Bismillahi ArRahmaani ArRaheemRehman Wa Raheem Khuda Ke Naam Se (Shuru Karta Hoon)
Wal-Fajr Qasam Hai Subah Ki
Wa layaalin ‘ashrAur Das (10) Raton Ki
Wash shaf’i wal watrAur Juft Ki Aur Taaq Ki
Wallaili izaa yasr   Aur Raat Ki Jabke Wo Qareeb Khatam Ho
Hal fee zaalika qasamul lizee hijr Zaroor Isme Sahibe Aql Keliye Qasam Hai
Alam tara kaifa fa’ala rabbuka bi’aad   Kya Tumne Nahi Dekha Ke Tumharay Parwardigar Ne Qaome Aad Ke Saath
Iramaa zaatil ‘imaad   Jo Sutuno Wale Eram Ke Rehne Wale The Ke Waisa Sheher
Allatee lam yukhlaq misluhaa fil bilaad Shehron Me Banaya Hi Nahi Gaya
Wa samoodal lazeena jaabus sakhra bil waad   Aur Samood Ke Saath Jinhone Maidan Me Chatanon Ko Tarasha (Aur Unko Ghar Banaya) Tha.
Wa fir’awna zil awtaadAur Firawn Ke Saath (Jo Saza Keliye) Mekhen Rakhne Wala Tha
Allazeena taghaw fil bilaad   Kaisa Moamela Kiya Ke In Sabne Mulkon Me Sarkashi Ki Thi
Fa aksaroo feehal fasaad   Phir Inme Kharabi Ko Bahot Badha Diya Tha
Fasabba ‘alaihim Rabbuka sawta ‘azaab Pas Tumharay Parwardigar Ne Bhi Unpar Azab Ka Koda Lagaya
Inna Rabbaka labil mirsaad Beshak Tumhara Parwardigar Zaroor Ghaat Me Hai
Fa ammal insaanu izaa mab talaahu Rabbuhoo fa akramahoo wa na’ ‘amahoo fa yaqoolu Rabbeee akraman Ab Raha Insan Jab Iska Parwardigar Isko (Istarha) Aazmata Hai Ke Iski Izzat Karta Hai Aur Isko Nemat Deta Hai.
Wa ammaaa izaa mabtalaahu faqadara ‘alaihi rizqahoo fa yaqoolu Rabbeee ahaananTab To Wo Kehta Hai Ke Mere Parwardigar Ne Meri Izzat Ki Aur Jab Wo Isay (Is Tarha) Aazmata Hai Ke Iska Rizq Iskeliye Tang Kardeta Hai, Tab Wo Kehta Hai Ke Mere Parwardigar Ne Mujhe Zaleel Kardiya
Kalla bal laa tukrimooo nal yateemYe Hargiz Nahi Hai, Baat Ye Hai Ke Tum Yateem Ki Izzat Nahi Karte
Wa laa tahaaaddoona ‘alaata’aamil miskeen   Aur Miskeen Ko Khana Khilane Ki Targhib Nahi Dete
Wa taakuloonat turaasa aklal lammaa   Aur Miras Ko Maal (Halal Wa Haram) Milakar Nigle Chale Jate Ho
Wa tuhibboonal maala hubban jammaa Aur Maal Ko Jama Karne Ke Baday Harees Ho
Kallaaa izaaa dukkatil ardu dakkan dakkaItna Hi Nahi Hai (Balke) Jab Zameen Tod Tod Kar Chakna Choor Kardi Jaegi
Wa jaaa’a Rabbuka wal malaku saffan saffaaAur Tumhara Parwardigar (Yani Iska Hukum) Aur Farishte Saf Basaf Aa Maojood Honge
Wa jeee’a yawma’izim bi jahannnam; Yawma ‘iziny yatazakkarul insaanu wa annaa lahuz zikraa Aur Jahannum La Hazir Kiya Jaega. Is Din Insaan Nasihat Hasil Karega Magar Is Waqt Is Keliye Nasihat Hasil Karna Kahan (Mufeed Hoga)?
Yaqoolu yaa laitanee qaddamtu lihayaatee Kahega Ke Kaash Maine Is Zindagi Keliye Kuch Aage Bheja Hota
Fa Yawma izil laa yu’azzibu ‘azaabahooo ahadPas Us Din Na To Koi Khuda Ka Sa Azab Desakega 
Wa laa yoosiqu wasaaqa hooo ahadAur Na Is Ka Sa Jakadna Jakad sakega 
Yaaa ayyatuhan nafsul mutma ‘innah (Farmaega Ke) Ay Itmenan Walay nafs 
Irji’eee ilaa Rabbiki raaziyatam marziyyahtu apne parwardigar ki taraf ruju kar is haal me ke tu is se razi bhi hai aur (iska) pasandida (bhi)
Fadkhulee fee ‘ibaadeepas tu mere bandon me daqil hoja 
Wadkhulee jannatee aur meri jannat me chala aa.

