BISMILLAHI AR RAHMAN AR RAHEEM
Rehman Wa Raheem Khuda Ke Naam Se (Shuru Karta Hoon)
INNAA ANZALNAAHU FEE LAILATIL QADR | Beshak Humne Isko Shabe Qadr Me Nazil Kiya |
WA MAA ADRAAKA MA LAILATUL QADR | Aur Tum Kya Samjhe Ke Shabe Qadr Kya Hai? |
LAILATUL QADRI KHAIRUM MIN ALFEE SHAHR | Shabe Qadr Hazar Mahino Se Behtar Hai |
TANAZ ZALUL MALAA-IKATU WAR ROOHU FEEHA BI IZNI-RAB BIHIM MIN KULLI AMR | Isme Rooh Aur Kul Farishte Apne Parwardigar Ke Hukum Se Har Moamela Lekar Utarte Hain |
SALAAMUN HIYA HATTAA MAT LA’IL FAJR | (Ye Raat) Fajr Ke Tulu Hone Tak (Salamati) Salamati Hai. |
WA MAA ADRAAKA MA LAILATUL QADR – Al-Ma’ani Me Janab Ameerul Momeneen (a.s.) Se Manqool Hai Ke Janabe Rasulekhuda SAWS Ne Dariyaft Kiya Ke Ya Ali (a.s.) Aaya Tum Jante Ho Ke LAILATUL QADR Ke Kya Mani Hain? Maine Arz Ki Ya Rasoolallah SAWS Jab Tak Huzoor Na Batlaen Mai Kyunkar Janu? Farmaya Ke Allah Ne Isi Raat Me Jo Kuch Qayamat Tak Hone Wala Hai Sab Muqarrar Farmaya Hai. Pas Minjumla In Sab Bato Ke Tumhari and Tumhari Aulad Ki Wilayat Bhi Hai Jo Qayamat Tak Rehnewali Hai. (Qurane Majeed Ke LAILATUL QADR Me Nazil Hone Ka Matlab Kya Hai? Iskeliye Dibache Ka Nawan (9) Muqaddama Dekho).
LAILATUL QADRI KHAIRUM MIN ALFEE SHAHR – Kaafi Me Janab Imam Jafare Sadiq (a.s.) Se Manqool Hai ke Janabe Rasulekhula SAWS Ne Khwab Me Ye Dekha Ke Bani Umayya Aanhazrat SAWS Ke Baad Inke Mimbar Par Chadte Hain Aur Logon Ko Rahe Rast Se Hatakar Pichle Paon Laotate Hain. Pas Subha Ko Aanhazrat SAWS Bahot Ranjida Aur Maghmoom Thay Ke Jibraeele Ameen (a.s.) Nazil Huwe Hain Aur Arz Ki Ye Kya Baat Hai Ke Mai Aapko Ranjida Wa Maghmoom Pata Hoon? Farmaya Aye Jibraeel (a.s.) Maine Aaj Hi raat me dekha ke mere baad mere mimbar par bani umayya chadte hain aur logon ko rahe rast se bhatka kar piche hatate hain. Jibraeele Ameen (a.s.) Ne arz ki uski qasam jisne Aap (SAWS) Ko maboos farmaya hai mujhe abtak is amr ke mutalliq koi ittela nahi hai. Chunache wo khud aasman ko gaye aur zyada der na guzri thi ke Qurane Majid ki kuch ayaten lekar aaye jinse aanhazrat (saws) ko sukun wa itmenan huwa. Wo ayaten hasbe zael hain AFARA’ITA IM MATANAHUM SININA SUMMA JA’AHUM MA KANU YU’ADUNA MA AGNA ANHUM MA KANU YAMAT’TAOON (Dekho Safa 449 Satar 9) Neez INNA ANZALNAHU…..ta…..KHAIRUM MIN ALFEE SHAHR jiska ye matlab hai ke khudaye ta’ala ne apne nabi keliye shabe qadr ko hazar mahine se jisme bani umayya saltanat ke malik honge behtar qarar diya. Tafsire majmaul bayan me Hazrat Abdullah Ibne Abbas (r.a.) se manqool hai ke Janabe Rasulekhula SAWS ke samne bani israeel ke ek shaks ka zikr kiya gaya jisne rahe khuda me ek hazar mahine apne kandhay par talwar utayi thi. Jisse Aanhazrat (SAWS) ne bahot tajjub kiya aur ye aarzu bhi ki ke meri ummat me bhi aisa koi hota aur ye arz bhi ki ke khudawanda meri ummat ko tu ne umren bhi kam di hain aur aamaal bhi inke thode hi hain pas khudae ta’ala ne Aanhazrat (saws) ko shabe qadr ata farmayi aur ye irshad farmaya ke shabe qadr un hazar mahino se behtar hai jinme us israeli ne rahe khuda me hathyar uthaye the aur ye maqsoos aap keliye hai. Aur aap ke baad aap ki ummat keliye qayamat tak har mahe mubarake ramazan me hoti rahegi. Kaafi me hai ke Janabe Imam Mohammad Baqir alaihis salaam se khudae ta’ala ke is qaol INNA ANZALANHU FI LAILATIM MUBARAKATIN (Dekho Safa 791 Satar 4) Ka Matlab dariyaft kiya gaya to farmaya ke haan yehi shabe qadr hai. Aur ye har baras mahe mubarake ramazan ke aaqri ashreh me hoti hai aur qurane majeed shabe qadr hi me nazil huwa hai. Neez manqool haike kisi ne inhi Hazrat (a.s.) se dariyaft kiya tha ke shabe qadr kis shab ko hoti hai? To farmaya Isay ekiswee (21st) shab me talash karo ya teiswee (23rd) me. Aur ek riwayat ke bamaojib ye farmaya ke unniswee (19th), ekiswee (21st), teiswee (23rd). Kisi ne arz ki ke agar aadmi ko takan aariz hojaye ya bimar ho to in shabo me se sab se zyada bharosa kis par hai? Farmaya teiswee (23rd) par. Aur Janab Imam Mohammed Baqir ya Janab Imam Mohammad Jafare Sadiq alaihuma salaam se ye bhi riwayat hai ke iski alamat ye hai ke hawa khushboodar hojati hai aur masoam agar sardi ka hai to wo raat garam hojati hai aur agar garmi ka hai to sard hojati hai. Kaafi me Janab Imam Ali Naqi alaihis salaam se manqool hai ke jis haal me mere walide majid kaaba ka tawaf farma rahe the ek shaks naqabposh aaya aur Harzrat (a.s.) ke qareeb hokar aapko poore saat chakkar na karne diye aur aapko ek makan me le gaya jo kohe safa ke pehlu me hai. Mujhe bhi wahin bulaliya aur ye kaha ke Ibne Rasoolallah saws ka aana mubarak ho. Phir apna haath mere sar par rakha aur ye kaha ke aye wo shaks jo baad apne aaba o ajdad ke ameene khuda hai. Khuda aap ki nasl me barkat de. Aye Abu Jafar (a.s.) Ji chahe tum mujhe khabar do aur agar chaho to mai tumhe khabar doon. Agar ji chahe aap mujh se kuch sawal karen aur agar manzoor ho mai aapse kuch sawal karun. Ji chahe aap meri tasdeeq kijiye aur manzoor ho to mai aap ki tasdeeq karun? Hazrat (a.s.) ne farmaya mujhe ye sab baten manzoor hain. Is shaks ne kaha to aisa na ho ke mere