUR USKEY NEECHEY UN DONO KA EK KHAZAANA THA AUR UN DONO KA BAAP EK MARD E NEKH THA PAS TUMHAAREY PARWARDIGAAR NE MEHEZ APNI REHMAT KI WAJEH SE YE CHAHA KE WO DONO BAALIGH WA AAQIL HO KAR APNA KHAZAANA NIKAALEIN AUR MAINEY TOH APNI TARAF SE KUCH NAHI KIYA JIN BAATOUN PAR AAPSE SABR NA HOSAKA UN KA MATLAB YEH HAI 
  1. AUR AYE RASOOL LOG TUMSE ZULQARNAIN KA HAAL POOCHTEY HAIN TUM KEHDO KE  LO MAIN TUMHEY USKA HAAL SUNAATA HOON 
  1. BESHAK HUMNEY USKO ZAMEEN MEIN HUKUMAT DI THI AUR HUMNEY USKO HAR CHEEZ KE MUTAALAQ EK SABAB INAAYAT KIYA THA 
  1. PAS USNE EK SABAB KA RAASTA LE LIYA 
  1. YAHAN TAK KE JAB WO SURAJ KE DOOBEY KI JAGA POHOCHA TOH USKO KAALI DAL DAL KE CHASHMEY MEIN DOOBTA HUA PAAYA AUR IS CHASHMEY KE KHAREEB KUCH KAAFIR LOGON KO PAYA HUMNEY USSEY KAHA KE AYE ZULQARNAIN TUMHE IQTIYAAR HAI QUWA TUM UNKO AZAAB DO QUWA UNKEY BAAREY MEIN NEKI EQTIYAAR KARO 
  1. ZULQARNAIN NE ARZ KI JO INMEY SE NAFARMAANI KAREYGA ISSEY TOH HUM AZAAB DEINGEY PHIR WO APNE PARWARDIGAAR KE HUZOOR MEIN LAUTAYA JAYEGA AUR WO ISKO AZAAB BHI ANOKHA AZAAB DEGA 
  1. AUR JO IMAAN LAYEGA AUR NEKH AMAL KAREGA TOH USKEY LIYE BADLEY MEIN NEKI HAI AUR HUM USKEY MUTAALIQ APNA HUKUM BHI AASAAN HI DENGEY 
  1. ISKEY BADLEY USNE EK AUR SABAB IQTIYAAR KIYA 
  1. YAHAN TAK KE JAB SURAJ KE NIKALNEY KI JAGAH POHONCHA TOH USKO AISEY LOGON PAR TULOOH HOTA PAYA JINKEY LIYE HUMNEY US SURAJ SE BACHAANEY KI KOI AADH MUQARAR NAHI KI THI 
  1. AUR USKEY IQTIYAAR MEIN JO JO KUCH THA USSEY HUM YAQEENAN QABARDAAR THAY.
  1. PHIR USNE EK AUR SABAB LIYA 
  1. YAHAN TAK KE JAB WO QUDRATI AADHOUN (YAANI PAHAAD) KE MAABAYN POHONCHA, TOH UNSEY IS TARAF AISEY LOGON KO PAYA JO QAREEB QAREEB AISEY THAY JO KOI BAAT HI NAHI SAMAJHTEY THAY.
  1. INHOUN NE ARZ KI KE AYE ZULQARNAIN YAJOOJ WA MAJOOJ US MULK MEIN FASAAD PHAILATE REHTE HAIN TOH AAYA HUM AAPKE LIYE KUCH QARCH IS SHART PAR MUQARAR KAR DEIN KE AAP HUMAAREY AUR UNKEY MAABAIN EK DEEWAAR BANA DEIN.
  1. ZULQARNAIN NE FARMAYA KE JIN CHEEZON KA IQTIYAAR MERE PARWARDIGAAR NE MUJHE DIYA HAI WO TUMHAAREY QARCH SE KAHIN BEHETAR HAI PAS TUM JISMAANI TAAQAT SE MERI MADAD KARO KE MAIN TUMHAARE UNKE MAABAIN EK DEWAAR BANA DOON 
  1. TUM MUJHEY LOHEY KI CHAADAREIN DO YAHAN TAK KE JAB DONO PAHAADON KE PEHLOOUN KE BEECH KI JAGAAH KO BHARKAR BARAABAR KAR DIYA TOH HUKUM DIYA KE DHUNKO YAHAAN TAK KE JAB IS LOHEY KO LUHAA KAR AAG ANGAARA SA SURQ KAR DIYA TAB HUKUM DIYA KE MUJHEY TAANBA DO KE MAIN USPAR UNDAYL DOON 
