BISMILLAHI AR RAHMAN AR RAHEEM
Rehman Wa Raheem Khuda Ke Naam Se (Shuru Karta Hoon)
INNA A’TAINAA KAL KAUSAR | Yaqinan (Aye Rasool SAWS) Humne Tumko Kausar Ata Ki Hai |
FASALLI LI RABBIKA WANHAR | Ab Tum Apne Parwardigar Keliye Namaz Parho Aur Apne Dono Kano Tak Buland Karo |
INNA SHAANI’AKA HUWAL ABTAR | Yaqinan Tumhara Dushman Jo Hai Wahi Be Aulad Rahega |
AL-KAUSAR Tafsire Safi Me Hai Ke Is Se Murad Hai Khaire Kaseer Yani Ilm Wa Amal Wa Nabuwwat Wa Kitab Wa Sharafe Darain Aur Zurriyate Tayyaba. Aur Tafsire Majmaul Bayan Me Janab Imam Jafar Sadiq (a.s.) Se Manqool Hai Ke Isse Murad Shifa’at Hai. Neez Inhi Hazrat (a.s.) Se Manqool Hai Ke Kausar Jannat Me Ek Neher Hai Jo Khudaye Ta’ala Ne Apne Nabi Ko Unke Bete Ke Ewaz Me Ata Farmayi. Amali Me Hazrat Abdullah Ibne Abbas r.a. Se Marwi Hai Ke Jab Surae INNA A’TAINAA KAL KAUSAR Nazil Huwi To Janabe Ameer Alaihis Salaam Ne Arz Ki Ke Ya Rasoolallah SAWS, Ye Kausar Kya Cheez Hai? Farmaya Kausar Ek Neher Hai Jiski Wajah Se Khudaye Ta’ala Ne Mujhe Buzurgi Bakshi Hai. Arz Ki Ya Rasoolallah SAWS Is Nehre Shareef Ke Ausaf Bayan Kijiye? Farmaya Ke Aye Ali (a.s.)! Kausar Ek Neher Hai Jo Arsh Ke Niche Se Zahir Huwi Hai. Pani Uska Doodh Se Zyada Sufaid, Shehed Se Zyada Shereen, Maskay Se Zyada Naram Hai. Sangreze Uske Zabarjad Wa Yaqoot Wa Marjan Ke Hain. Ghans Uski Zafran Hai. Mitti Uski Mushke Azfar Hai. Chasme Uske Arshe Khuda Ke Niche Hain. Phir Mere Pehlu Par Haath Maar Kar Farmaya Ke Aye Ali (a.s.) Wo Neher Mere Liye Aur Tumharay Un Doston Keliye Hai Jo Mere Baad Bhi Tumse Mohabbat Rakhenge. Tafsire Majmaul Bayan Me Hai Ke Jab Ye Surah Nazil Huwa To Janabe Rasulekhuda SAWS Se Kausar Ke Mutalliq Sawal Kiya Gaya. Aanhazrat SAWS Ne Jawab Diya Ke Ek Neher Hai Jisme Khaire Kaseer Ka Parwardigare Aalam Ne Mujhse Wada Farmaya Hai. Wo Mera Hauz Hai. Us Par Qayamat Ke Din Meri Tamam Ummat Warid Hogi. Sitarhaye Aasman Ke Hum Adad Uspar Pyalay Rakhe Huwe Honge. Meri Ummat Ka Ek Bahot Bada Groh Uske Kinaray Se Hata Diya Jaega. Mai Arz Karunga Ke Aye Mere Parwardigar! Ye To Meri Ummat Me Se Hain. Irshad Hoga Ke Aye Rasool SAWS Tumko Khabar Nahi Hai Ke In Logon Ne Tumharay Baad Kaisay Kaisay Hadisay Barpa Kiye Hain.