sawalat ke waqt aapki zaban se kuch aur nikle aur dilme meri nisbat kuch aur ho? Farmaya aisa to wo shaks karsakta hai jiske dilme do ilm hon (aur) inme se ek doosre ka muqalif ho. Aur khudaye ta’ala ne is ko rava hi nahi rakha ke is ke ilm me iqtelaf ho. Is shaks ne kaha ke mera sawal yehi hai ke jiske ek juz ki tafseel aap khud hi farmagaye. Mujhe isi ilm ki khabar dijiye ke jisme koi iqtelaf nahi hota ke iska janne wala kaun hai? Farmaya sara ilm to khudaye azza wa jal ke paas hai magar itna hissa jiski char wa nachar bando ko zarurat hoti hai wo aosiya ke paas hai. Ye sunkar us shaks ne apni naqab ulat di. Sidha ho baitha. Chehra iska bashshash hogaya. Isne ye kaha ke yehi meri gharz hai aur mai isiliye aaya hoon. Aap ka ye guman haike is ilm ka ek hissa jisme kisi tarah ka iqtelaf nahi hota aosiya ke paas hai to wo aosiya ko hasil kistarah hota hai? Farmaya isitarha jistarha Janabe Rasulekhula SAWS ko hasil hota tha. Farq itna hai ke Janabe Rasulekhula SAWS farishto ko dekhte the ke wo nabi the aur aosiya faqat aawaz sunte hain. Is wastay ke ye mohaddis hain. Janabe Rasulekhuda SAWS jiswaqt khudaye ta’ala ki janib tawajjo karte the to wahi sunlete the aur ye wahi nahi sunte. Inko Ilham hojata hai. Is shaks ne kaha Yabna Rasulallah saws Aap ne sach farmaya. Magar ek sawal mera is se bhi zyada saqt hai. Bhala mujhe ye to batayiye ke ye ilm aosiya se isitarah kyun nahi aam taor par zahir hota jaisa ke Janabe Rasulekhula saws se zahir hota tha? Hazrat (a.s.) farmate hain ke mere walide majid ye sunkar mutabassim huwe aur irshad farmaya ke allah ko ye manzoor nahi hai ke siwaye in logon ke jinka imtehan eman ke zariye se kar chuka hai kisi aur ko iski ittela ho. Jaisa ke Janabe Rasulekhula SAWS Ke baray me ye tae farmaya tha ke apni qaom ki ezadahi par sabr kiye chale jaen aur jab tak hukm na mile inse jihad na karen Pas Aanhazrat (SAWS) chupate rahe ta ankay ye farmaya FAS’DA BIMA TUMARU WA AARIZ ANIL MUSHREKINA (Dekho Safa 425 Satar 1) aur qasam bakhuda agar Aanhazrat (SAWS) is se pehle bhi zahir karte to mamoon rehte. Lekin inhone ita’at ko madde nazar rakha aur khilaf karne se khaef rahe. Isi wajah se zaban ko roka. Isitarha mai bhi chahta hoon ke tum is ummat ke Mehdi (a.s.) ke muntazir raho. Jiski nusrat aasman wa zameen ke kul farishte Aale Dawood (a.s.) ki talwaro ke saath karenge. Jo kafir margaye honge inki ruhon ko azab denge aur jo zinda honge inke jismo se ruhen nikalkar murda kafero ki ruhon se inko miladenge. Ye Sunkar is shaks ne ek talwar nikali aur kaha ke aaya ye bhi inhi me se hai? Hazrat (a.s.) farmate hain ke mere walide majid ne irshad farmaya ke isi ki qasam jis ne Mohammed Mustafa SAWS Ko tamam aadmiyon par fazilat di hai. Beshak ye inhi talwaro me se hai. Is shaks ne phir naqab apni odh li aur kaha ke mai Ilyas (a.s.) hoon. Maine Aap se Aap Ke Moamele me jo kuch dariyaft kiya wo azrue jahalat nahi dariyaft kiya balke maine ye chaha ke is hadees se aap ke ashab ko quwwat pohanche aur ab mai ek ayat batlata hoon ke aap to ise jante hi hain magar agar aap ke shia iske zariye se muqasema karen to ghalib aaenge. Hazrat (a.s.) farmate hain ke mere walide majid ne farmaya ke aapki marzi ho to mai hi wo batladoo? Inhone kaha behtar. Phir mere walide majid ne farmaya ke agar hamare shia hamare muqalefeen se ye dariyaft karen ke khudae ta’ala apne rasool SAWS se farmata hai INNA ANZALNAHU FI LAILATIL QADR To aaya ilm me se kuch aisi baten bhi thee jinko Janabe Rasulekhula SAWS is raat tak nahi jantay the ya kuch aisi bhi thee jinko Jibraeel (a.s.) is raat ke siwaye bhi laye the? To wo yehi kahenge ke nahi! Us waqt unse ye kaho ke aaya koi ilm aisa hai jiska is raat ko zahir karna zaruri tha? Ispar kahenge nahi! Tab inse ye kaho ke Janabe Rasulekhuda SAWS ne ilme khuda se jo kuch bhi zahir kiya hai isme kuch iqtelaf hai? Agar wo kahenge hai to tum ye kaho ke jisne khuda ka aisa hukum pohanchaya jisme iqtelaf hai zaroor Janabe Rasulekhuda SAWS ka muqalif hai. Inhe kehna padega ke haan hai. Aur agar wo nahi kehden to unki pehli baat ke barkhilaf padega. Tum inse ye kaho MA YALAMO TAWILAHU ILLALLAH WAR RASEQUNA FIL ILM (Dekho Safa 78 Satar 8) Phir agar wo kahen ke ilm me mazboot kaun hain? To Tum Kehdo ke Jinke Ilm Me iqtelaf nahi hota. Phir bhi agar dariyaft karen ke aakhir batao to wo kaun hain? To Tum kaho ke pehle to inme se Janabe Rasulekhuda SAWS hain. Aaya inhone pohancha diya ya nahi? Agar wo kahen ke pohanchadiya to phir dariyaft karo ke aaya Janabe Rasulekhuda SAWS ka inteqal bhi hogaya ya nahi? Aur Jo Khalifa Aanhazrat (SAWS) Ke baad hai aaya isko aisa ilm hai jisme iqtelaf na ho? Agar wo kahen nahi hai to tum ye kaho ke Janabe Rasulekhuda SAWS ka khalifa to moayyad minallah hai aur Janabe rasulekhuda saws kisi aur ko khalifa karenge nahi siwaye iske jo aanhazrat (saws) ke faislay ke bamaojib to faisla kare aur siwaye nabuwwat ke aur sab baton me Aanhazrat (saws) ke manind ho. Aur agar Janabe rasulekhuda saws ne apne ilm ke bare me kisi ko khalifa nahi kiya to ummat ke jitne log baad me paida honewale