1. Fa yaqoolu Rabbeee akraman wa ammaaa izaa mabtalaahu faqadara ‘alaihi rizqahoo fa yaqoolu Rabbeee ahaanan. Tafsire Safi me hai ke insan ki in dono baton ke kehne par khudaye ta’ala ne iski mazammat isliye ki ke wo baghair ghaor wa fikr ke aisa keh bait’tah hai warna ghaor wa fikr se maloom hosakta hai ke kabhi kabhi rizq ki tangi dono jahan ki khubion ko pohancha deti hai. Aur rizq ka bakasrat hona dushmano ka nashana banadeta hai aur duniya ki mohabbat me dubo deta hai.

2. AKLAL LAMMAA – Iske mani hain halal wa haram ko milakar khajaana kyunki wo log betion ko aur chotay chotay bachon ko meras nahi dete the. Unke hissay khajaatay thay ya ye matlab hai ke bawujood ye sab kuch jannae ke ke mauras ne halal wa haram jama kiya hai wo sab kuch khajaatay thay.

3. WA JA’A RABBOKA – Al-Ayoon Me Janab Imam Raza alaihis salaam se manqool hai ke iska matlab ye hai ke is ki qudrat ki nashaniyan aur iske qeher wa ghalbe ke aasaar isitarha numaya honge jaise kisi badshah ke aasaar numaya hote hain.

WAL FAJR. WA LAYAALIN ‘ASHR: Tafsire Qummi Me Hai Ke Asl Me Pehle WAW Na Thi Yun Tha AL FAJR WA LAYAALIN ‘ASHR se Zilhaj murad hai. 

WASH SHAF’E WAL WATR – Tafsire Qummi Me Hai ASH SHAF’E Se Murad Namaze Shafa Jo Do (2) Rakat Hoti Hai Aur AL-WATR Se Murad Hai Namaze Watr Jo Ek Hi Rakat Hoti Hai. Ek Aur Hadees Me Farmaya ASH SHAF’E Se Murad Hain Hasan (a.s.) Aur Husain (a.s.) Aur AL-WATR Se Murad Janabe Ameerul Momeneen (a.s.) Hain. Tafsire Majmaul Bayan Me Janabe Imam Mohammad Baqir (a.s.) Aur Janabe Imam Jafar Sadiq (a.s.) Se Manqool Hai Ke ASH SHAF’E Se Murad Hajion Ko Pani Pilane Ka Din Yani Zilhaj Ki Aatwi (8th) aur AL-WATR Se Murad Hai Roze Arfa Yani Haj Ka Din Ya Zilhaj Ki Nawi (9th).

WALLAILI IZAA YASR – Tafsire Qummi Me Hai Ke Is Ayat Me Lail Se Murad Hai Shabe Juma.

LIZEE HIJR – Tafsire Qummi Me Janabe Imam Mohammad Baqir (a.s.) Se Manqool Hai Ke HIJRUN Ke Mani HaiN Aql Wa Danayi Aur Yahan Se Jo Muqassam Alaih (Yani Jis Baat Ke Mutaliq Qasam Khayi Hai) Mehzoof Hai Is Se Aur Jaisa Ke Baad Ki Ayaton Ke Mani Se Bhi Zahir Hota Hai Is Se Ye Natija Nikalta Hai Ke Khudaye Ta’ala Azab Zaroor Dega.