  1. PAS UN YAAJOOJ WA MAAJOOJ SE YEH NA HOSAKA KE IS DEEWAAR PAR CHAD AATEY AUR YE NA HOSAKA KE ISMEIN KONBHAL LAGA DETEY 
  1. ZULQARNAIN NE FARMAAYA KE YE KAARGUZAARI MERE PARWARDIGAAR KI EK REHMAT HAI PHIR JIS WAQT MERE PARWARDIGAAR KE WAADEY KA WAQT AAJAAYEGA TOH WO IS DEEWAAR KO GIRAA KAR ZAMEEN KE BARAABAR KARDEGA 
  1. AUR MERE PARWARDIGAAR KA WAADA ZAROOR PURA HONA HAI AUR IS DIN HUM IS TARAH CHOD DEINGEY KE WO EK DOOSREY KE SAATH GADH-HADH HOJAAENGEY AUR SOOR PHOONKA JAAEYGA PHIR HUM UNKO EK JAAH JAMA KAR LEINGEY
  1. AUR US DIN IN KAAFIRON KE LIYE JIN KI AANKON PAR TOH HAMARI NASEEHAT KI TARAF SE PARDAH PADHA HUA THA 
  1. AUR WO KAANOUN SE HAMARI HIDAYAT SUN HI NAHI SAKTEY THAY JAHANNUM KO HUM AISA ZAHIR KARDEINGEY JAISA KI ZAHIR KARNEY KA HAQ HAI. 
  1. KYA UN LOGON NE JO KAAFIR HOGAYE HAIN YEH GUMAAN KARLIYA HAI KE MERE KHILAAF MERE BANDON KO HAAMI BANA LEINGEY YAKEENAN HUMNEY AISEY HI KAAFIROUN KE LIYE JAHANNUM KO BATAUR E MEHMAANI TAYYAR KIYA HAI. 
  1. AYE RASOOL TUM YE KEH DO AYA MEIN TUMHE IN LOGON KE HAAL SE AAGAH KAR DOON JO AAMAAL KI ROOH SE SAB SE ZIYADA NUKSAAN UTHANEY WAALEY HAIN 
  1. WO WO HAIN JIN KI ZINDAGAANI E DUNIYA KE BAARE MEIN SAB KOSHISH BEKAAR HOGAYI AUR WO YAHI GUMAAN KARTEY RAHEY HUM NEKI KAR RAHEY HAIN 
  1. WO WOHI HAIN JINHON NE APNI PARWARDIGAAR KI AYATOUN KA AUR USKEY HUZOOR MEIN JAANEY KA INKAAR KIYA PAS UNKEY AAMAAL BEKAAR HOGEY PAS QAYAAMAT KE DIN HU UNKEY AAMAAL KE LIYE KOI MEEZAAN QAYAM NA KAREINGEY 
  1. YEH UNKA MUAWEZA JAHANNUM USKE BADLEY  MEIN HOGA JISKA INHOUN NE INKAAR KIYA THA AUR ISKEY BADLEY MEIN INHOUN NE MERE EHKAAM KA AUR MERE RASOOLOUN KA MAZAAKH UDHAYA THA 
  1. BA TEHQEEQ JO LOG IMAAN LAAYE AUR NEKH AAMAAL BAJAA LAAYE UNKEY LIYE FIRDOUS KE BAAGAATH BATAUR E MEHMAANI KE HAIN 
  1. JINMEY WO HAMESHA RAHEINGEY AUR KABHI UNKO BADALNA NA CHAAHEINGEY 
  1. AYE RASOOL TUM KEHDO KE AGAR SAMANDAR MERE PARWARDIGAAR KE KALEMAAT KE LIYE RAUSHNAI HO JAAYE TOH QABAL ISKEY KE MERE PARWARDIGAAR KE KALEMAAT KHATAM HO SAMANDAR KHATAM HOJAENGEY GOYA MADAD KE LIYE WAISA HI AUR BHI LE AAEIN 
  1. AYE RASOOL TUM YE KEHDO KE BA HAISIYAT E MAQLOOQ MAIN BHI TUMHI JAISA EK AADMI HOON FARQ YEH HAI KI MERI TARAF WAHI KI JAATI HAI KE TUMHAARA MAABOOD , MABOOD E EKTA HAI PAS JISKO APNE PARWARDIGAAR KE HUZOOR JAANEY KI UMEED HO ISSEY LAAZIM HAI KE NEKH AMAL BAJA LAAYE AUR APNE PARWARDIGAAR KI IBAADAT MEIN KISI KO SHAREEK NA KARE. 
Categories
Quran

