BISMILLAHI AR RAHMAN AR RAHEEM
Jab Aap Se Ye Kaha Gaya Ke Aap a.s. Talha Wa Zubair Ka Peecha Na Karein Aur In Se Jung Karne Ki Na Than Lein Toh Aap a.s. Ne Farmaya- ;
Khuda Ki Qasam Main Is Bajju Ki Tarha Na Honga Jo Lagataar Khatkhata e Jaane Se Sota Hua Ban Jaata Hai. Yahaan Tak Ke Is Ka Talabgaar (shikari) Is Tak Pohonch Jaata Hai Aur Ghaat Lagakar Baithne Wala Is Par Achanak Qaabu Paaleta Hai. Balke Main Toh Haq Ki Taraf Badhne Waloun Aur Goosh Par Awaaz E Itaa-At Shearoun Ko Lekar In Khata Wa Shak Mein Padhne Waloun Par Apni Talwar Chalata Rahunga Yahan Tak Ke Meri Maut Ka Din Aajaye. Khuda Ki Qasam! Jab Se Allah Ne Apne Rasool SAWS Ko Duniya Se Uthaya Barabar Doosroun Ko Mujh Par Muqaddam Kiya Gaya Aur Mujhe Mere Haq Se Mahroom Rakhkha Gaya.