Al-Khisaal Me Hai Ke Janabe Ameerul Momeneen Alaihis Salaam Ne Farmaya (Roze Qayamat) Mai Janabe Rasulekhuda SAWS Ke Humrah Hauze Kausar Par Honga Aur Meri Itrat Mere Saath Hogi. Pas Jo Koi Hamaray Saath Rehna Chahay Usko Lazim Hai Ke Hamari Baat Manay Aur Hamaray Amal Ke Mawafiq Amal Karay. Kyunki Har Groh Ka Ek Sardar Hota Hai Aur Hamara Bhi Ek Sardar Hoga. Hume Shifa’at Karne Ka Haq Diya Gaya Hai Aur Hamaray Doston Ko Bhi Shifa’at Karne Ka Haq Diya Hai. Tum Sab Ko Chahiye Ke Hamaray Saath Hauze Kausar Par Hone Ki Khwahish Karo. Isliye Ke Hum Uske Kinaray Se Apne Dushmano Ko Hata Denge Aur Apne Muhibbon Aur Doston Ko Uska Pani Pilaenge. Jo Koi Ek Dafa Bhi Uska Pani Pilega Wo Phir Kabhi Pyasa Na Hoga. Us Neher Ki Do Shaqen Hain Jo Jannat Se Nikli Hain. Ek To Tasneem Se Nikli Hai, Doosri Moeen Se. Uske Kinaray Par Zafran Hai Aur Sangreze Uske Moti Hain. Usi Ka Naam Kausar Hai.
Hazrat Abdullah Ibne Abbas r.a. Kehte Hain Ke Janabe Rasulekhuda SAWS Ne Farmaya Ke Mujhe Khudaye Ta’ala Ne Paanch Chizen Ata Farmayi Hain Aur Paanch Hi Ali Ibne Abi Talib Alaihis Salaam Ko Inayat Ki Hain. Khuda Wande Kareem Ne Mujhko JAWAMEUL KALEM (Qurane Majeed) Ata Kiya Aur Ali (a.s.) Ko JAWAMEUL ILM Diya Hai. Mujhe Nabi Muqarrar Kiya Hai To Ali (a.s.) Ko Mera Wasi. Mujhe Kausar Marehmat Farmaya Hai To Ali (a.s.) Ko Salsabeel. Mujhe Wahi Ata Farmayi Hai To Ali (a.s.) Ko Ilhaam. Mujhe Shabe Meraj Aasmano Par Bulaya To Ali (a.s.) Keliye Aasman Ke Darwaze Khol Diye Aur Hijab Utha Diye Takay Mai Unki Janib Dekhun Aur Wo Meri Taraf Dekhen. Ye Farmake Aanhazrat SAWS Ronay Lagay. Maine Arz Ki Ya Rasoolallah SAWS Mere Maa Baap Huzoor Par Nisar Hojaen Is Waqt Rone Ka Sabab Kya Huwa? Farmaya Aye Ibne Abbas r.a.! (Arshe Bareen Par) Sabse Pehle Mujhe Ye Hukum Huwa Ke Apne Niche Ki Simt Nazar Karo. Junhi Nazar Ki To Dekha Ke Parde Hatadiye Gaye Hain Aur Aasmaan Ke Darwaze Khule Hain Aur Ali Ibne Abi Talib Alaihis Salaam Sar Uthaye Huwe Meri Janib Dekh Rahe Hain. Pas Ali (a.s.) Ne Bhi Mujh Se Kalam Kiya. Ibne Abbas r.a. Kehte Hain Ke Maine Arz Ki Ya Rasoolallah SAWS Khudaye Ta’ala Ne Aapse Kya Farmaya Tha? Jawab Diya Ke Khudaye Ta’ala Ne Farmaya Ke Aye Mohammad SAWS Maine Ali (a.s.) Ko Tumhara Wasi Aur Wazeer Aur Tumharay Baad Khalifa Qarar Dediya. Ye Khushkhabari Ali (a.s.) Ko Dedo Ke Wo Tumhari Baten Sun Rahe Hain. Pas Maine Ali (a.s.) Ko Khabar Dedi Halanke Mai Apne Parwardigar (Ke