the sabko zaya kardiya. Aur agar tumse wo ye kahen ke Janabe rasulekhuda saws ka ilm to quran se tha to tum ye kaho ke qurane majeed me ye bhi maojood hai HAA MEEM WAL KITABIL MUBEEN INNA ANZALNAHO FI LAILATIM MUBARAKTIN INNA KUNNA MUNZEREEN. FIHA YUFRAQU KULLO AMRIN HAKEEMIN. AMRAM MIN INDENA INNA KUNNA MURSELEEN. (Dekho safa 791 Satar 3) phir agar tum se wo ye kahen ke allah to nabi ke siwa kisi ke paas bheja hi nahi karta to tum jawab me ye kaho ke ye amr mohkam jo alag alag kiya jata hai. Ye to farishton ki aur rooh ki taraf se hota hai (aur farishton ka aur rooh ka utarna sabit hai TANAZZALUL MALAEKATO WAR ROOHO FIHA BEIZNE RABBEHIM MIN KULLE AMRIN) To aaya ye farishte aur rooh kisi ek aasman se doosre aasman ki taraf utar kar aate hain? Agar wo ye kahen ke aasman se aasman ki taraf aate hain to tum ye kaho ke kisi aasman me to koi aisa hai hi nahi jo khuda ki ita’at chodkar nafarmani kare. Aur agar wo ye kahen ke aasman se zameen ki taraf aate hain aur zameen hi ke rehne wale tamam maqlooq se zyada iske mohtaj hain to tum ye kaho ke unko kisi sayyed wa sardar ki zarurat hai jiske paas wo apne jhagde qaziyye faisle keliye lejaen. Agar wo ye kahen ke khalifa jo bhi ho wo unka hakim hai to tum kaho ke khudaye ta’ala farmata hai ALLAHO WALIUL LAZINA AAMANU YUQREJOHUM MINAZ ZULUMATE ILAN NOOR. WAL LAZINA KAFARU AOLIYA’AHUMUT TAGHUTO YUQREJUNAHUM MINAN NOORE ILAZ ZULUMAAT. OULAEKA ASHABUN NAARE HUM FIHA QALEDOON. (Dekho Safa 66 Satar 8) Is se ye maloom huwa ke aasmano me aur zameen me koi wali khuda ka aisa nahi hai jiski taeed khud khudaye ta’ala na farmata ho. Aur jiski taeed khudaye ta’ala farmaega is se koi khata na hogi. Aur Zameen Me Koi Dushman Khuda Ka aisa nahi hai jo khuda ki nusrat se mehroom na ho. Aur jo nusrate khuda se mehroom hai is se kisi sawab ki baat ki ummid nahi hosakti. Ab jaisa ke ye zaroor hai ke har amr aasmaan se utrega jiske mutabeq zameen ke rehnewalay amal daramad karen isitarha ye bhi zaroor hai ke koi sahibe amr ho jiske paas wo amr utre. Agar wo kahen ke hum to aise kisi ko nahi jantay? To tum Kaho Ke Ab Jo Tumhara Ji Chahe kaho. Khudaye Ta’ala ne to isko rawa nahi rakha ke baad Janabe Mohammade Mustafa SAWS ke Apne bando ko bila hujjate khuda aur bila Waliyye Amr ke chod de. Hazrat (a.s.) farmate hain ke itna irshad farmakar mere walide majid khamosh hogaye. Ispar Hazrate Ilyas (a.s.) ne kaha Yabna Rasulallah SAWS yahan ek atkao hai. Bhala wo agar ye kahen ke allah ki hujjat qurane majeed hai? Farmaya is surat me mai inhe ye jawab doonga ke Quran to bolne wala nahi hai ke wo kisi khaas cheez ka hukum deta ho aur kisi baat se mana karta ho balke quran ke kuch ahel hain jo hukum bhi dete hain aur mana bhi karte hain. Neez ye kahunga ke zameen ke rehnewalo me se kisi kisi par koi musibat aisi aapadti hai jo is saal keliye maqsoos hoti hai aur aisa bhi hukum inko milta hai jisme iqtelaf hota hai. In bato ka koi zikr qurane majeed me nahi hai. Aur Allah Ta’ala ko ye manzoor nahi haike iske ilm me jo aazmaeshen hain wo zameen me aamtaor par zahir hojaen. Aur Iske hukum me inka rad karnewala bhi koi nahi aur na ahle zameen ki musibat ko dafa karnewali koi cheez hai. To Ab Kya kahenge? Hazrate Ilyas (a.s.) ne kaha Yabna Rasulallah saws Yahan To Aakar band hojaenge. Maine Is baat ki gawahi deta hoon ke Khudaye Azza Wa Jal khoob jaanta hai ke maqlooq par zameen me kaun kaunsi musibaten padnewali hain aur deen ke baray me ya aur aur tarah khud unki zaat par kya kya musibaten aanewali hain. Qurane majeed ko to sirf ek raahbar banadiya hai. Phir Hazrate Ilyas (a.s.) ne kaha Yabna Rasulallah saws Agar Koi Kahe ke qurane majeed raahbar kiska hai? Farmaya Haan Iska jawab ye hai ke isme ahkaam ijmal ke saath hain aur inki tafseer wa tafseel hakim ke paas hai. Aur Khudaye Ta’ala Ko Ye Kisi Tarha Manzoor Nahi Ke Iske Bande Par Koi Musibat Iske Deen Ke Baray me waqe ho ya Iski Zaat ke bare me ya is ke maal ke bare me. Aur Zameene Khuda par koi hakim iski taraf se muqarrar na ho jo is musibat me sahi faisla denewala ya iska samjhadene wala ho. Imam alaihis salaam farmate hain ke ye sunkar Hazrate Ilyas (a.s.) ne farmaya ke is baat me bhi aapne Aisi hujjat se band kiya ke aapke dushman ko khuda par iftera karne ka iqrar karna pade aur ye kehna pade ke allah ki hujjat hi nahi. Ab mujhe in do ayato ki tafsir aur batadijiye. LEKAILA TASAO ALA MA FATAKUM (Dekho Safa 862 Satar Aakhir) Farmaya ye to Hazrat Ali Murtuza Alaihis Salaam Ke Saath Maqsoos Hai (Matlab ye hai ke in ko hukum hai ke tumhare haath se jo chiz nikal jaye iska afsos mat karo) (Aur doosri ayat) WALA TAFRAHU BEMA AATAAKUM (Dekho Safa 863 Satar 1) Farmaya Ye abubakar aur iske ashab ke baray me hai. Matlab iska ye hai ke jo kuch tumko diya hai isme baad Janabe Rasulekhuda SAWS ke Tumhari Ek Ye Aazmaesh bhi Hai Jo Maine ki. Hazrat Ilyas (a.s.) ne sunkar kaha ke mai gawahi deta hoon ke beshak aap hi aisa hukum desakte hain jisme koi iqtelaf na ho. Imam alaihis salaam farmate hain ke iske baad wo utkar tashreef legaye aur phir maine inhe na dekha.
