Bismillahi Ar Rahman Ar Raheem

Qur Rabbi Zidni Ilman – Quraan Majeed

Ana Madinatul Ilm wa Aliun Babuha – Rasool Allah saws

 Ilm ki ahmiat aur zaroorat ke baare mein zyaada tabsera karne ki ehtiyaaj nahi hai kyun ke na sirf Quraan aur Hadees e Masoomeen balke zindgi ke har pehloo mein jo hum rozana karte hain koi na koi ilm ka usse waasta hota hai, maslan jab bachcha paida hota hai toh apni zarooriaat ko zaahir karne ke liye awaazein nikaalta hai jis se uski zaroorat poori hoti hai yahaan kaha jaa sakta hai ke ye pehli cheez hai jo us ne seekhi toh pata chala ke seekhne ka yani ke ilm haasil karne ke silsile ka aaghaaz kahaan se hota hai, ghour talab baat hai ke ek bachcha jise duniya mein aaye hue chand lamhe guzre usko kis ne sikhaya ke apni zaroorat ka izhaar kaise kare toh bolna hoga ke ye uski fitrat mein hai aur ye fitrat is mein kis ne wadiat ki to kehna hoga ke Allah ne, ab  ye baat sabit hoti hai ke insaan ki fitrat mein seekhna hai, jaan-na hai, talab e ilm hai, Rasool e Akram saws ka ye qaul ke “ har bachcha fitrat e Islam par paida hota hai bas us ke paalne wale usey apne jaisa bana dete hain ” is hadees ke alfaaz fitrat e Islam bata rahe hain ke insaan mein tasleem karne ki fitrat hai koi baat us waqt tak tasleem karne se taalluq nahi rakhti jab tak ke us ka ilm na ho, baghair e ilm kisi baat ka tasleem karna bhi jehalat hai aur inkar karna bhi. Qatmi martabat saws ne farmaya ke “ mahed se lekar lahed tak ilm haasil karo ”  yun to duniya mein muqtalif uloom hain aur har ek par ilm ka itlaaq hota hai lekin ye baat taishuda hai duniya ke tamaam uloom ka faayda duniya hi  mein hoga to ab aql ka ye fareeza hai ke us ilm ko talaash kare ke jis se duniya aur aakherat dono mein faayda ho, kyun ki fitrat e insaan mein tehqeeq hai, toh ab jis ne insaan ki fitrat mein Islam ko rakha us par ye wajib tha ke tasleem karne ki daleelein bhi insaan tak pohonchaye aur usne ye kaam apne Habeeb saws se liya jo kehta hua nazar aaya ke “ Main tumhare beech do garahqadr cheezein chodhe jaa raha hoon Allah ki kitaab aur Meri Itrat jo in se mutammassik rahe who hargiz gumraah na hoga yahaan tak mujh se houz par mile” yani ke najaat ka zariya bas ye do cheezein hain aur kuch nahi aur ye dono aaj Quraan aur Hadees e Masoomeen ki shakl mein hamare beech maujood hain jis ke zariye se ilm haasil hota hai, ilm jis ki bina par maarefat hoti hai aur maarefat ki bina par mohabbat aur mohabbat ki bina par qurbat, toh buniyaad hui ilm, irshaad e Masoom hai ke “Ilm bas wohi hai jo hamare dar se nikle”, toh laazim hua ke ilm haasil karne ke liye inhi ki taraf rujuh karna chahiye, chunanche Allah ki kitaab ho ke Hadees e Masoomeen dono hi Arabi zabaan mein hain apni zabaan mein inko samajhne ke liye muqtalif tarjume kiye gaye, aaj duniya mein shioun ki aksariat jo zabaan bolti hai wo Urdu hai, isiliye zyada se zyada jo Ahadees wa Quraan ki tafseer ka tarjuma kiya gaya wo Urdu zabaan hi mein maujood hai iski ek khaas wajah ye bhi hai ke Arabi ka qareebtar tarjuma Urdu hi mein mumkin, lekin dekha ye jaa raha hai ke aaj ke mahool mein jo education system chala hai is mein aksar log Urdu se na balad hain aur in logoun ka mazhabi ilm haasil karne ka zariya ho ke likhne ya padhne zarooriaat ne ek nayee zabaan ko wajood mein laya jise hum aaj “Roman English” ya “Roman Urdu” ke naam se jaante hain, bas jab humne chaha ke Ilm E Ilahi aur Ilm E Mohammad wa Aale Mohammad saws ko is zabaan ke zariye se pohonchaya jaaye logoun tak toh jo pehli kitaab humare zahen mein aaye wo wo kitaab hai jise do Qabil e Ehteraam Ulema Syed Razi r.a. aur Syed Murtaza r.a ne murattab kiya aur Urdu mein iska qareebtar tarjuma Mufti Jaffer Hussain Sahab ne kiya jo mashoor o maroof hai Nahjul Balagha ke naam se, iske padhne waloun se adaban guzarish hai ke is kitaab se istefaada karein aur hamare haq mein dua karein ke Allah hamari is koshish ko kamyaab kare aur mazeed kaam karne ka mauqa ata kare.

Nahjul Balagha teen (3) hissoun mein munqasim pehle hum aap ki khidmat mein is ka pehla hissa pesh kar rahe hain deegar Inshallah jald hi pesh kiya jayega.

Roman Transliteration: Mir Akbar Ali Baquri

Supported by: Syed Abbas Hyder Naqvi                   

Suggestions queries would be appreciated @ [email protected]