Hijabe Qudrat) Ke Paas Tha. Ali (a.s.) Ne Jawab Diya Ke Ya Rasoolallah SAWS! Maine Qubool Kiya Aur Mai Apka Farmabardar Hoon. Pas Khudaye Ta’ala Ne Malaeka Ko Hukum Diya Ke Tum Sab Ke Sab Ali (a.s.) Par Salaam Karo. Un Sab Ne Salaam Kiya Aur Ali (a.s.) Ne Un Sab Ko Jawabe Salam Diya. Phir Maine Dekha Ke Farishte Aapas Me Iski Babat Ek Doosray Ko Basharat Wa Mubarakbad De Rahay Hain Aur Jis Kisi Farishte Ki Taraf Se Mera Guzar Hota Tha Wahi Mujhko Mubarakbad Deta Tha Aur Wo Farishte Kehte The Ke Ya Rasoolallah SAWS! Qasam Hai Khuda Ki Jisne Aapko Mab’oos Barisalat Kiya, Is Baat Ki Hum Grohe Malaeka Ko Behad Khushi Hai Ke Aapke Chachazad Bhai Ko Khudaye Ta’ala Ne Aapka Khalifa Qarar Diya Aur Maine Hamilane Arsh Ko Dekha Ke Wo Zameen Ki Taraf Sar Jhukaye Huwe Hain. Ye Haal Dekh Kar Maine Jibraeel (a.s.) Se Pucha Ke Aye Jibraeel (a.s.)! Hamilane Arsh Ke Sar Jhukane Ka Sabab Kya Hai? Jibraeel (a.s.) Ne Kaha Ke Ya Rasoolallah SAWS! Koi Farishta Aisa Nahi Hai Jisne Khush Hoke Chehrae Ali Ibne Abi Talib Alaihis Salaam Ki Taraf Nazar Na Ki Ho Magar Hamilane Arsh Ne Abhi Abhi Khudaye Ta’ala Se Ejazat Hasil Ki Hai. Ab Wo Ali Ibne Abi Talib (a.s.) Ki Taraf Nazar Kar Rahe Hain. (Aye Ibne Abbas r.a.) Jab Mai Zameen Par Aaya To Mai In Waqeaat Ki Ittela Ali Ibne Abi Talib (a.s.) Ko Deta Tha Aur Wo Sab Baton Ki Khabar Mujhe Sunatay The Jisse Maine Maloom Karliya Ke Koi Muqam Aisa Nahi Raha Jahan Maine Qadam Rakha Ho Aur Ali (a.s.) Par Wo Na Khul Gaya Ho Yani Unhone Usay Aankhon Se Na Dekh Liya Ho. Ibne Abbas r.a. Kehte Hain Ke Maine Arz Ki Ya Rasoolallah SAWS Mujhe Koi Nasihat Kijiye! Farmaya Ke Aye Ibne Abbas r.a. Tum Par Ali Ibne Abi Talib (a.s.) Ki Ita’at Wajib Hai. Qasam Hai Khuda Ki Jisne Mujhe Bar Haq Rasool Banakar Bheja Hai. Har Shaks Ki Koi Neki Us Waqt Qubool Na Hogi Jab Tak Ke Us Se Mohabbate Ali Ibne Abi Talib (a.s.) Ka Sawal Na Karliya Jaega Halanke Khudaye Ta’ala Cheez Ko Khoob Janta Hai. Par Agar Banda Ali (a.s.) Ki Wilayat Lekar Aaya Hai To Uska Amal Jaisa Kuch Bhi Hoga Qubool Hojaega. Aur Agar Unki Wilayat Lekar Nahi Aaya Hai To Aur Koi Amal Pucha Hi Na Jaega. Aur Ye Hukum Hojaega Ke Isey Sidha Jahannum Me Pohancha Do. Aye Ibne Abbas r.a. Usi Ki Qasam Jisne Mujhe Barhaq Nabi Banakar Bheja Hai Dozaq Ki Aag Banisbat Un Logon Ke Ke Jo Khuda Keliye Beta Qarar Dete Hain Un Logon Par Zyada Ghazabnak Hogi Jo Ali (a.s.) Se Dushmani Rakhte Honge. Aye Ibne Abbas