Neez Hazrate Abu Jafar alaihis salaam se manqool hai ke aye grohe shia Surae INNA ANZALNAHU FI LAILATIL QADR ke saath mubahesa karo to tum hamesha apne dushmano par ghalib aaoge kyunki qasam bakhuda baad Janabe Rasulekhuda saws Ke tamam maqluqe khuda par ye hujjate khuda hain aur ye tumhare deen ke sardar hain aur ye hamare ilm ki inteha hai. Ay Grohe Shia Tum HAA MEEM WAL KITABIL MUBEEN. INNA ANZALNAHU FI LAILATIM MUBARAKTIN INNA KUNNA MUNZEREEN. (Dekho Safa 791 Satar 3) Ke Zariye se mubahesa karo isliye ke wo Janabe rasulekhuda saws Ke baad Sahibane Amr Ke Saath maqsoos hai. Ay Grohe Shia Khudaye Ta’ala Farmata Hai WA IM MIN UMMATIN ILLA KHALAFIHA NAZEER. (Dekho Safa 698 Satar 1) Kisine Arz Ki Ke Ya Abu Jafar (a.s.)! Kya Is ummat Ke Daranewale Janabe rasulekhuda saws na the? Farmaya Haan! Tu Sach Kehta Hai Magar Kya Besat Se Pehle Aanhazrat (saws) Atrafe Aalam Me Daranewale The? Sael Ne Arz ki nahi! Hazrat Abu Jafar alaihis salaam ne farmaya kya teri samaj me ye aata hai ke jaisa Janabe rasulekhuda saws ko khudaye ta’ala ne nazeer banakar maboos kiya koi aur nazeer maboos na kiya hoga? Arz ki kyun nahi! Maboos kyun na kiya hoga? Farmaya ye samajme aata haike jab Janabe rasulekhuda saws Ko Isne Uthaliya To Koi Aur Daranewala Ne Bheja Hoga? Agar Tu Kahe Nahi To Goya Janabe rasulekhuda saws Ne Apni ummat ke in sab logo ko zaya kardiya jo Aanhazrat (saws) Ki Wafat Ke Waqt Baap ke Sulb Me The Ya Maa Ke Pet Aur Goad Me. Kisi Ne Arz Ki Kya Qurane Majeed Inko Kaafi Nahi? Farmaya Kaafi Hai Agar Is Ke Mufassir Ko Pale. Tab Arz Ki Kya Janabe rasulekhuda saws Ne Iski Tafsir Nahi Ki? Farmaya Poori To Ek Shaks Keliye Ki Aur Baaqi Sab Ummat Keliye Iski Zarurat Ke Mawafiq Tafsir Ki Aur Wo Shaks Khaas Ali Ibne Abi Talib alaihis salaam Hain. Sael Ne Arz kiya ke Ya Abu Jafar alaihis salaam! Kya Ye Amr aisa khaas hai ke aam log iske hamil nahi hosakte? Farmaya zaroor Asrare Khuda Khaas Hain. Dekhle! Khuda Ko Ye To Kabhi Bhi Manzoor Nahi Tha Ke Batil Khudaon Ki Parastish Ki Jae. Magar Jis Waqt Tak Deen Ke Zahir karneka waqte moayyan na aagaya inki pooja hoti hi rahi. Isitarha Janabe rasulekhuda saws Amre Islam Ko Hazrate Khadijatul Kubra Salamullahe Alaiha (Aur Ali Murtuza alaihis salaam) Par Zahir Karke Aoron Se chupate hi rahe. Jabtak ke Elane Aam Karneka hukum na aagaya. Sael Ne Arz Ki To Deen Ke Hakim Keliye Ye Chupana Lazim Hoga? Farmaya Kya Ali Ibne Abi Talib alaihis salaam Ne Is din se jis din se ke Janabe rasulekhuda saws Ke Saath Islam Lae Is waqt tak nahi chupaya jabtak ke Aanhazrat (saws) Ne Apne Amr Ko Zahir Kiya? Arz Ki Zaroor Aisa Huwa. Farmaya Bas Isitarha Humko Bhi Hukum Diya Gaya Haike Is Waqt Tak Chupaen Jabtak Ke Qudrat Ka Likha Waqt Poora Ho.
TANAZ ZALUL MALAA-IKATU WAR ROOHU FEEHA BI IZNI-RAB BIHIM MIN KULLI AMR – Tafsire Qummir Me Hai ke is raat me kul farishte aur rooh quds hukme khuda se imame zamaan (a.s.) par nazil hote hain aur jo kuch wo likh chuke hain wo sab aanhazrat (a.s.) ki qidmat me pesh Kardete Hain. Aur Janabe Imam Jafare Sadiq (a.s.) Se Manqool Haike Jab Shabe Qadr Hoti Hai To Farishte Aur Rooh Aur kul likhne wale aasmaan se duniya ki taraf utaraate hain aur jo juch us baras me hone wala hai wo sab kuch likh dalte hain. Kaafi Me Janab Imam Mohammed Baqir Alaihis Salaam se manqool hai ke khudaye ta’ala ne qilqate duniya ke waqt Sabse Pehle Shabe Qadr Ko Paida Kiya Aur Isime Awwal Nabi Aur Wasi Ko Paida Kiya Aur Ye Tae Farmadi Ke Ye Raat Har Baras Me Ek Dafa Huwa Kare Aur Isme Un Umoor Ki Tafseel Wa Tafseer Utra Kare Jo Aainda Saal Tak Hone Wale Hain. Pas Jo Shaks Iska Munkir Hai Wo Khudaye Taala Ke Ilm Ka Rad Karnewala Hai. Isliye ke Jitne Ambiya Aur Rusul Aur Mohaddis Hain Inpar wahi cheez hujjat hoti hai jo is raat me inko is hujjat ke saath pohanchi hai jo jibraeel (a.s.) lekar aate hain. Raawi Kehta hai ke maine arz ki kya mohaddison ke paas bhi Jibraeeel (a.s.) Ya Aur Farishte aate hain? Farmaya Ambiya wa Rusul Ke Bare Me To Kuch Shak Hi Nahi Aur Is Din Se Lekar Jis Din Se Zameen Paida Ki Aakhir Fanae Duniya Tak Ye Bhi Zaroor Haike Kuch Log Aisay Rahenge Jinke Paas Is raat me Tafseele Umoor Nazil Hoti Rahe Aur wo Hujjate Khuda Hon. Khuda Ki Qasam Jab Tak Adam (a.s.) Zinda Rahe Har Shabe Qadr Me Rooh Aur Farishte Inke Paas Amre Khuda Latay Rahe Aur Wallah Adam (a.s.) Ne Us Waqt Tak Inteqal Nahi Kiya Jabtak Ke Apna Wasi Muqarrar Na Karliya. Aur Har Nabi Jo Adam (a.s.) Ke Baad Huwa Usko Bhi Is Shab Me Barabar Amr Pohanchta Raha Aur Wo Apne Baad Apna Wasi Muqarrar Karta Raha. Aur Khuda Ki Qasam Adam (a.s.) Se Lekar Janabe Mohammade Mustafa SAWS Tak Har Nabi Ko Jo Ahkam Is Raat Me Mile Hain Inme Ye Hukum Bhi Milta Tha Ke Apna Wasi Aainda Falan Shaks Ko Kardena Aur Janabe Mohammade Mustafa SAWS Ke Baad To Jo Ulil Amr Honewale The Inkeliye To Apni Kitab Me Khaskar Ye Farmaya WADALLAHUL LAZINA AAMANU MINKUM WA AMELUS SAALEHATE LA YASTAQLEFANNAHUM FIL ARZE KAMAS TAQLAFAL LAZINA MIN QABLEHIM…ALKH (ILA AAKHERIHI) Goya Ye Farmata Haike Mai Baad Tumhare Nabi SAWS Ke Tumko Apne Ilm Keliye Apne Deen Keliye Aur Apni Ebadat Keliye Khalifa Muqarrar Karunga Jaise Ke Adam (a.s.) Ne Apne Baad Khalifa Mere Hukum Se Muqarrar Kiye The Aur Isitarha Aur Nabi Karte Aaye. Phir Farmata Hai YABUDUNANI LA YUSHREKUNA BE SHAE’A – Matlab Iske Ye Hai Ke Wo Log Is Baat Par Eman Laenge Ke Janabe Mohammade Mustafa SAWS Ke Baad Koi Nabi Na Hoga. Eman Laake Meri Ebadat Karenge. Pas Jo Log Iske Khilaf Aqida Rakhenge Wahi Nafarman Hain. Khudawande aalam ne Waliyane Amr Ke Ilm ko Janabe Rasulekhuda SAWS Ke Baad Paedaar Banadiya. Wo Sahibane Amr Hain. Jo Tumhara Ji Chahe Humse Dariyaft Karlo. Agar Hum Tum Ko Theek Batlaen To Padho. Magar Tum Aisa Karnewale Nahi Ho. Ab Raha Hamara Ilm Wo To Zahir Hai. Aur Raha Hamara Waqt Ke Jis Waqt Deen Ke Uloom Hum Se Zahir Honge Ke Aadmion Ke Mabaen Koi Iqtelaf Hi Na Rahe To Bahot Se Din Aur Raat Guzarne Ke Baad Iska Waqt Muqarrar Hai. Jab Wo Ayega Zahir Hojaega Aur Moamela Ek Hi Hoga. Moamela To Tae Kardiya Gaya Haike Momeneen Me Iqtelaf Hi Raha. Aur Isiliye In Logon Par Gawah Muqarar Kardiya Hai Takay Mohammade Mustafa SAWS To Hamare Aamal Wa Afaal Ki Aur Hamare Shion Ke Aamaal Wa Afaal Ki Gawahi Den Aur Hamare Shia Tamam Logon Ke Aamaal Wa Afaal Ki Gawahi Den Aur Allah Ko Iske Siwa Aur Kuch Manzoor Hi Nahi Ke Iske Hukum Me Koi Iqtelaf Na Ho Aur Jo Iske Ilm Ke Ahel Hain Inke Mabaen Koi Tanaqez Na Ho. Phir Janabe Imam Mohammed Baqir Alaihis Salaam Ne Farmaya Ke Is Momin Ki Fazilat Jo Poori Surae INNA ANZALNAHU Aur Iski Tafsir Par Eman Rakhta Ho Is Momin Par Jiska Emaan Waisa Na Ho Aisa Hai Jaise Insan Ki Fazilat Bahaem Par. Aur Khudaye Ta’ala In Logon Ke Zariye Se Jo Is Surat Par Emaan Rakhte Hain Unse Jo Duniya Me Iske Munkir Hain Bahot Kuch Azaab Dafa Karta Rehta Hai Takay Inka Aaqerat Ka Azab Poora Ho Aur Ye Hota Inhi Keliye Jinki Babat Usay Uska Bhi Ilm Ho Ke Inki Taoba Qubool Na Hogi. Jaisa Ke Jihad Karnewalon Ke Zariye Se Ghar Me Baite Rehnewalon Ki Bhi Bala Dafa Hoti Rehti Hai Aur Mai Nahi Janta Ke Is Zamane Me Siwaye Haj Aur Umra Ke Aur Padosi Ka Haq Ada Karne Ke Aur Bhi Koi Jihad Hai. Raawi Ka Bayan Haike Ek Shaks Ne Janabe Imam Mohammad Baqir Alaihis Salaam Ki Qidmat Me Arz Ki Ke Yabna Rasulallah SAWS! Aap Mujse Qafa Na Hon? Aap Ne Farmaya Ye Kyun? Isne Kaha Ke Mai Chahta Hoon Ke Aapse Kuch Sawal Karun. Farmaya Bayan Kar. Isne Kaha Ke Aap Qafa To Na Honge? Farmaya Acha Mai Qafa Nahi Honga. Isne Arz Ki Aap Hi Ne Shabe Qadr Ke Baray Me Ye Farmaya Hai Ke Farishte Aur Rooh Isme Utar Kar Aosiya Ke Paas Har Amr Lekar Aate Hain. To Kya Janabe Rasulekhuda SAWS Wo Ilm Nahi Rakhte The. Halanke Ye Aapko Maloom Haike Jab Janabe Rasulekhuda SAWS Ne Inteqal Farmaya To Koi Ilm Bhi Aisa Na Tha Jiske Janabe Ameerul Momeneen Alaihis Salaam Ameen Na Banadiye Gaye Hon? Janabe Imam Mohammad Baqir Alaihis Salaam Ne Farmaya Ke Aye Shaks! Tujhe Mujhse Kya Gharz Hai Aur Tujhe Yahan Laya Kaun Hai? Isne Kaha Ke Yahan To Mujhe Qaza Wa Qadre Elahi Ne Pohanchaya Hai Aur Mai Yahan Talabe Deen Keliye Aaya Hoon. Farmaya To Acha Ab Jo Kehta Hoon Ise Samajle. Janabe Rasulekhuda SAWS Jab Shabe Meraj Me Gaye To Inkeliye Laotne Se Pehle Pehle Khudaye Ta’ala Ne Inko Guzishta Waqeaat Ka Bhi Ilm Dediya Aur Aainda Ka Bhi Magar Is Ilm Ka Bahot Sa Hissa Ijmali Tha Jiski Tafseel Wa Tafseer Shabhaye Qadr Me Aaya Karti Hai. Yehi Halat Janabe Ali Ibne Abi Talib Alaihis Salaam Ki Bhi Thi Ke Aanhazrat (a.s.) Ka Bahotsa Ilm Ijmali Tha Aur Moamelat Ki Tafsir Shabhaye Qadr Me Aanhazrat (a.s.) Ko Bhi Isitarha Pohanchi Thi Jistarha Ka Janabe Rasulekhuda SAWS Ko. Sael Ne Pucha Ke Ijmal Ki Tafsir Saath Hi Saath Nahi Thi? Farmaya Haan Nahi Thi. Balke Wo Shabhaye Qardr Me Amre Khuda Se Janabe Rasulekhuda SAWS Aur Aosiya Ko Pohancha Karti Thi Ke Falan Moamelay Me Yun Karna Aur Yun Karna. Is Moamelay Ko