SURAH E FATEHA

Suratul Fateha Makkiyatun

Surah e Fateha Mecca Me Nazil Huwa 


Bismillahi Ar Rahman Ar Raheem
Rehman Wa Raheem Allah Ke Naam Se
AL HAMDO LILLAHE RABBIL AALAMEEN
Kul Aalimo Ke Parwarish Karnewalay Khuda Keliye Har Qisam Ki Tareef Khas Hai
AR REHMANIR RAHEEM (Jo) Rehman (Wa) Raheem Hai
MALIKE YOUMID DEEN(Aur) Faisle Ke Din Ka Malik Hai
IYYAKA NABUDU WA IYYAKA NASTAEENHum Teri Hi Ebadat Karte Hain Aur Tujhi Se Mada Mangte Hain
EHDINAS SIRATAL MUSTAQEEMKhas Rahe Haq Par Humko Sabit Qadam Rakhio
SIRATAL LAZINA ANAMTA ALAIHIM GHAIRIL MAGHZUBE ALAIHIM WALAZ ZAAL’LEENUn Logon Ki Raah Par Jinpar Tune Enam Farmaya,   Na Unki Jinpar Ghazab Nazil Kiya Gaya Aur Na Gumrahon Ki

Bismillahi Ar Rahman Ar Raheem

  1. Kitab At-Taoheed Aur Tafsirul Imam Me Janab Ameerul Momeneen Alahis Salaam Se Riwayat Hai Ke Allah Se Murad Wo Zaat Hai Jiski Taraf Kul Maqlooq Us Waqt Jabke Har Taraf Se Aas Toot Jaye Khud Ba Khud Mutawajje Hoti Hai.
  2. Ar-Rehman – Ke Mana Hain Apni Maqlooq Par Meherban Aur Aisa Rizq Dene Wala Ke Go Wo Iski Ita’at Wa Bandagi Chorden Magar Wo Inke Wasaele Maash Ko Bahal Rakhe.
  3. Ar-Raheem – Ke Mana Ye Hain Ke Apne Momin Bandon Par Aisa Rehem Karnewala Ke Inkeliye Thodi Si Ebadat Par Bahotsa Sawab Muqarrar Kiya Hai Aur Kafir Bandon Par Aisa Rehem Karnewala Ke Inko Halakate Abadi Se Bachane Keliye Narmi Ke Saath Quboole Deen Ki Dawat Karta Hai.
  4. EHDINA – Kitab Al-Ma’ani Aur Tafsirul Imam Me Janab Ameerul Momeneen Alaihis Salaam Se Riwayat Hai He EHDINA Ke Mana Hain Apni Taofiq Ko Hamare Liye Qayam Rakh   Awamun Naas Ye Tarjuma Karte Hain Ke Sirate Mustaqeem Ki Humko Hidayat Kar Magar Shiyane Janabe Ameerul Momeneen Alaihis Salaam Chunke Bafazle Khuda Hidayat Yafta Hain Isliye Inka Tarjuma Ye Hoga Ke Sirate Mustaqeem Par Humko Sabit Qadam Rakh Aisa Naho Ke Hamare Qadam Is Se Laghzish Karjaen.
  5. AS-SIRATAL MUSTAQEEM – Janabe Ameerul Momeneen Alaihis Salaam Se Riwayat Hai Ke SIRATAL MUSTAQEEM Se Duniya Me Wo Rasta Murad Hai Jo Udhar To Ghulu Ki Had Tak Na Pohancha Ho Yani Kisi Ko Uske Darje Se Badhata Naho Aur Idhar Kisi Ko Uske Darje Se Ghatatah Naho Aur Aaqerat Me Wo Rasta Murad Hai Jo Momeneen Ko Jannat Tak Pohanchayega.  Maaniul Akhbaar Me Hazrat Imam Jafar Alaihis Salaam Se Riwayat Hai Ke AS-SIRATAL MUSTAQEEM Se Murad Hai Tareeqe Marefate Khuda Aur Iske Do Rastay Hain.  Ek Duniya Me Aur Ek Aaqerat Me, Duniya Me To Wo Imam Hai Jiski Eta’at Wajib Ki Gai Hai Par Jisko Marefate Imam Hasil Hogi Aur Wo Hidayate Imam Ki Pairawi Karega Wo Aaqerat Ke Raste Par Bhi Guzarsakega Jisse Murad Wo Pul Hai Jo Jahannum Par Qayam Kiya Jaega Aur Jo Duniya Me Imam Ki Marefat Se Bebehra Rahega Iske Qadam Sirate Aaqerat Se Bhi Laghzish Karjaenge Aur Wo Jahannum Me Girpadega.  Ek Aur Riwayat Me Aaya Hai Ke AS-SIRATAL MUSTAQEEM Se Hum Aimma Murad Hain. (Qaole Mutarjim:  AS-SIRATAL MUSTAQEEM Zahir Bazahir Tadad Mein Chawdah (14) Huroof Hain Jisse Ye Murad Hai Ke Chawdah (14) Ka Jo Rasta Hai Wo Sirate Mustaqeem Hai.
  6. ANAMTA ALAIHIM – (Jinpar Tune Enam Farmaya) Inse Ambiya, Siddiqeen, Shohada, Aur Saleheen Murad Hain.  Tasreeh Surae Nisa Me Mulaheza Ho.
  7. AL-MAGHZOOBE ALAIHIM – Se Yahood Murad Hain Khwah Wo Ummate Sabeqa Ke Hon Ya Is Ummat Ke.
  8. AZ-ZA’ALEEN – Se Murad Nasara Hain Khwah Pehli Ummat Ke Hon Ya Is Ummat Ke.