BISMILLAHI AR RAHMAN AR RAHEEM

Jab RasoolAllah SAWS Ne Duniya Se Rahlat Farmaiee Toh Abbas Aur Abu Sufiaan Ibne Harb Ne Aap a.s. Se Arz Kiya Ke Hum Aap a.s. Ki Bay-At Karna Chahte Hain, Jis Par Hazrat Ne Farmaya –

Aye Logo! Fitno Wa Fasad Ki Maojo Ko Najat Ki Kashtion Se Cheer Kar Apne Ko Nikal Le Jao.  Tafreqa wa Inteshar Ki Rahon Se Apna Ruq Modh Lo, Faqar Wa Mabahaat Ke Taj Utaar Dalo, Sahi Tareeq E Amal Iqtiyaar Karne Mein Kamyaab Wo Hai Jo Uthe To Par wa Baal Ke Saath Uthe Aur Nahi Toh (Iqtedaar Ki Kursi) Doosroun Ke Liye Chodh Baithe. Aur Is Tarha Khalq E Khuda Ko Bad Amani Se Rahat Mein Rakhkhe. (Is Waqt Talab E Khilafat Ke Liye Khade Hona) Ye Ek Gandla Paani Aur Aisa Luqma Hai Jo Khaane Walay Ke Gulugeer Hokar Rahega. Phaloun Ko In Ke Pakne Se Pehle Chunne Wala Aisa Hai Jaise Doosroun Ki Zameen Mein Kaasht Karne Wala. Agar Bolta Hoon Toh Log Kehte Hain Ke Ye Duniayavi Sultanat Par Mite Hue Hain Aur Chup Rehta Hoon Toh Kehte Hain Ke Maut Se Dargaye. Afsoos Ab Ye Baat Jab Ke Main Har Tarha Ke Nasheb Wa Faraaz Dekhe Baitha Hoon, Khuda Ki Qasam Abu Talib a.s. Ka Beta Maut Se Itna Manoos Hai Ke Bachcha Apni Maa Ki Chathi Se Itna Manoos Nahin Hota. Albatta Ek Ilm Poshida Mere Seene Ki Tahoun Mein Lipta Hua Hai Ke Ise Zahir Kardoun Toh Tum Isi Tarha Pej Wa Tab Khaane Lago Jis Tarha Gehre Kuwaun Mein Rassiaan Larazti Aur Thar Tharaati Hain.