To Wo Hazraat (a.s.) Jante Hote The Laikin Ye Hukm (Is Shab Ko) Diya Jata Tha Ke Is Me Amal Kyunkar (Kyunkar) Karen. Raawi Kehta Hai Mai Ne Arz Ki Ke Ise Mere Liye Aur Wazeh Kardijiye? Farmaya Ke Janabe Rasulekhula SAWS Ne Is Waqt Tak Inteqal Nahi Farmaya Jab Tak Ke Tamam Ilm Aur Iski Tafsir In Hazraat (A.S.) Ke Paas Mehfooz Nahi Hogayi. Maine Kaha To Phir Wo Shabhaye Qadr Me Jo Aata Hai Wo Kis Chiz Ka Ilm Hota Hai. Farmaya Wo Hukm Hota Hai Aur Jo Cheez Wo Jante Hote Thay Isme Hukum Daqil Nahi Hota Tha. Sael Ne Arz Ki Acha To Ab Shabaye Qadr Me Jo Baten In Se Ki Jati Hain To Jo Kuch Wo Pehle Se Jante Hain Inka Ilm Iske Masiwa Hota Hai? Farmaya Ye Wo Hota Hai Jiske Chipane Ka Inhe Hukum Diya Gaya Hai (Ye Tumhe Kyunkar Bataya Jaye) Aur Tu Jo Kuch Dariyaft Karta Hai Iski Asli Gharz Siwaye Khudaye Ta’ala Ke Aur Koi Nahi Janta. Sael Ne Kaha Ke Acha Aosiya Wo Kuch Jante Hain Jo Kuch Ambiya Nahi Jante? Farmaya Nahi. Wasi Ke Paas Iske Siwa Jiski Ise Wasiyat Ki Gayi Aur Ilm Ho Kyunkar Hosakta Hai? Sael Ne Arz Ki To Aaya Hame Iska Maoqa Hai Ke Hum Ye Kahen Ke Aosiya Me Se Ek Wo Kuch Janta Tha Jiska Doosre Ko Ilm Na Tha? Farmaya nahi! Koi Nabi Nahi Mara Magar Ye Ke Iska Ilm Iske Wasi Ke Sinay Me Aagaya aur Farishte Aur Rooh Farishta Shabe Qadr Ko Wo Hukum Lekar Aata Hai jiske zariye se wo bandon ke mabaen ehkam jari karen. Sael Ne Kaha To Acha Kam Az Kam Iska Hukum To Inko Ilm Nahi Hota? Farmaya Is Hukum Ka Bhi Ilm Hota Tha Laikin Wo Mutafarriq Taor Se Is Hukum Ka Ajr Nahi Karte Thay Jab Tak Ke Shabhaye Qadr Me Is Ka Hukum Na Aajata Ke Aainda Sinay Me Wo Is Is Tarha Amal Karen. Aqir Sael Ne Arz Ki Ke Yabna Rasoolallah SAWS! Ab Mujhe Inkar Ki Koi Gunjaesh Hi Nahi. Janabe Imam Mohammad Baqir Alaihis Salaam Ne Farmaya Ke Jo Iska Inkar Karay Wo Hamaray Shion Me Se Kharij Hai. Sael Ne Arz Ki Yabna Rasoolallah SAWS! Aaya Ye Baat Samaj Me Aati Haike Janabe Rasulekhuda SAWS Ke Paas Shabhaye Qadr Me Koi Aisi Cheez Pohanchi Ho Jiska Inke Paas Ilm Na Ho? Farmaya Aisi Baat Ka Puchna Tere Liye Jaez Nahi Hai Isliye Ke Guzishta Aur Aainda Waqeaat Ke Ilm Ki Babat To Ye Tae Ho Hi Chuka Ke Koi Nabi Aur Wasi Is Waqt Tak Inteqal Nahi Karta Jab Tak Ke Iske Aainda Wasi Ko Iska Ilm Na Hojaye. Ab Ye Baat Jo Tu Dariyaft Karna Chahta Hai To Iske Mutalliq Khudaye Ta’ala Ko Manzoor Hi Nahi Haike Aosiya Iska Ilm Siwaye Aosiya Ke Kisi Aur Ko Pohanchaen. To Ab Sael Ne Arz Ki Yabna Rasoolallah SAWS! Acha To Ye Mai Kaise Pehchanu Ke Shabe Qadr Har Baras Hoti Hai? Farmaya Ke Jab Ramazan Ka Mahina Aaye To Tu Har Shab Surae Duqqan Ko Sao (100) Dafa Padhakar. Jab Teweeswi (23rd) Shab Ayegi To Jo Kuch Tu Puchraha Hai Iski Tasdeeq Hojaegi. Rawi Ka Bayan Haike Janab Imam Mohammade Baqir Alaihis Salaam Ne Ye Bhi Farmaya Ke Gumrah Karnewalon Ke Paas Shaqawat Wa Badbaqti Keliye Shayateen Aur Arwahe Khabisa Ki Toliyan Ki Toliyan Khudaye Ta’ala Bhejta Hai Jo Tedad Me In Farishto Se Bhi Zyada Hoti Hain Jinko Khalifaye Khuda Ke Paas Ajr Wa Sawab Ke Wastay Bhejta Hai. Ispar Kisi Ne Arz Ki Ke Aye Abu Jafar (a.s.) Farishto Se Tedad Me Wo Zyada Kyunkar Hosakte Hain? Farmaya Isitarha Hosakte Hain Jistarha Allah Ko Manzoor Ho. Sael Ne Arz Ki Yabna Rasoolallah SAWS Agar Mai Ye Hadees Apne Shia Dosto Se Bayan Karunga To Wo Iska Inkar Karenge. Farmaya Wo Iska Kyunkar Inkar Karenge? Arz Ki Is Bina Par Ke Log Is Baat Ke Qael Hain Ke Farishte Shayateen Se Tedad Me Kahin Zyada Hain. Farmaya Ye To Tu Sach Kehta Hai Magar Jo Kuch Mai Tujh Se Kehta Hoon Ise Bhi Tu Khoob Samaj Le. Koi Din Aisa Nahi Guzarta Aur Koi Raat Aisi Nahi Guzarti Ke Saray (Gumrah) Jin Aur Sab Shayateen Aimmae Zalalat Ke Paas Na Jate Hon Aur Aimmae Huda Ke Paas Itne Hi Farishte Aate Hain Yahantak Ke Jab Shabe Qadr Aati Hai To Sahibul Amr Alaihis Salaam Ke Paas To Is Raat Me Farishte Jinhe Khudaye Ta’ala Ne Muqarrar Farmadiya Hai Aate Hain Aur Inhi Ke Hum Adad Shayateen Hakime Zalalat Ke Paas Jate Hain Aur Tarha Tarha Ka Jhoot Aur Tufan Iske Paas Pohanchate Hain Yahantak Ke Subha Ko Jab Aadmi Uthta Hai (Kehta Hai Ke Maine Yun Dekha Aur Yun Deka. Aur Agar Iski Babat Sahebul Amr Alaihis Salaam Se Dariyaft Karta To Wo Ye Farmate Ke Tunay Shayateen Ko Dekha Aur Isne Tujhe Ye Aur Ye Khabar Di. Yahantak Ke Wo Iski Poori Tafsir Bhi Kardete. Aur Is Zalalat Ka Ilm Bhi Dedete Jiske Upar Wo Qaem Hai. Aur Khuda Ki Qasam Jo Shaks Shabe Qadr Ki Tasdeeq Karta Hai Wo Ye Bhi Zaroor Janta Hai Ke Wo Khaas