r.a. Agar Tamam Malaeka Aur Saray Ambiya (a.s.) (Bafaraze Muhal) Ali (a.s.) Ki Adawat Par Muttafiq Hojaen To Allah Ta’ala Zaroor Unko Dozaq Ke Azab Me Mubtela Karega Magar Wo Log Ali (a.s.) Se Hargiz Dushmani Na Karenge. Maine Arz Ki Ya Rasoolallah SAWS Kya Aisa Bhi Koi Hoga Jo Ali (a.s.) Se Adawat Rakhega? Farmaya Haan! Aye Ibne Abbas r.a. Bahot Se Log Honge Jo Meri Ummat Me Hone Ka Dawa Karenge Magar Islam Se Unko Kuch Bhi Talluq Na Hoga. Aye Ibne Abbas r.a. Unki Ek Alamat Ye Bhi Hai Ke Wo Ali (a.s.) Par Aisay Shaqs Ko Fazilat Denge Jo Unse Kahin Past Darje Ka Hoga. Usi Ki Qasam Jisne Mujhe Barhaq Nabi Banakar Bheja Hai Khudaye Ta’ala Ne Koi Nabi Aisa Nahi Bheja Hai Jo Uski Nazar Me Mujhse Zyada Moazziz Ho, Na Koi Wasi Aisa Bheja Jiski Izzat Uske Nazdeek Mere Wasi Se Zyada Ho. Ibne Abbas r.a. Farmate Hain Ke Mai Hamesha Janabe Rasulekhuda SAWS Ki Nasihat Aur Hukum Ke Bamaojib Ali Ibne Abi Talib Alaihis Salaam Se Mohabbat Karta Raha Aur Ye Ke Mere Nazdik Isse Badkar Aur Koi Amal Hi Na Tha. Ibne Abbas r.a. Kehte Hain Ke Is Waqea Ko Muddaten Guzar Gayin Ke Janabe Rasulekhuda SAWS Ka Waqte Wafat Qareeb Aagaya. Ek Din Maine Arz Ki Ya Rasoolallah SAWS Mere Maa Baap Huzoor Ke Qadmo Par Fida Hojaen Aapki Rehlat Ka Zamana Bahot Nazdik Rehgaya Hai Aap Mujhe Kya Hukum Dete Hain? Farmaya Aye Ibne Abbas r.a.! Ali Ibne Abi Talib (a.s.) Ke Muqalifon Ki Tum Muqalefat Karna Aur Hargiz Ali (a.s.) Ke Muqalifon Ki Madad Aur Nusrat Na Karna. Maine Arz Ki Ya Rasoolallah SAWS! Logon Ko Aap Kyun Nahi Hukum Dedete Ke Ali (a.s.) Ki Muqalefat Na Karen. Ye Sunkar Aanhazrat SAWS Itna Roye Ke Ghash Kargaye. Jab Efaqa Huwa To Farmaya Aye Ibne Abbas r.a.! Ilme Khuda Me Ye Pehle Hi Guzar Chuka Hai. Khuda Ki Qasam Ali Ibne Abi Talib (a.s.) Ka Koi Muqalif Aur Munkir Duniya Se Na Uthega Magar Ye Ke Khudaye Ta’ala Uski Nematon Ko Salb Kardega. Aye Ibne Abbas r.a.! Agar Khuda Se Is Haal Me Mulaqat Karna Chahte Ho Ke Wo Tum Se Razi Ho To Tum Ali Ibne Abi Talib (a.s.) Ki Raah Par Chalte Rehna Aur Jis Taraf Ko Tum Unka Mailan Dekho Usi Taraf Tum Bhi Mael Hojana Aur Apni Aulad Ko Unki Imamat Ki Wasiyat Karte Jana Aur Unke Dushmano Se Dushmani Rakhna Aur Unke Doston Ke Dost Banna. Aye Ibne Abbas r.a.! Tum Hamesha Is Baat Se Darte Rehna Ke Ali (a.s.) Ki Taraf Tumharay Dil Me Koi Muqalif Baat Ajaye Kyunki Ali (a.s.) Ke Baray Me Shak Karna Khudaye Ta’ala Ki Janab Me Kufr Karne Ke Barabar Hai.