BI’AADIN – Is Se Murad Hai Hazrate Hood (a.s.) Ki Qaom Jo Aad Ibne Aos Ibne Aram Ibne Saam Ibne Nooh (a.s.) Ki Aulad The Aur Apne Jadde Amjad Ke Naam Hi Se Maosoom The.

IRAMA ZATIL ‘IMAD ALLATEE LAM YUKHLAQ MISLUHA FIL BILAAD – Tafsire Saafi Me Hai Ke Ek Qaol Ke Bamaojib Aad Ke Do (2) Bete The. Shaddaad Aur Shadeed. Ye Dono Badshah Bangaye Aur Ghalib Aagaye The. Phir Shadeed To Margaya Aur Saari Ki Saari Sultanat Shaddaad Ko Milgayi Thi. Baday Baday Badshah Uske Muti Hogaye The. Isne Jannat Ka Zikr Suna To Ispar Aamada Hogaya Ke Adan Ke Kisi Sehra Me Jannat Bhi Banadali. Aur Iska Naam Eram Rakha. Aur Jab Wo Poori Hochuki To Apne Balbachon Ko Lekar Iski Taraf Chala Aur Jab Isse Itne Fasle Par Raha Jitna Fasla Ek Din Aur Ek Raat Me Tae Hosakta Hai To Khudaye Ta’ala Ne Aasman Se Ek Cheeq Inpar Bhejdi Jisse Wo Sab Halak Hogaye.

INNA RABBAKA LABIL MIRSAAD – Tafsire Majmaul Bayan Me Janabe Ameerul Momeneen (a.s.) Se Manqool Hai Ke Is Ke Mani Ye Hain Ke Beshak Tumhara Parwardigar Gunahgaron Ko Saza Dene Par Qadir Hai. Aur Janabe Imam Jafar Sadiq (a.s.) Se Ye Manqool Hai Ke MIRSAAD Sirat Par Ek Pul Hai. Jis Bande Ke Zimme Kisi Doosre Bande Ka Muzlema Hoga Wo Isko Uboor Na Karsakega.

WA JEE’A YAWMA’IZIM BI JAHANNAM – Tafsire Qummi Me Janabe Imam Mohammad Baqir (a.s.) Se Manqool hai ke Jab ye ayat nazil huwi to Janabe Rasulekhula SAWS se is ke baray me dariyaft kiya gaya to Hazrat (a.s.) ne farmaya ke mujhe ruhul ameen (a.s.) ne khabar di hai ke khudaye ta’ala jiske siwa koi aur mabood nahi hai jis waqt tamam maqlooq ko qabron se nikal lega aur awwaleen wa aaqereen ko jama farmaega to is waqt jahannum ko mangwaega aur wo ek hazar (1000) baagaun se khainchta huwa laya jaega ke har har baag ko ek ek lakh saqt aur durusht mizaj farishte pakde huwe khainchte honge. Iska josh wa ghazab aur iski cheeq pukar aisi hogi aur wo aisi aisi haolnaak awazen nikalega ke agar khudaye ta’ala hisab keliye apni maqlooq ko apni quadrate kamela se zinda na rakta to sab ke sab marjate phir jahannum me se ek gardan niklegi ke wo tamam ahle mehshar ko gher legi khwah wo nek hon khwah bad. Allah ne apne bandon me se koi banda aisa nahi paida kiya, na farishta, na nabi jo ye na kehta hoga RABBE NAFSI NAFSI Aur Aap Apne Nabi Allah SAWS UMMATI UMMATI Pukarte Honge. Iske baad Jahannum par sirat qaem kiya jaega jo baal se zyada barik hoga aur talwar se zyada tez. Ispar Teen pul honge. Phir ek par amanat aur silaye rehmi qaem honge aur doosre par namaz hogi aur teesre par khud parwardigare aalam jiske siwa koi mabood hi nahi hai, pas logon ko majboor kiya jaega ke un pulon par se guzren. Awwal pul par silae rehmi aur amanat inko rokenge. agar is se najat pagaye to doose par namaz inko rokegi aur gar is se bhi najat pagaye to ab rasayi parwardigare aalam tak hogi. Isi pul ka naam MIRSAAD hai. Isi ki nisbat irshad hai INNA RABBAKA LABIL MIRSAAD – Log is pul par koi hathon ke bal chalta hoga aur koi qadam qadam par phisalta hoga aur farsihte iske girdagird khaday huwe awazen dete honge ke Ay Parwardigare Burdbaar Moaf farma, darguzar farma, inpar apna fazal kar, inko bachale, inko bachale. Magar bahot se log jahannum me is tarah girpadenge jistarha bhunge chiragh par girte hain. Phir jo najaat pane wala khuda ki rehmat se najaat paega wo us se guzar jaega aur guzar kar ye arz karega ALHAMDOLILLAHE WA BE NEMATEHI TUTIM’MUS SAALEHATO WA TAZKUL HASANATU WAL HAMDOLILLAHIL LAZI NAJJANI MINKA BADA YASIN BEMANNEHI WA BEFAZLEHI INNA RABBANA LAGHAFURUN SHAKOOR. (Har Tarah Ki Tareef Allah keliye Zeba Hai Aur isi ke ahsaan se nekiyan poori hoti hain aur khubiyan badhti hain. Aur sab tareef isi khuda keliye hai jisne (ay jahannum) apne fazl o karam se mujhe tujhse najaat di baad iske ke mujhe naummidi hochuki thi. Beshak hamara parwardigar bada baqashne wala aur bada qadardaan hai).