Hamaray Hi Liye Hoti Hai Jaisa Ke Janabe Rasulekhuda SAWS Ne Jabke Inki Wafat Ka Waqt Qareeb Aaya To Ali-e-Murtuza (a.s.) Ki Nisbat Farmaya Ke Ye Mere Baad Tum Sab Ka Aaqa Hai. Agar Tum Iski Ita’at Karoge To Maqsad Hasil Karloge. Laikin Jo Shaks Shabe Qadr Par Eman Nahi Lata Wo Munkir Hai Aur Jo Shabe Qadr Par Istarha Eman Lata Hai Jistarha Ke Humne Nahi Samjha To Goya Wo Is Baat Ko Sach Nahi Janta Ke Ye Kahe Ke Wo Hamare Hi Liye Hai. Aur Jo Iska Qael Nahi Hai Wo Jhuta Hai. Isliye Ke Khudaye Azza Wa Jalla Ki Ye Shaan To Hai Hi Nahi Ke Amr Ko Rooh Aur Malaeka Ke Saath Kisi Kafir Wa Fasiq Ke Paas Bheje Kyunki Agar Koi Iska Qael Hoke Wo Farishte Is Khalifa Ke Paas Utar Kar Aate Hain Jo Jhuti Khilafat Par Musallat Hai To Ye Qaol To Inka Koi Cheez Nahi Aur Agar Wo Iske Qael Honke Farishte Kisi Ke Paas Bhi Nahi Utarte To Qaole Khuda Be Mani Huwa Jata Haike Koi Cheez To Leke Utarte Hain Magar Kisi Ke Paas Nahi. Aur Agar Iske Qael Hon Jaisa Ke Anqareeb Hojaenge Ke Ye Koi Cheez Hi Nahi Hai To Wo Gumrahi Me Purampaar Hogaye. Kaafi Me Hassaan Ibne Mehran Se Manqool Haike Maine Janab Imam Jafare Sadiq Alaihis Salaam Se Shabe Qadr Ke Baray Me Dariyaft Kiya, Farmaya Isay Ekiswi (21st) Ya Teiswi (23rd) Shab Me Talab Kijio. Isi Kitab Me Abu Hamzae Sumali Se Manqool Hai Ke Mai Janab Imam Jafare Sadiq Alaihis Salaam Ki Qidmat Me Hazir Tha Ke Abu Baseer Ne Arz Ki Mai Huzoor Par Qurban Hojaun. Wo Raat Jisme Jo Kuch Bhi Ummid Kijati Hai Wo Kaun Si Hai? Farmaya Ekiswi (21st) ya Teiswi (23rd). Inhone Arz Ki Agar Mujhe In Dono Raton Me Jagne Ki Taofiq Na Ho? Farmaya Dono Me Se Jisme Aasani Maloom Ho Isme Hi Talab Karlijio. Ispar Mai (Abu Hamzah) Ne Arz Ki Ke Kabhi Aisa Bhi Hota Hai Ke Hamare Haan To Ruyate Hilal Aur Tareeq Huwi Ho Aur Doosre Muqamat Se Iske Khilaf Khabar Aayi Ho? To Farmaya Ke Is Surat Me Char Raten Lelo Aur Isme Se Jisme Aasani Jano Talab Karlo. Mai Ne Arz Ki Mai Huzoor Ke Qurban Hojaun Teiswi (23rd) Shabe Juhni Mashoor Hai? Farmaya Haan! Ye To Kehne Ki Baat Hai. Maine Arz Ki Ke Mai Qurban Hojaun. Suleman ibne Khalid Ne To Ye Riwayat Ki Hai Ke Unniswi (19th) Shab Me To Hajion Ka Groh Likha Jata Hai? Farmaya Aye Abu Mohammad! Hajion Ka Groh Shabe Qadr Me Likha Jata Hai Aur Jitni Mauten Hone Wali Hain, Jitni Baleen Aanewali Hain, Jitney Rizq Milne Wale Hain, Aur Jo Kuch Is Raat Se Lekar Aainda Saal Ki Raat Tak Honewala Hai Wo Sab Kuch Likha Jata Hai. Pas Tu Shabe Qadr Ki Talash Ekiswi (21st) Aur Teiswi (23rd) Me Kiya Kar. Aur Har Ek Me Sao (100) Rakaten Padhakar Aur Har Ek Me Agar Tujh Se Hosake To Subha Ke Roshan Hojane Tak Jagta Rahakar Aur Dono Me Ghusl Bhi Kiya Kar. Kehte Hainke Maine Arz Ki Ke Agar Mai Khade Hokar Ye Namazen Na Padsakun? Farmaya To Baithe Hi Baithe Padh Liya Kar. Maine Arz Ki Ke Agar Mai Baithe Baithe Bhi Na Padh Sakun? Farmaya To Lete Hi Lete Sahi. Haan Iska Kuch Harj Nahi Hai Ke Awwal Raat Me Thoda Sa So Bhi Le. Isliye Ke Mahe Ramazanul Mubarak Me Aasmaan Ke Darwaze Khule Rehte Hain. Shayateen Qaed Karliye Jate Hain Aur Momeneen Ke Aamaal Qubool Hote Hain. Ramazan Ka Mahina Bahot Hi Acha Hai. Wo Ahade Janabe Rasulekhuda SAWS Me Rizq Diye Jane Ka Mahina Kehlata Tha.
Qaole Mutarjim: Is Riwayat Me Shabe Juhni Jo Aaya Hai Ye Ek Ansari The Jinka Naam Abdullah Bin Anees Tha. Inhone Janabe Rasulekhula SAWS Ki Qidmate Mubarak Me Arz Ki Thi Ke Ya Rasulallah SAWS! Mera Makan Madine Se Door Hai Isliye Mujhe Mahe Mubarak Ki Koi Ek Shab Bata Dijiye Jisme Mai Hazir Hon Aur Bedar Hon. To Aanhazrat SAWS Ne Inko Teiswi (23rd) Shab Batla Di Thi. Isi Wajah Se Ye Raat Shabe Juhni Mashoor Hogayi Hai. Isi Kitab Me Mohammad Bin Muslim Se Manqool Haike Inhone Janab Imam Mohammade Baqir Ya Janab Imam Jafare Sadiq Alaihuma Salaam Se Shabe Qadr Ki Alamat Dariyaft Ki To Aanhazrat SAWS Ne Farmaya Ke Iski Alamat Ye Hai Ke Hawa Iski Khusbudar Hojati Hai Aur Agar Sardi Ka Maosam Ho To Garmi Hojati Hai Aur Agar Garmi Ka Maosam Ho To Thandak Hojati Hai. Magar Bahot Hi Khushgawar. Phir Inhone Shabe Qadr Ki Babat Dariyaft Kiya To Farmaya Ke Isme Fariste Aur Likhne Wale Aasmane Duniya Par Utar Aajate Hain Aur Aainda Saal Bhar Me Jo Kuch Hota Hai Aur Bandon Par Jo Jo Kuch Uftad Padni Hoti Hai Wo Sab Kuch Likh Lete Hain. Magar Har Amr Mashiat Par Maoquf Rehta Hai Ke Jisko Chahe Muqaddam Karde Jisko Chahe Moaqqar Karde. Jisko Chahe Maho Karde Aur Jisko Chahe Qayam Karde. Kyunki Asli Nawishta To Isi Ke Paas Hai.