Janab Imam Mohammad Baqir Alaihis Salaam Ne Bariwayat Apne Pidare Buzurgwar Aur Jadde Namdar Ke Janab Ameer Alaihis Salaam Se Riwayat Ki Hai Ke Huzoor Sarware Aalam SAWS Ne Irshad Farmaya O’OTITO JAWAMIAL KALEME (Mujhe Jawamial Kalem Ata Huwa Hai) Ata Ibne Saeb Ne Arz Ki Yabna Rasoolallah SAWS! Jawamial Kalem Kya Cheez Hai? Farmaya Qurane Majeed. Akrama Se Bariwayat Ibne Abbas r.a. INNA AATAINAAKAL KAUSAR Ki Tafsir Me Marwi Hai Ke Kausar Ek Neher Hai Jiski Gehran Sattar Hazar (70,000) Farsaq Hai, Pani Uska Doodh Se Zyada Sufaid, Sehed Se Zyada Shireen Hai, Dono Kinaray Uskay Moti Aur Yaqut Aur Zabarjad Ke Hain. Khudaye Mannan Ne Apne Paighambare Akhiruz Zamaan SAWS Aur Unke Ahlebait Alaihimus Salaam Ko Khas Taor Se Ata Farmayi Hai Aur Ambiya Ka Usme Koi Eqtiyar Nahi Hai. Anas Ibne Malik Se Marwi Hai Ke Janabe Rasulekhuda SAWS Ne Farmaya Ke Jab Mai Shabe Meraj Saatwe Aasman Par Pohancha To Jibraeel (a.s.) Ne Mujhse Kaha Ya Rasoolallah SAWS! Aap Aage Jayiye Aur Jibraeel (a.s.) Ne Mujhe Kausar Dikha Kar Bayan Kiya Ke Ya Rasoolallah SAWS! Ye Kausar Sirf Aap Hi Ka Haq Hai Isme Aur Nabiyon Ka Koi Eqtiyar Nahi Hai. Pas Mai Ne Uske Kinaray Bahot Se Makan Moti Ke Aur Yaqut Ke Aur Jawaheraat Ke Dekhe. Jibraeel (a.s.) Ne Mujhe Batlaya Ke Ye Aapke Aur Aapke Wazir Wa Wasi Ali Ibne Abi Talib (a.s.) Ke Aur Unki Zurriyate Tahera Ke Makanat Hain. Maine Usi Neher Ki Mitti Haath Me Lekar Sunghi To Wo Mushk Thi Aur Uske Kinaray Mai Ne Makanaat Dekhe Jo Sonay Aur Chandi Ki Einton Se Banaye Gaye Hain. Janabe Imam Jafar Sadiq Alaihis Salaam Se Manqool Hai Ke Ek Roz Janabe Rasulekhuda SAWS Namaze Subha Ada Karne Ke Baad Janabe Ameer Alaihis Salaam Ki Taraf Mutawajje Huwe Aur Farmaya Ya Ali (a.s.)! Ye Noor Kaisa Hai Jo Tum Par Chaya Huwa Hai? Arz Ki Ya Rasoolallah SAWS! Aaj Shab Ko Mujhe Janabat Ariz Huwi Pas Mai Is Jungal Me Pani Talash Ko Gaya Magar Kahin Na Mila. Jab Mai Wapas Aaya To Ek Munadi Ne Mujhe Awaz Di Ya Ameerul Momeneen (a.s.)! Ab Jo Maine Palatkar Dekha To Ek Shaqs Ko Paya Ke Ek Lota Aur Ek Sone Ka Tas Pani Se Bhara Huwa Liye Huwe Tha. Usse Maine Ghusl Kiya. Janabe Rasulekhuda SAWS Ne Farmaya Wo Awaz Dene Walay Jibraeel (a.s.) Thay Aur Wo Pani Ek Neher Ka Tha Jiska Naam Kausar Hai, Usike Kinaray Bara Hazar (12,000) Daraqt Hai, Har Daraqt Me Teen Sao Saat (360) Gudde Hain. Jab Ahle Jannat Ka Dil Behlane Ko Ji Chahega To Ek Hawa Chala Karegi To Unme Se Koi Daraqt Aur Koi Gudda Aisa Na Rahega Jisse Tarah Tarah Ki Awazen Paida Na Hon Ke Ek Se Doosri Badh Chadh Kar Hogi. Agar Khudaye Ta’ala Ne Ye Tae Na Farmadiya Hota Ke Ahle Jannat Marenge Nahi To Unki Awazon Ke Lutf Se Wo Aisay Mast Hojate Ke Maray Khushi Ke Unki Jaan Nikal Jati. Ye Neher Jannate Adan Me Hai Aur Mere Liye Aur Tumharay Liye Aur Fatima a.s. Aur Hasnain a.s. Keliye (Khudaye Ta’ala Ne Paida Ki) Hai Kisi Aur Ka Isme Bilkul Hissa Nahi Hai. Anas Bin