YAA AYYATUHAN NAFUSL MUTMA’INNAH – Kaafi me hai ke Janabe Imam Jafar Sadiq Alaihis Salaam Se Dariyaft kiya gaya ke aaya momin ko apni rooh ka qabz hona bhi nagawar guzarta hai? Farmaya Wallah nahi. Jab Iske Paas Malakul Maut Is gharz se aata hai ke iski rooh qabz kare to momin is waqt pareshan hojata hai. Malakul Maut Is Se Kehta Hai Ay Walliye Khuda Pareshan Na Ho. Isi Ki Qasam Jisne Janabe Rasulekhula SAWS Ko mab’ous farmaya hai agar tera rehemdil baap is waqt maojood hota to jitni wo tujh par meherbani aur shafqat karta is se mai zyada meherban aur shafeeq hoon. Apni aankhen khol aur dekh. Hazrat (a.s.) farmate hain Janabe Rasulekhula SAWS, Janabe Ameerul Momeneen (a.s.), Janabe Fatima Zehra (s.a.), Janabe Hasane Mujtaba (a.s.), Janabe Husain Syedush Shohada (a.s.) aur Aimmae Ahlebait (a.s.) jo in buzurgwaron ki aulad me huwe hain in sab ki suraten apne samne dekhega aur is se ye kaha jaega ke ye Janabe Rasulekhula SAWS hain, ye Janabe Ameerul Momeneen (a.s.) hain, Ye Janabe Fatima Zehra (s.a.) hain, ye Janabe Hasane Mujtaba (a.s.) hain, ye Janabe Husain Syedush Shohada (a.s.) Tere Rafeeq Hain. Pas Wo Aankhen Kholkar Dekhega. Phir Ek Munadi Minjanibe Parwardigare Aalam Iski Rooh Ko Nida Dekar Kahega YAA AYYATUHAN NAFUSL MUTMA’INNAH – Ay Wo Nafs Jo Mohammad SAWS Aur Unke Ahlebait (a.s.) Ke Sabab Mutmain Hochuka Hai IRJI’EEE ILAA RABBIKI RAAZIYATAN Tu Apne Parwardigar Ki Taraf Ruju Kar Is Hal Me Ke Tu Isse Raazi Hai MARZIYYATAN Aur Jis Haal Me Ke Tu Sawab Keliye Pasand Karliya Gaya Hai. FADKHULEE FEE ‘IBAADEE Mere Bandon Me Yani Mohammad SAWS Aur Ahlebait (a.s.) Me Tu Bhi Daqil Hoja. WADKHULEE JANNATEE Aur Meri Jannat Me Chala Aa. Pas Ise Koi Cheez Is Se Zyada Pyari Na Maloom Ke Iski Rooh Khainche Aur Is Nida Dene Walay Se Ja Mile. Tafsire Qummi Me Bhi Iqtesaar Ke Saath Yehi Mazmoon Hai.