Qaole Mutarjim: Muqalefeen Ke Haan Bajaye Teis (23rd) Ke Sattais (27th) Par Zyada Zor Diya Gaya Hai. Iski Do Wajhen Tehqeeq Se Sabit Huwin. (1) Ye Ke Ahlebait (a.s.) Ne Jo Kuch Farmaya Ho Mazhabe Faruq Ko Iske Khilaf Hona Lazim Hai. (2) Hazrate Abdullah Bin Abbas (r.a.) Se Ek Martaba Khalifa Ji Ne Shabe Qadr Ki Tayyun Dariyaft Ki To Unhone Bataore Mizah Kehdiya Ke “LAILATUL QADR” Me Nao (9) Harf Hain Aur Surae Qadr Me Teen (3) Martaba “LAILATUL QADR” Aaya Hai. Nao (9) Ko Teen (3) Me Zarb Do Sattais (27) Hogaye. Lehaza Qarina Ye Hai Ke Shabe Qadr Sattaiswi (27th) Shab Ko Hoti Hai. Pas Jo Baat Khalifa Ji Ke Zehen Nasheen Hogayi Wahi Muridon Ke Khopdi Me Bhi Samagayi. Iska Nikaalna Allah Ke Zabardast Bande Ka Kaam Hoga.
Tafsire Qummi Me Hai ke Janab Imam Jafare Sadiq Alaihis Salaam se kisi ne dariyaft kiya ke shabe qadr hazar mahine se behtar kyunkar hosakti hai? Farmaya ke is shab me amal karna aise hazar mahino ke amal se behtar hai jinme shabe qadr na ho. Inhi Hazrat (a.s.) Se Abu Baseer Ne Bhi Riwayat Ki Hai Ke Tawrat (TORAH) 6 Ramazanul Mubarak Ko Nazil Huwi Aur INJEEL (BIBLE) 12 Ramazanul Mubarak Ko Aur ZABOOR (PSALMS) 18 Ramazanul Mubarak Ko Aur Qurane Majeed Shabe Qadr Me Nazil Huwa. Tafsire Qummi Me Hai Ke Hamraan Ne Janab Imam Mohammade Baqir Alaihis Salaam Se Khudaye Ta’ala Ke Is Qaol INNAA ANZALNAAHU FEE LAILATIM MUBARAKATIN Ki Tafsir Dariyaft Ki To Farmaya Haan Ye Shabe Qadr Hai Ke Har Saal Mahe Mubarake Ramazan Ke Ashraye Aaqir Me Hoti Hai. Aur Qurane Majeed Shabe Qadr Hi Me Nazil Huwa Hai. Jaisa Ke Khudaye Ta’ala Farmata Hai FIHA YUFRAQO KULLO AMRIN HAKEEM. Farmaya Shabe Qadr Me Har Cheez Ka Andaza Kiya Jata Hai Jo Is Puray Baras Me Aainda Saal Ki Shabe Qadr Tak Honewala Hai. Khair Ho Ya Shar. Ta’at Ho Ya Masiat. Aolad Ho Ya AJal. Ya Rizq. Gharz Qaza Wa Qadar Khwah Muqaddam Ho Ya Mehtoom. Magar Har Amr Me Mashiate Parwardigare Aalam Mashroot Hai. Hamraan Kehte Hain Maine Arz Ki Ke LAILATUL QADRE KHAIRUM MIN ALFI SHAHR Se Khudaye Ta’ala Ne Kya Muradli Hai? Farmaya Jo Amale Saleh Isme Kiya Jaye – Namaz – Zakat – Aur Tarah Tarah Ke Khair Wa Khairat Wo Aisay Hazar Mahine Ke Amal Se Behtar Hai Jinme Shabe Qadr Na Ho. Aur Agar Khudaye Tabarak Wa Ta’ala Momeneen Keliye Is Tarah Sawab Na Badata To Wo Un Darjon Ko Na Pohanch Sakte Lekin Wo To Inki Nekiyon Ko Badata Hi Rehta Hai. Isi Kitab Me Yaqub Ka Bayan Haike Maine Ek Shaks Ko Janab Imam Jafare Sadiq alaihis salaam Se Shabe Qadr Ki Babat Sawal Karte Suna Wo Kehraha Tha Ke Mujhe Ittela Dijiye Ke Aaya Shabe Qadr Har Saal Hoti Hai? To Hazrat (a.s.) Ne Farmaya Ke Agar Shabe Qadr Utha Li Jaye To Qurane Majeed Bhi Utha Li Jaye.
HATTA MATLAIL FAJR – Tafsire Qummi Me Haike Farishte Subha Tak Barabar Imame Zamaan (a.s.) Ko Salam Karte Rehte Hain. Kaafi Me Janab Imam Zainul Aabedeen (a.s.) Se Manqool Haike Khudaye Ta’la Farmata Hai Aye Rasool SAWS Mere Kul Farishte Aur Mera Farishtae Rooh Jis Waqt Se Ye Utarte Hain Is Waqt Se Lekar Subah Ke Tulu Hone Tak Inpar Aur Tumhari Aulad Par Barabar Mera Salam Pohanchate Rehte Hain. Janab Imam Jafar Sadiq Alaihis Salaam Farmate Hain Ke Mujhse Mere Parwardigar Ne Irshad Farmaya Ke Ek Din Janab Ameerul Momeneen Alaihis Salaam Ne Surae INNA ANZALNAHU Tilawat Farmayi Is Waqt Un Hazrat (a.s.) Ki Qidmat Me Hasnain Alaihuma Salaam Hazir The. Imam Hasan Alaihis Salaam Ne Arz Ki Baba! Aapke Mu Se Ye Surah Kis Qadar Shireen Maloom Hota Hai. Irshad Farmaya Ke Aye Noore Nazar! Aye Farzande Rasool SAWS! Is Surae Ke Mutaliq Jo Baten Mai Janta Hoon Inse Tum Abhi Waqif Nahi Ho. Aagaah Hojao Ke Jab Ye Surat Nazil Huwi To Tumharay Jadde Buzurgwar Janabe Rasulekhuda Saws Ne Mujhe Talab Farmaya, Jab Mai Hazir Huwa To Aanhazrat (SAWS) Ne Mere Samnay Ye Surat Tilawat Farmaya, Phir Mere Dahne Kandhe Par Apna Daste Mubarak Rakhke Irshad Farmaya Aye Mere Bhai Aur Aye Mere Wasi Aur Aye Mere Baad Meri Ummat Ke Hakim Aur Mere Dushmano Se Qayamat Tak Ladne Walay! Mere Baad Ye Surah Tumharay Liye Hai Aur Tumharay Baad Tumharay Dono Farzandon Keliye. (Aye Ali (a.s.)) Jibraeel (a.s.) Farishton Me Se Mera Bhai Hai Aur Saalbhar Me Meri Ummat Se Jo Jo Kuch Hota Hai Wo Mujhe Bata Diya Karta Hai Aur Jaisa Nabion Ko Bata Diya Karta Tha Isitarah Aainda Tumhe Bataya Karega. Aur Is Surae Ka Noor Tumharay Dil Me Aur Tumharay Aosiya Ke Dil Me Zuhoore Qayeme Aale Mohammad (a.s.) Ki Subah Ta’aley Hone Tak Chamakta Rahega.