Malik Se Marwi Hai Ke Janabe Rasulekhuda SAWS Ne Abu Bekar Wa Umar Se Farmaya Ke Tum Dono Ali Ibne Abi Talib (a.s.) Ki Qidmat Me Jao Takay Wo Shab Ka Waqea Tumse Bayan Karen Aur Mai Bhi Tumharay Piche Piche Aata Hoon. Pas Wo Dono Daulatsarae Murtazawi Par Hazir Huwe Aur Andar Daqil Hone Ki Ijazat Mangi. Ameerul Momeneen Alaihis Salaam Khud Bahar Aagaye Aur Farmaya Kya Koi Hadesa Barpa Hogaya Hai? Humne Arz Ki Nahi To Balke Hume Janabe Rasulekhuda SAWS Ne Hukum Diya Hai Ke Ali (a.s.) Ke Paas Jao Takay Wo Tum Se Shab Ka Waqea Bayan Karen. (Hum Log Ye Arz Hi Kar Rahe The Ke) Itne Me Janabe Rasulekhuda SAWS Bhi Tashreef Le Aaye Aur Irshad Farmaya Ke Aye Ali (a.s.)! Raat Ki Sareguzisht In Dono Ko Suna Do. Arz Ki Ya Rasoolallah SAWS! Mujhe To Sharm Aati Hai, Farmaya Bayan Bhi Karo, Haq Bayan Karne Se To Khuda Bhi Nahi Sharmata. Us Waqt Ali-e-Murtuza Alaihis Salaam Ne Farmaya Shabe Guzishta Maine Taharat Wa Ghusl Keliye Pani Talash Kiya Magar Na Mila. Subha Namuar Hochuki Thi. Mujhe Khauf Huwa Ke Meri Namaz Qaza Na Hojaye. Pas Maine Ek Taraf Hasan (a.s.) Ko Aur Doosri Taraf Husain (a.s.) Ko Pani Ki Talash Me Rawana Kiya. In Dono Ki Wapsi Me Der Huwi Jisse Mere Dil Ka Ranj Aur Badgaya. Mai Usi Bechaini Me Tha Ke Yaka Yak Makan Ki Chhat Shigafta Hogayi Aur Ek Taas Rumaal Se Dhaka Huwa Utarna Shuru Huwa. Jab Wo Zameen Par Agaya Maine Usparse Rumaal Hataya To Dekhta Kya Hoon Ke Usme Pani Hai Usse Maine Taharat Bhi Ki Aur Ghusl Bhi Karliya Aur Namaze Subha Ada Ki. Phir Wo Taas Aur Rumaal Utgaya Aur Chhat Barabar Hogayi. Janabe Rasulekhuda SAWS Ne Ameerul Momeneen Alaihis Salaam Se Aur Un Dono Se Farmaya Ke Wo Taas Jannat Ka Tha, Wo Pani Kausar Ka Aur Wo Rumaal Behisti Istabraq Ka Tha. Aye Ali (a.s.)! Tumhari Manind Kaun Hai Ke Is Shab Me Jibraeel (a.s.) Ne Tumhari Qidmat Ki. Ehtejaj Me Allama Tabresi Alaihe Rehma Ne Wo Hadees Likhi Hai Jo Janabe Rasulekhuda SAWS Ki Yahoodi Ke Saath Guzri. Isme Ye Bhi Hai Ke Yahood Ne Kaha Ke Hazrate Nooh (a.s.) Aap SAWS Se Afzal Hain. Janabe Rasulekhuda SAWS Ne Farmaya Ye Kyun? Yahood Ne Jawab Diya Isliye Ke Wo Kashti Par Sawar Huwe. Wo Kashti (Tufan Se Mehfooz Rahi Aur) Kohe Judi Par Jakar Tehri. Aanhazrat SAWS Ne Farmaya Ke Mujhe Us Kashti Se Afzal Aur Behtar Cheez Khudaye Ta’ala Ne Di Hai. Yahood Ne Arz Ki Wo Kya Hai? Farmaya Khudaye Ta’ala Ne Jannat Me Mujhe Ek Neher Ata Farmayi Hai Jo Arsh Ke Niche Se Jari Huwi Hai. Uske Kinaray Par Lakhon Qasr Hain Jo Sone Aur Chandi Ki Einton Se Banaye Gaye Hain. Us Neher Ki Ghans Zafran Hai, Sangreze Uske Moti Aur Yaqoot Hai, Zameen Us Ki Sufaid Mushk Ki Hai. Ye Mere Liye Aur Meri Ummat Keliye (Kashtiye Nooh (a.s.) Se) Kahin Behtar Hai. Qaole Bari Ta’ala INNA ATAINAAKAL KAUSAR Ka Yehi Matlab Hai. Yahood Ne Arz Ki Aye Mohammad SAWS Aapne Sach Farmaya. Taoraet Me Yunhi Likha Hai Ke Ye Nehre Kausar Kashtiye Nooh (a.s.) Se Kahin Behtar Hai.
