Surah e Fateha Mecca Me Nazil Huwa
Bismillahir Rehmaanir Raheem | Rehman Wa Raheem Khuda Ke Naam Se (Shuru Karta Hoon) |
AL HAMDO LILLAHE RABBIL AALAMEEN | Kul Aalimo Ke Parwarish Karnewalay Khuda Keliye Har Qisam Ki Tareef Khas Hai |
AR REHMANIR RAHEEM | (Jo) Rehman (Wa) Raheem Hai |
MALIKE YAOMID DEEN | (Aur) Faisle Ke Din Ka Malik Hai |
IYYAKA NABUDU WA IYYAKA NASTAEEN | Hum Teri Hi Ebadat Karte Hain Aur Tujhi Se Mada Mangte Hain |
EHDINAS SIRATAL MUSTAQEEM | Khas Rahe Haq Par Humko Sabit Qadam Rakhio |
SIRATAL LAZINA ANAMTA ALAIHIM GHAIRIL MAGHZUBE ALAIHIM WALAZ ZAAL’LEEN | Un Logon Ki Raah Par Jinpar Tune Enam Farmaya, Na Unki Jinpar Ghazab Nazil Kiya Gaya Aur Na Gumrahon Ki |
Bismillahir Rehmanir Raheem
- Kitab At-Taohid Aur Tafsirul Imam Me Janab Ameerul Momeneen Alahis Salaam Se Riwayat Hai Ke Allah Se Murad Wo Zaat Hai Jiski Taraf Kul Maqlooq Us Waqt Jabke Har Taraf Se Aas Toot Jaye Khud Ba Khud Mutawajje Hoti Hai.
- Ar-Rehman – Ke Mana Hain Apni Maqlooq Par Meherban Aur Aisa Rizq Dene Wala Ke Go Wo Iski Ita’at Wa Bandagi Chorden Magar Wo Inke Wasaele Maash Ko Bahal Rakhe.
- Ar-Raheem – Ke Mana Ye Hain Ke Apne Momin Bandon Par Aisa Rehem Karnewala Ke Inkeliye Thodi Si Ebadat Par Bahotsa Sawab Muqarrar Kiya Hai Aur Kafir Bandon Par Aisa Rehem Karnewala Ke Inko Halakate Abadi Se Bachane Keliye Narmi Ke Saath Quboole Deen Ki Dawat Karta Hai.
- EHDINA – Kitab Al-Ma’ani Aur Tafsirul Imam Me Janab Ameerul Momeneen Alaihis Salaam Se Riwayat Hai He EHDINA Ke Mana Hain Apni Taofiq Ko Hamare Liye Qayam Rakh Awamun Naas Ye Tarjuma Karte Hain Ke Sirate Mustaqeem Ki Humko Hidayat Kar Magar Shiyane Janabe Ameerul Momeneen Alaihis Salaam Chunke Bafazle Khuda Hidayat Yafta Hain Isliye Inka Tarjuma Ye Hoga Ke Sirate Mustaqeem Par Humko Sabit Qadam Rakh Aisa Naho Ke Hamare Qadam Is Se Laghzish Karjaen.
- AS-SIRATAL MUSTAQEEM – Janabe Ameerul Momeneen Alaihis Salaam Se Riwayat Hai Ke SIRATAL MUSTAQEEM Se Duniya Me Wo Rasta Murad Hai Jo Udhar To Ghulu Ki Had Tak Na Pohancha Ho Yani Kisi Ko Uske Darje Se Badhata Naho Aur Idhar Kisi Ko Uske Darje Se Ghatatah Naho Aur Aaqerat Me Wo Rasta Murad Hai Jo Momeneen Ko Jannat Tak Pohanchayega. Maaniul Akhbaar Me Hazrat Imam Jafar Alaihis Salaam Se Riwayat Hai Ke AS-SIRATAL MUSTAQEEM Se Murad Hai Tareeqe Marefate Khuda Aur Iske Do Rastay Hain. Ek Duniya Me Aur Ek Aaqerat Me, Duniya Me To Wo Imam Hai Jiski Eta’at Wajib Ki Gai Hai Par Jisko Marefate Imam Hasil Hogi Aur Wo Hidayate Imam Ki Pairawi Karega Wo Aaqerat Ke Raste Par Bhi Guzarsakega Jisse Murad Wo Pul Hai Jo Jahannum Par Qayam Kiya Jaega Aur Jo Duniya Me Imam Ki Marefat Se Bebehra Rahega Iske Qadam Sirate Aaqerat Se Bhi Laghzish Karjaenge Aur Wo Jahannum Me Girpadega. Ek Aur Riwayat Me Aaya Hai Ke AS-SIRATAL MUSTAQEEM Se Hum Aimma Murad Hain. (Qaole Mutarjim: AS-SIRATAL MUSTAQEEM Zahir Bazahir Tadad Mein Chawdah (14) Huroof Hain Jisse Ye Murad Hai Ke Chawdah (14) Ka Jo Rasta Hai Wo Sirate Mustaqeem Hai.
- ANAMTA ALAIHIM – (Jinpar Tune Enam Farmaya) Inse Ambiya, Siddiqeen, Shohada, Aur Saleheen Murad Hain. Tasreeh Surae Nisa Me Mulaheza Ho.
- AL-MAGHZOOBE ALAIHIM – Se Yahood Murad Hain Khwah Wo Ummate Sabeqa Ke Hon Ya Is Ummat Ke.
- AZ-ZA’ALEEN – Se Murad Nasara Hain Khwah Pehli Ummat Ke Hon Ya Is Ummat Ke.