Rehman wa Raheem Khuda Ke Naam Se (Shuru Karta Hoon)

Kya Tumne Is Shaqs Ko Dekha Jo Saza Wa Jaza Ko Jhutlata Hai?

Wahi To Hai Jo Yateem Ko Dhakke Deta Hai

Aur Miskeen Ko Khana Khilane Ki Targheeb Nahi Deta

Pas Wael Hai In Namaz Padne Walon Ke Wastay

Jo Apni Namaz Se Ghaflat Karte Hain Aur Jo Dikhawe Ki Namaz Padte Hain

Aur Aariyat Dene Ki Chizon Ko Rokte Hain

ARAYTAL LAZI YUKAZZIBO BID DEEN – Tafsire Qummi Me Hai Ke Ye Surat Abu Jehel Aur Kuffare Quraish Ke Baray Me Nazil Huwi.

AL LAZI YADUOUL YATEEMA – Tafsire Qummi Me Hai Ke Iska Matlab Ye Hai Ke Yateem Ko Iska Haq Nahi Dete. Ek Qaol Ke Bamaojib Abu Jehel Ek Yateem Ke Maal Ka Sarparast Tha. Ek Maoqe Par Wo Yateem Barahna Halat Me Iske Paas Aaya Aur Apne Zaati Maal Se Isne Kuch Talab Kiya. Abu Jehel Ne Isko Hata Diya Aur Abu Sufiyan Ne Ek Ount Zibah Kiya Tha Isse Isi Yateem Ne Gosht Manga To Abu Sufiyan Ne Isko Apne Asa Se Maara.

AL LAZINA HUM AN SALATEHIM SAHOON – Tafsire Qummi Me Hai Ke Isse Tarekus Salat Log Murad Hain Kyunki Saho To Namaz Me Har Insan Se Hota Hai. Tafsire Ayashi Me Hai Ke Janabe Imam Jafare Sadiq (a.s.) Se Is Ayat Ka Matlab Dariyaft Kiya Gaya Tha Ke Aaya Ye Saho Waswasae Shaitan Hai? Farmaya Nahi Ye To Har Shaks To Pesh Aata Rehta Hai Balke Yahan Saho Se Murad Ghaflat Ka Karna Aur Namaz Ka Awwale Waqt Se Be Uzr Chhod Dena Hai.  Al-Khisal Me Janabe Ameerul Momeneen (a.s.) Se Marwi Hai Ke Namaz Se Badkar Koi Amal Khudaye Ta’ala Ko Pasand Nahi Hai. Pas Duniya Ke Kamo Me Se Koi Kaam Tumko Is Baat Se Baaz Na Rakhe Ke Namaz Ko Iski Fazilat Ke Waqt Me Baja Lao Isliye Ke Khudaye Ta’ala Isi Ghaflat Karnewalon Ke Baray Me Farmata Hai AL-LAZINA HUM AN SALATEHIM SAHOON.

          AL-LAZINA HUM YURAOONA – Tafsire Majmaul Bayan Me Janabe Ameerul Momeneen (a.s.) Se Manqool Hai Ke In Se Murad Wo Munafeqeen Hain Jo Namaz Padhte The. To Usse Sawab Ki Ummid Na Rakhte The Aur Na Padhte The To Us Se Kisi Azaab Ka Andesha Na Karte The Goya Puray Puray Ghafil Rehte Yahantak Ke Iska Waqt Guzarjata Aur Wo Ghafil Hi Rehte. Pas Momeneen Ke Saath Inka Namaz Padhna Mehez Riya Tha Jaisa Ke Khudaye Ta’ala Farmata Hai AL-LAZINA HUM YURAOON.

WA YAMNAOONAL MAOON – Tafsire Qummi Me Hai Ke Isse Murad Chirag, Aag, Aur Khameer Waghaira Chizen Jinki Logon Ko Aksar Zarurat Huwa Karti Hai Aur Ek Riwayat Ke Bamaojib Murad Hai Khums Wa Zakat – Aur Tafsire Majmaul Bayan Me Janabe Ameerul Momeneen (a.s.) Aur Janabe Imam Jafare Sadiq (a.s.) Se Manqool Hai Ke Is Se Murad Zakate Wajib Aur Wo Chizen Jo Log Apas Me Ek Doosray Se Musta’ar Maang Liya Karte Hain Jaisay Dol Waghaira Aur Aisi Chizen Jo Roki Nahi Jasakti Jaisay Pani Aur Namak. Kafi Me Janabe Imam Jafare Sadiq (a.s.) Se Manqool Hai Ke AL-MAOON Se Murad Wo Qarz Bhi Hai Jo Tum Logon Ko Dete Rehte Ho Aur Wo Neki Bhi Hai Jo Auron Ke Saath Karte Rehte Ho Aur Asbabe Khanadari Bhi Hai Jo Musta’ar Dediya Karte Ho Aur Zakat Bhi AL-MAOON Me Daqil Hai.  Kisi Ne Arz Ki Hamaray Padosi Aisay Be-Ehtiyat Hain Ke Jab Hum Inhe Baratne Ki Chizen Musta’ar Dete Hain To Wo Inko Tod Phod Dete Hain, Phad Cheer Dalte Hain Aur Tarah Tarah Se Kharab Kardete Hain. Is Surat Me Agar Hum Inko Na Den To Humpar Koi Ilzam To Nahi? Farmaya Jab Ye Halat Hai To Aisay Ko Na Dene Me Tumpar Kuch Bhi Ilzam Nahi Hai.