WANHAR – Tafsire Majmaul Bayan Me Janabe Imam Jafar Sadiq (a.s.) Se Manqool Hai Ke Isse Matlab Hai Dono Hathon Ka Chehre Ke Barabar Uthana Aur Ek Riwayat Me Hai Ke Khud Apne Daste Mubarak Isi Tarha Uthakar Dikha Diye Jistarha Shuru Namaz Ke Waqt Qibla Ki Taraf Ruq Karke Uthaye Jatay Hain.
Amali Me Bariwayate Janabe Ameer Alaihis Salaam Asbag Bin Nabata Se Manqool Haike Ke Jab Ayat FASALLE LE RABBEKA WANHAR Nazil Huwi To Aanhazrat SAWS Ne Dariyaft Kiya Ke Jibraeele Ameen (a.s.)! Ye Kaunsi Qurbani Hai Jiska Mere Parwardigar Ne Mujhe Hukum Diya Hai? Jibraeel (a.s.) Ne Arz Ki Ya Rasoolallah SAWS Ye Koi Qurbani Nahi Hai Balke Isse Murad Namaz Me Hathon Ka (Kano Tak) Uthana. Ehtejaje Tabresi Me Itna Aur Zyada Hai Ke Jibraeele Ameen (a.s.) Ne Ye Arz Ki Ke Khudaye Ta’ala Aapko Hukum Deta Hai Ke Jab Aap Namaz Keliye Takbiratul Ahram Kahen Tab Bhi Apne Dono Haath Buland Karen Aur Jis Waqt Mabaen Namaz Lafze Allahu Akbar Zaban Par Jari Karen Aur Jab Ruku Karen Aur Jab Ruku Se Sar Uthaen Aur Jab Sajda Karen To Har Maoqe Par Rafa Yadain Kiya Karen Isliye Ke Hamari Namaz Aur Saaton Aasmano Ke Farishton Ki Namaz Isi Surat Ki Hoti Hai Aur Ya Rasoolallah SAWS Har Cheez Keliye Ek Zeenat Hoti Hai, Namaz Ki Zeenat Yehi Hai Ke Har Takbir Ke Saath Haath Uthaye Jaen.
AL-ABTAR – Tafsire Qummi Me Hai Ke Janabe Rasulekhuda SAWS Masjidul Haram Me Tashreef Laye. Us Waqt Us Jagah Umar Ibnul Aas l.a. Aur Hakam Ibnul Aas l.a. Maojood Thay. Umar l.a. Ne YA AYYOHAL ABTAR Kehke Qitab Kiya- Aur Zamanaye Jaheliyat Me Ye Dastoor Tha Ke Abtar Us Shaqs Ko Kehte They Jiske Koi Aulad Na Rahi Ho. Phir Umar Ne Ye Bhi Kaha Ke Mujhe Mohammad SAWS Se Bughz Hai. Phir Allah ta’ala Ne Apne Rasool SAWS Par Ye Surah Nazil Farmaya Aur Irshad Huwa INNA SHANIAKA HUWAL ABTAR – Tujhse Bughz Rakhne Wala Hi Abtar Hai. Yani Na Uska Koi Deen Hai Aur Na Uska Koi Nasab Hai. Tafsire Safi Me Hai Ke ABTAR Ke Ye Mani Hain Ke Na Uski Nasal Baqi Rahegi Aur Na Uski Yaad Neki Ke Saath Rahegi. Ab Rahe Tum So Tumhari Zurriyat Bhi Qayamat Tak Baqi Rahegi Aur Tumhari Shohrat Bhi Aur Tumhari Shohrat Ke Aasaar Bhi.